lamhe jo gujar gaye tere inezaar mein~~~

by ranjana on September 08, 2006, 12:05:28 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2459 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
Lamahe wahi they zindagi ke haseen
jo bitaaye hamne tere intezaar mein
fir waqt kaise badal gaya
rahi khabar  na fir meri zindagi ki bahaar mein
kaisa milan thaa yeh hamara tumhara
tum pass they mere itne aur
us waqt main....  MAIN nahi thee
ek khuda ke nur ki tarah
tum mujhe mein sama gaye
meri aankho ki chamak mein
meri saanso ki raftaar mein
mohbbat ke izhaar mein
zindagi ke ehasas mein
mandir ki kisi ghanti ki tarha mann mein
aur hawa ki khushboo ki tarah bas gaye mujhi mein
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jo Gujar Gya.....Wo Gujar Gya by poppoetry in Shayri for Dard -e- Judai
Mehfil tere bin veeran gujar gayi~ Abhi by AbhiTamrakar in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
AA ja ke zehar khaye zamane gujar gaye by ripan dev in Share: Poetry of Pain
Jaane kitne mausam gujar gaye by livingbytheday in Ghazals « 1 2  All »
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: September 08, 2006, 12:15:02 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Lamahe wahi they zindagi ke haseen
jo bitaaye hamne tere intezaar mein
fir waqt kaise badal gaya
rahi khabar  na fir meri zindagi ki bahaar mein
kaisa milan thaa yeh hamara tumhara
tum pass they mere itne aur
us waqt main....  MAIN nahi thee
ek khuda ke nur ki tarah
tum mujhe mein sama gaye
meri aankho ki chamak mein
meri saanso ki raftaar mein
mohbbat ke izhaar mein
zindagi ke ehasas mein
mandir ki kisi ghanti ki tarha mann mein
aur hawa ki khushboo ki tarah bas gaye mujhi mein



Superb...!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #2 on: September 08, 2006, 12:39:56 PM »
Reply with quote
bohot khoob....khushamdeed..!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: September 08, 2006, 12:40:25 PM »
Reply with quote
wah wah ranju kaya baat hai.....
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #4 on: September 08, 2006, 12:42:24 PM »
Reply with quote
pal jis pal tum mile mujhse
yaad hai us pal ki mehak mujhe
apna pura hona tujhse milkar
kaise bhula sakta haun mai tujhse mlna...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: September 08, 2006, 02:29:03 PM »
Reply with quote
shukriya vikas .......good one . Usual Smile

bhule kahan they hum woh apne pyaar ki dastaan sanam
tere hi saath they har pal har  ghadi tere hi khwabo mein hum

kabhi jo dil ne tadap ke thaa dil ne   pukaara
teri hi vajood mein ghum ho ke kahi ek parchaai se they hum!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #6 on: September 08, 2006, 02:57:46 PM »
Reply with quote
jo kuch lamhe guzare humne pyaar mein...
saadiyan luta di ab phir unke intezaar mein...

taras gayi akhein...mere dil ki dhadkan bhi hui bechain..
k ab nahi kaati yeh suuni raatein askhon ki barsat mein..

tu tha mera yaakeen tera pyaar mera aitbaar tha..
nahi hoti judaii manzur dil e bekarar se...Winking


~ROSHNI~
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #7 on: September 08, 2006, 03:16:19 PM »
Reply with quote
Ek baar phir ki thi Koshish kisi se Dil lagane ko.....
Khayi phir aaj maar humne...Sallaaam aye Huzur teri farmaani ko.....

Rukh badle yeh hawa toh baat Samajh aati......
Karta hoon ab bhi tera Intezar Shayad tum bhi mera Pyar samajh paati.......

Ab Chale hai Khud ki hasti mitane......
Dekh Humnasheen ab bhi Khade hai hum Seena apna taane.....

Mushkilein toh beech Mahobbat aayengi hee......
Par ab na darr tu phir nahi chale hum apni Kismat azmaane.....

Dekh HumNasheen ab bhii khade hai hum Seena apna Taane......!!!!!!!!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: September 08, 2006, 03:45:12 PM »
Reply with quote
woww too good Ranjana dii...haye sadke jaon Roshni sis...baaki sabne bhi too good likha hai...

abb kiya nahi jaata humse intzaar
iltzah hai ke abb to aake mil jao
main bahut royi hun tumhare intzaar mein
abb na mujhe tum tadfao

pyar kiya hai koi gunah to nahi kiya
jo har baar umeed dila kar kahin chup se jaate ho
aisa bhi kya hai...jo saamne nahi aate ho

aisa kya karun jo tumko yaqeen aa jaye mere pyar par
kabhi to taras karo tum mere dil ki haalat par...
inn aankhon ke intzaar par

abb dil ko mujhse samjhaya nahi jaata
jhoothi tassali dekar behlaya nahi jaata
abb to tumse milkar hi manega
tumhein bhi mujhse pyar hai...kahoge to janega
Logged
roshni246
Guest
«Reply #9 on: September 08, 2006, 03:57:33 PM »
Reply with quote
HAYE NIKI DI....tussi great ho....missed ya like hell aand ur shayari also...!:D
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: September 08, 2006, 04:05:34 PM »
Reply with quote
hello, arree i was not well...what about u? kahan gayab thi?

mere intzaar mein kami na ayegi
yeh aankh tujhe yaad karke bahi hai behti jayegi

aur mujhe kitni saza deni hai mere humdum
kya kabhi milan ki ghadi bhi ayegi

dil lagate waqt to yeh na socha tha
pal bhar milenge aur fir umr intzaar mein kat_ti jayegi

tujhe pyar kiya hai dil-o-jaan se
mere dil ke mehmaan chahti hun tumhein diwano ki tarah...
mera yaqeen kar lo
bahut akeli ho gayi hun tumhare bina
aakar apni bahon mein bharlo
Logged
roshni246
Guest
«Reply #11 on: September 08, 2006, 04:11:22 PM »
Reply with quote
mein bhi aise hi big sis...thore din gayab hogayi yo se k shayad kissiko humari yaad ajaye tongue3


humne hawa k rukh oe diye ko jala rakha tha...
unhe kya maloom diye k saath dil bhi jala rakha tha...

kayi ashiq aye aur ishq ka roq laga baitha...
humne us bewafa k liye apni rooh ko bacha rakha tha...

intezaar ki har ghadi kis tara hai humne guzari...
humne har pal dil mein unhe basa rakha tha...

hue ab hum is tarah khud mein madhosh...
duniya to bhule...unke pyaar mein khud ko bhula rakha tha...


~roshni~
Logged
nikki
Guest
«Reply #12 on: September 08, 2006, 04:16:22 PM »
Reply with quote
subhaan allah ...kya likha hai sis..

khud ko jalaya hai humne unke pyar ko roshan karne ki khatir
magar woh hain ki maante hi nahi hain
kya rog laga baithi hun dil ko apne
aise nadaan hain ki jaante hi nahi hain

itna yaqeen hai kabhi to manege
mere dil ki bechaini kabhi to janege
jab unhein bhi mujhse mohabbat ho jayegi
tabb pyar mein tadafne ki sada janege
Logged
roshni246
Guest
«Reply #13 on: September 08, 2006, 04:20:13 PM »
Reply with quote
wah wah...maan gaye sistal :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #14 on: September 08, 2006, 04:25:02 PM »
Reply with quote
sab tumhara kamaal hai..tumhein itne dino baad yahan dekha to khushi se likh diya.....just bec. of u sis....credit goes to Roshni dear...taliyan..

jo lamhein guzar gaye tere intzaar mein
unhein vapis to nahi la sakti main
magar jo pyar bass gaya hai mere dil mein teri khatir..
woh kabhi kum na hoga

agar hai aitbaar tumhein bhi mujhpar
to laut aao...tumhara mujhpe karam hoga
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:15:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer