First line hum samaj nahi paaye
Plz samjao
IIm ka meaning kya hota hai?
Wisaal ka meaning kya hai?
Really sorry
Itna kuch samjane ko Bol rahe hai rustumji
Bahot hi khubsurat rustumji
Ishq muje hua hai to ye durd sirf muje hi sahena hai..sirf itni baat ko aapne bahot khubsurati se Alfazo Mai sanjoya hai...
Shikha ji koshish karonga aapko samjhane ki, detailed nahi jaonga kyonke also you know it ke poetry means "kuzah me dariya ko samana ya band karna hota hai" - ab aap sonch rahi hongi ke ye "kuzah" kya hai (kuzah means pot or jug)... chalen poetry ki taraf...
Ashkon Ki Badh Apney Hi Ham La Ke Bahengey
(Ashkon = Aansoaon/Tears) (Badh = Toofan/Flood)
Ham apne hi aasoaon ka toofan la’ke us’me bahengey (means itna roengey ke ham apne hi aansoaon ka toofan/sailab/flood laengey aur us’me bah’jaengey)
Par Dard-e-Jigar Unse Kabhi Kuch Na Kahengey
Waese Bhi Unhen Ilm Nahi Hai Is Ishq Ka
(Ilm = maloom/information/knowledge) (Ilm nahi hai = maloom nahi hai / pata nahi hai)
Waese bhi unhen pata nahi hai is pyar/ishq ka (is pyar/ishq ke barey me unhen maloom nahi hai)
Ek Tarfa Mohabbat Hai Isey Ham Hi Sahengey
(Ek-Tarfa = One way)
One way mohabbat hai is liye isey ham hi sahengey
Unse Na Gila Koi Na Shikwah Na Shikayat
Karni Hamare Dil Ki Hai Ham Chup Hi Rahengey
Suntey Ye Aaey Hain Wahan Andher Nahi Hai
To Theek Hai Ham Sabr Ke Sang Aur Rahengey
Mil Jaengey Wo Ham’ko, Hoga Wisaal Bhi
Wisaal = Meeting/Intercourse
(Wo mujhe mil jaengey, aur unse mera wisaal bhi hoga)
(Jab marne ke baad, main Rab se unhen swarg/Jannat ke badley manglonga)
Jab Badla Rab Se Swarg Ka Ham Unko Kahengey
Phir bhi kuch clear nahi hai to puchiye, batane ki koshish karonga