Laut aao Jaana(n)....!!!

by Talat on December 16, 2006, 11:35:34 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3020 times)
Talat
Guest
Reply with quote
Meri ruswaaiyon ke saamaan na bhejo
Hawaaon ke haathon paigham na bhejo

Tere naam se bikhar jaati hain dhadkane
Qurbat main aane ke ehkaam na bhejo

Meri haya ko berukhi na samjho Jaana(n)
Jafaparasti ke mujh pe ilzaam na bhejo

Tu na ho sath to yeh zindagi adhoori hai
Bin tere guzar jaaye, aisi shaam na bhejo

Laut aao safar se ki dil bechain bohot hai
Chahat ke yoon door se payaam na bhejo !!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
--- Woh laut ayi ----- by BeNam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
- Aa Laut Ao - by Meena is back in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: December 16, 2006, 12:08:30 PM »
Reply with quote
bahut khoob Talat
Logged
Tosha
Guest
«Reply #2 on: December 16, 2006, 12:15:41 PM »
Reply with quote
wha ji wah !! talat ji aap kis time pe likhti hai humme bhi bataye. hamme to time hi nahi milta [:p]
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: December 16, 2006, 01:26:26 PM »
Reply with quote
hmmmmmm.........   superbssssss  Talat........   very  nice  wordings...........
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: December 16, 2006, 09:59:09 PM »
Reply with quote
Vikas, Tosha, Waheed...Thanks a lot Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: December 17, 2006, 03:00:59 AM »
Reply with quote
Bohat khubsoorat Talat...
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #6 on: December 17, 2006, 02:04:26 PM »
Reply with quote
bahut accha ikha hay aapney talat.....salaam alaikum
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: December 17, 2006, 04:13:34 PM »
Reply with quote
Thanks  a lot Aryaan.....and Salaam.....!!! Usual Smile
Logged
paani
Guest
«Reply #8 on: December 18, 2006, 08:11:17 AM »
Reply with quote
bahut hi Khaas hai talat...
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: December 18, 2006, 08:39:17 AM »
Reply with quote
Thanks a lot paani Usual Smile
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #10 on: December 18, 2006, 09:23:16 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Meri ruswaaiyon ke saamaan na bhejo
Hawaaon ke haathon paigham na bhejo

Tere naam se bikhar jaati hain dhadkane
Qurbat main aane ke ehkaam na bhejo

Meri haya ko berukhi na samjho Jaana(n)
Jafaparasti ke mujh pe ilzaam na bhejo

Tu na ho sath to yeh zindagi adhoori hai
Bin tere guzar jaaye, aisi shaam na bhejo

Laut aao safar se ki dil bechain bohot hai
Chahat ke yoon door se payaam na bhejo !!!!


Waah Talat ji!! bahut umdaa Likha hai aapne!! bahut badhiya!!!

Main tere bina ab aur jahan mein rah nahin sakta!
magar yeh apna soorat-e-haal bhi main kisi se kah nahin sakta!

Jaanta hoon ab apna milan yahan mumkin nahin, lekin,
Tu ho jaye kisi aur ki yeh bhi main sah nahin sakta!

Le jaye saath apne baha kar sailaab chahe kisi ko,
main woh patthar hoon jo usmein bhi bah nahin sakta!

Ho tumhari ruswai yeh bhi hargiz  mujhe manzoor nahin,
isliye khamosh maut marta hoon kisi se kah nahin sakta!
[/color]
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: December 18, 2006, 09:59:48 AM »
Reply with quote
TALAT ITS WONDERFUL ......EK EK LINE DIL KO CHHOO GAYI
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #12 on: December 18, 2006, 10:44:31 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Meri ruswaaiyon ke saamaan na bhejo
Hawaaon ke haathon paigham na bhejo

Tere naam se bikhar jaati hain dhadkane
Qurbat main aane ke ehkaam na bhejo

Meri haya ko berukhi na samjho Jaana(n)
Jafaparasti ke mujh pe ilzaam na bhejo

Tu na ho sath to yeh zindagi adhoori hai
Bin tere guzar jaaye, aisi shaam na bhejo

Laut aao safar se ki dil bechain bohot hai
Chahat ke yoon door se payaam na bhejo !!!!


WAH WAH!!!!! kya baat hai TALAT JI.. kamaal kar diya...
behad khubsoorat kalaam likha hai aapne....

bahut bahut khoob..........!!!!!!!!!!:)
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: December 18, 2006, 07:44:17 PM »
Reply with quote
Arunji...Ranju...and Vicky !!! Thanks a lot pasand karne ke liye...!!

Arunji, aapne bohot achcha likha hai...bohot achcha laga ek baar phir se aap ki shayari parh ke...Hum jaldi hi jawab dene ki koshish karenge ! Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: December 21, 2006, 03:53:10 AM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
Quote from: "Talat"
Meri ruswaaiyon ke saamaan na bhejo
Hawaaon ke haathon paigham na bhejo

Tere naam se bikhar jaati hain dhadkane
Qurbat main aane ke ehkaam na bhejo

Meri haya ko berukhi na samjho Jaana(n)
Jafaparasti ke mujh pe ilzaam na bhejo

Tu na ho sath to yeh zindagi adhoori hai
Bin tere guzar jaaye, aisi shaam na bhejo

Laut aao safar se ki dil bechain bohot hai
Chahat ke yoon door se payaam na bhejo !!!!


Waah Talat ji!! bahut umdaa Likha hai aapne!! bahut badhiya!!!

Main tere bina ab aur jahan mein rah nahin sakta!
magar yeh apna soorat-e-haal bhi main kisi se kah nahin sakta!

Jaanta hoon ab apna milan yahan mumkin nahin, lekin,
Tu ho jaye kisi aur ki yeh bhi main sah nahin sakta!

Le jaye saath apne baha kar sailaab chahe kisi ko,
main woh patthar hoon jo usmein bhi bah nahin sakta!

Ho tumhari ruswai yeh bhi hargiz  mujhe manzoor nahin,
isliye khamosh maut marta hoon kisi se kah nahin sakta!
[/color]



MAI Quote use karna pasand nahi karati... magar wah kaya Talat ji apne likha hai aor kaya kamal ka jawab AKS ji apne diya hai... bahoot hi khubsoorat.... simple, full of love and emotions.. Good job!!!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:37:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer