Kya Naam de Iss Aehsaas ko...................

by Nikhaar on March 19, 2010, 03:31:31 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1546 times)
Nikhaar
Guest
Reply with quote
Khone ka dar sta rha hai usse , jisse ab tak paaya hi nahi
Dil hai baichain bahut,unka sandesha jo ab tak aaya hi nahi

Saj rahe hai khuch haseen khwaab in aankhon mein,
Par kya hoga anjaam,
Raah-e-mohabbat par ek bhi kadam ab tak jo badhaya hi nahi

Kal tak unse baatein karte the hans-hans kar
Aaj ek-duje se katraate hai
Nafrat toh nahi hai darmiyaan
Phir kya mohabbat hai ye jiska hamein aehsaas hi nahi

Ek dil dhadakta hai jab duje dil k liye
Swaal uske hota hai yahi
Kya yaad usne mujhe meri hi tarah kiya ya nahi

Doston s karte hai har lamha batein unki
Kya unhone bhi zikr hamara kiya ya nahi
Kya unke dil ne bhi hamein yaad farmaaya ya nahi.........

Kya naam de iss aehsaas ko jo panap raha hai iss dil mein
Dil uss khushi ki chaah mein khush hai
Jo abhi tak hamein haasil hi nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAP KE NAAM ........................... by fakharenaveed in Ghazals « 1 2 ... 23 24 »
naam by neerajB in Shayri for Khumar -e- Ishq
NAAM by gum in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Naam by Humsafar in Shairi - E - Zindagi
aehsaas by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
baadal102
Guest
«Reply #1 on: March 19, 2010, 03:52:27 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley
bahut khoob nikhar ji bahut khoob
har line mai dard chipa hai or intzaar bhi to swal bhi  Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 19, 2010, 03:57:03 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khooob Pooja...

vaakai Ishq Mein Tadap, Aur Intezaar,Inn Ehsaaso Se Khuda Hi Bachaye..

Bahut Hi khoobsurat Ehsaas..Padhte-Padhte ek maahol se bana ho jaise..

"Khone Ka Darr Sata Raha Hai usse,jisse ab tak paaya Hi nahi"

Bahut Gehri baat Kahi hai Aapne..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: March 19, 2010, 04:49:34 PM »
Reply with quote
Kamaal ki poem likhi hai Nikhaar ji. Shiddate-ahsaas mein doobi dard aur chubhan se labrez is poem ko badi nafaasat ke saath aapne likha hai jo nihaayat purkashish aur munfarid hai. Sudaafreen Nikhaar ji.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: March 20, 2010, 10:01:37 AM »
Reply with quote
Wah wah Nikhaar ji.great work.marvelous creation,bahut pasand aayi aapke kavita. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: March 20, 2010, 10:17:16 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Nikhaar Ji
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: March 20, 2010, 03:10:03 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley
bahut khoob nikhar ji bahut khoob
har line mai dard chipa hai or intzaar bhi to swal bhi  Applause
Bahut bahut shukriya baadal ji.....khoob kha aapne isme intzaar bhi hai aur swaal bhi........
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: March 20, 2010, 03:13:35 PM »
Reply with quote
ahem ahem... Kya baat hai... bahoot Bahoot Khoobsoorat ehsaaso ko samte hai... intzaar or inkaar liye hue tumari yea rachna bnahoot khoob likhi hai.. !

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #8 on: March 20, 2010, 03:24:16 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khooob Pooja...

vaakai Ishq Mein Tadap, Aur Intezaar,Inn Ehsaaso Se Khuda Hi Bachaye..

Bahut Hi khoobsurat Ehsaas..Padhte-Padhte ek maahol se bana ho jaise..

"Khone Ka Darr Sata Raha Hai usse,jisse ab tak paaya Hi nahi"

Bahut Gehri baat Kahi hai Aapne..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Teh dil se shukrya khwaish ji......ye aehsaas jha dard bhare hote hai wahi khoobsurat bhi hote hai.......
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: March 22, 2010, 01:52:34 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Nikhaar..Ishq main chupi tadap aur beqarari ko bohot khoobsurti se dhaala hai lafzon main..
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #10 on: March 22, 2010, 02:27:52 PM »
Reply with quote
Wah wah wah wah.....Poo-di... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #11 on: March 22, 2010, 02:30:40 PM »
Reply with quote

Wah wah wah wah.....Poo-di... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Kya khoob-soorat likha hai Nikhaar-di
Lafz khud-b-khud Nikhaar aaye hain....

Kis k intzaar mai kho gayee tu is kadar
Ki nahi usne ya tune pyaar ki sahi Kadar...



Khone ka dar sta rha hai usse , jisse ab tak paaya hi nahi
Dil hai baichain bahut,unka sandesha jo ab tak aaya hi nahi

Saj rahe hai khuch haseen khwaab in aankhon mein,
Par kya hoga anjaam,
Raah-e-mohabbat par ek bhi kadam ab tak jo badhaya hi nahi

Kal tak unse baatein karte the hans-hans kar
Aaj ek-duje se katraate hai
Nafrat toh nahi hai darmiyaan
Phir kya mohabbat hai ye jiska hamein aehsaas hi nahi

Ek dil dhadakta hai jab duje dil k liye
Swaal uske hota hai yahi
Kya yaad usne mujhe meri hi tarah kiya ya nahi

Doston s karte hai har lamha batein unki
Kya unhone bhi zikr hamara kiya ya nahi
Kya unke dil ne bhi hamein yaad farmaaya ya nahi.........

Kya naam de iss aehsaas ko jo panap raha hai iss dil mein
Dil uss khushi ki chaah mein khush hai
Jo abhi tak hamein haasil hi nahi

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #12 on: March 22, 2010, 03:39:23 PM »
Reply with quote
Wah Kya Baat hai Pooja.. Behad Hi Khubsoorat aur Ek Mohabbat Ek Mohabbat Ke Ehasaason Se Bheegi Nazm Pesh Ki Hai aapne.. !!!  icon_thumleft

Ek ek Lafz Such Likha hai aapne.. Milne Ki Beqaraari, aur Intzaar Ki Tadap Ko Kaagaz Par Behad Khubsoorati Se utaara Hai.. Bahut Khooob.. Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #13 on: March 23, 2010, 10:30:30 AM »
Reply with quote
Khone ka dar sta rha hai usse , jisse ab tak paaya hi nahi
Dil hai baichain bahut,unka sandesha jo ab tak aaya hi nahi

Saj rahe hai khuch haseen khwaab in aankhon mein,
Par kya hoga anjaam,
Raah-e-mohabbat par ek bhi kadam ab tak jo badhaya hi nahi

Kal tak unse baatein karte the hans-hans kar
Aaj ek-duje se katraate hai
Nafrat toh nahi hai darmiyaan
Phir kya mohabbat hai ye jiska hamein aehsaas hi nahi

Ek dil dhadakta hai jab duje dil k liye
Swaal uske hota hai yahi
Kya yaad usne mujhe meri hi tarah kiya ya nahi

Doston s karte hai har lamha batein unki
Kya unhone bhi zikr hamara kiya ya nahi
Kya unke dil ne bhi hamein yaad farmaaya ya nahi.........

Kya naam de iss aehsaas ko jo panap raha hai iss dil mein
Dil uss khushi ki chaah mein khush hai
Jo abhi tak hamein haasil hi nahi

Very sentimental and touchy poetry. Nice creation. Keep it up.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #14 on: March 27, 2010, 03:28:18 PM »
Reply with quote
Wah wah wah wah.....Poo-di... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Kya khoob-soorat likha hai Nikhaar-di
Lafz khud-b-khud Nikhaar aaye hain....

Kis k intzaar mai kho gayee tu is kadar
Ki nahi usne ya tune pyaar ki sahi Kadar...



thanx a lot koyal......aur kya khoob swaal pooch liya tumne.....par ye bhi toh sach h na ki
pyar ki kadar tab ho jab pyar ka aehsaas ho
aur pyar ka aehsaas tab ho jab uss upar waale ki mehrbaani ho
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:18:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer