KUCH SAWAAL.........

by ranjana on May 19, 2006, 05:26:59 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 8043 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: May 23, 2006, 01:52:55 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Nice One Ranjana,..

Yaad Tum Hume Nahi Aate Kabhi Jaanasheen,..
Jab Ke Samaai Ho Tum Mere Dil Mein Dhadkan Ki Tarah,..

______________________________________-Jaanasheen-


bahut khub Bhai...............

dil ki daharkan  bhi aajeb raag sunaati hai
jo nahi hota apana  yeh preet usi se badaati  hai..........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Sawaal... by MøÐëRñ ÐëvDå$ in Shayri-E-Dard
Dil Ke Sawaal by Qutubuddin in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Sawaal..... by Style_guru in Shayri-E-Dard
*****************kuch sawaal****************** by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
<>*Uljhe uljhe se kuch sawaal*<> by *KasaK*....Dil Ki in Miscellaneous Shayri
ranjana
Guest
«Reply #16 on: May 23, 2006, 01:56:10 AM »
Reply with quote
Quote from: "pervez1982"
ranjana sawal bahut ache karti ho,
waise shayari bhi achi karti ho,
good good


shukriya Pervez...........

jindagi ke sawalo mein khud ko talash karti hun
apni jajbaato ko de kar rang kahwabo ke .......
main apni shayari mein isko sakaar karti hun....... Usual Smile
Logged
SAIMA FROM PAK
Guest
«Reply #17 on: May 23, 2006, 03:26:20 AM »
Reply with quote
kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi
 
mausam bahar ka phr tanha guzar gaya
khizaan ek bar phr agayee hai daiho to sahi
 
kitni chahat say likhti thi mai naam tumhara
wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi
 
itni asaani say to milti nahi nafrat bhi laykin
tumnay hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi
 
anchal mai apnay chupayay thay moti bohat
ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi
 
ana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi
 
faqeer ban kar teray kuchay mai akar "jia"
kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi

____________

QISMAT SE SAB KO SHIKAYAT KIYOON HOTI JAY
JO NAHI MILTA USI SE MOHABBAT KIYOON HOTI HAY
KAI MUSHKILATAIN HAIN RAHOON MAIN DIL KI
PHIR BHI DIL KO USI KI CHAHAT KIYOON HOTI HAY
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #18 on: May 23, 2006, 03:31:43 AM »
Reply with quote
wah....Good saima...Aise hi likhte raho..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #19 on: May 23, 2006, 07:39:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "SAIMA FROM PAK"
kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi
 
mausam bahar ka phr tanha guzar gaya
khizaan ek bar phr agayee hai daiho to sahi
 
kitni chahat say likhti thi mai naam tumhara
wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi
 
itni asaani say to milti nahi nafrat bhi laykin
tumnay hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi
 
anchal mai apnay chupayay thay moti bohat
ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi
 
ana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi
 
faqeer ban kar teray kuchay mai akar "jia"
kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi

____________

QISMAT SE SAB KO SHIKAYAT KIYOON HOTI JAY
JO NAHI MILTA USI SE MOHABBAT KIYOON HOTI HAY
KAI MUSHKILATAIN HAIN RAHOON MAIN DIL KI
PHIR BHI DIL KO USI KI CHAHAT KIYOON HOTI HAY


BAHUT KHUB Saima JI...................its really very beautiful......... Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: May 23, 2006, 08:03:48 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Saima Ji,...
And Welcome To Yoindia,..

Andaaz-e-Mohabbat Kuch Aise Hain Unke,..
Ke Khafaa Bhi Hojaaye To Pyaar Jhalakta Hai,..

____________________________________-Jaanasheen
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #21 on: May 23, 2006, 02:00:30 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha aapne ... saima... hearty welcome to yoindia...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #22 on: May 24, 2006, 02:54:40 AM »
Reply with quote
dosto ko ajmaye jamana gujar gaya
is dil ko chot khaaye jamaana gujar gaya

waise toh kam na thee kabhi jeevan ki karwhahat
jakhamo ko mukaraaye jamaana gujar gaya

mana ke mast mast hai saqi teri nazar
masti mein hamko aaye jamaana gujar gaya

ab  ke kahan bahaar per woh pehle si sokhiyaan
phoolo per rang aaye jamaana gujar gaya...n/m
Logged
BeNam
Guest
«Reply #23 on: May 24, 2006, 03:14:50 AM »
Reply with quote
Bahot khub Ranjana ji!

Woh kuchh is kadar khamosh hai,
Zindagi ruth gayi ho jaise,
Woh kuchh is kadar madhosh hai,
her khushi lut gayi ho jaise!

--- BENAM ---
Waqt ek marham hai, mita dega her gum ka Ahesas,
Bus kuchh nishan rah jayenge baki, Tadapange jab tak chalegi saans!
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #24 on: May 24, 2006, 04:58:53 AM »
Reply with quote
ranjana... bahut khoob... lage rahiye...


Quote from: "ranjana"
dosto ko ajmaye jamana gujar gaya
is dil ko chot khaaye jamaana gujar gaya

waise toh kam na thee kabhi jeevan ki karwhahat
jakhamo ko mukaraaye jamaana gujar gaya

mana ke mast mast hai saqi teri nazar
masti mein hamko aaye jamaana gujar gaya

ab  ke kahan bahaar per woh pehle si sokhiyaan
phoolo per rang aaye jamaana gujar gaya...n/m
Logged
ranjana
Guest
«Reply #25 on: May 24, 2006, 07:24:04 AM »
Reply with quote
shukriya Benaam ji.......and MK ji..........

bahut sundar likha aapne............

tutna hoga toh tut jaayenge
dil ki baat jubaan per nahi laayange
unse kiya hai jo wada toh woh nibhayange
unko paa kar hi ham chein paayenge
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #26 on: May 24, 2006, 07:46:06 AM »
Reply with quote
RANJANA JI aur BENAM JI bahut khoob.......

Yeh aankhen bhi tumhari, kamaal karti hain,
har baar SANAM,  ek naya sawaal karti hain....
jab dekhta hoon inko, ulajh jata hoon is kadar,
jukha palken phir mujhe, yeh kaid karti hain.....
yeh tumhari aankhon ka katl-e-aam hi to hai sanam,
sulajhta hoon, phir naye sawal me uljhaya karti hain......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #27 on: May 24, 2006, 07:56:11 AM »
Reply with quote
Vicky ji  bahut khub likha aapne bhi..........


sach kahte ho aankhe meri bhi kamaal karti hain
tumhra hi har pal intajaar karti hain...........
dil mein chipee chanchal baato ko bata deti hai ishaaro se
dekh leti hain jab tumko ,fir ghabara ke jhuk jaati hain
kuch pal tumhe nihaar ke lazza se band ho jaati hain
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #28 on: May 24, 2006, 08:39:53 AM »
Reply with quote
shukriya aur bahut khoob RANJANA JI....

In aankhon me sanam, humko basaye rakhna,
pahaloo me tum apne humko,chupaye rakhna.....
door tumse raha kar kahin bikhar na jaun main,
seene se humesha apne, humen lagaye rakhna....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #29 on: May 24, 2006, 09:48:58 AM »
Reply with quote
nice Vicky............

pyar  toh yuh hi ho jata hai apne bas ki baat nahi
koi bahana  ho jata hai apne bas ki baat nahi
chahaye koi kitna roke  ya lakh bachye daaman
dil nazarana ho jata hai apne bas ki baat nahi
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 10:05:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer