Laut aao Jaana(n)....!!!

by Talat on December 16, 2006, 11:35:34 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3022 times)
redwhitegang
Guest
«Reply #15 on: December 21, 2006, 12:15:12 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Meri ruswaaiyon ke saamaan na bhejo
Hawaaon ke haathon paigham na bhejo

Tere naam se bikhar jaati hain dhadkane
Qurbat main aane ke ehkaam na bhejo

Meri haya ko berukhi na samjho Jaana(n)
Jafaparasti ke mujh pe ilzaam na bhejo

Tu na ho sath to yeh zindagi adhoori hai
Bin tere guzar jaaye, aisi shaam na bhejo

Laut aao safar se ki dil bechain bohot hai
Chahat ke yoon door se payaam na bhejo !!!!

just "AWESOME"
bohot khub talat :D ..........
Teri mohabbat mein kya ajeeb sa kaam kar diya hai
Jindagi mein ghul gayii thii jeher,usse hasin jam kar diya hai
aab na koi ranj hai,na koi darr hai dil mein..
Hamne apni ye khusi saare aam kar diya hai!!!
Ummid ki ek kiran kafi hoti hai jine ke liye
Tumne to mohabbat ki doulat se mala maal kar diya hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
--- Woh laut ayi ----- by BeNam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
- Aa Laut Ao - by Meena is back in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
salaam2all
Guest
«Reply #16 on: December 22, 2006, 04:10:43 PM »
Reply with quote
salaam talat..........

yu he intezaar kerna taqdeer tou nahi
in faaslo ka bhadhna tadbeer tou nahi
hoslay pay terey mera jahaa hay kayam
tughsay judaai ki ye taabeer tou nahi

in shiddatoN ka teri mughko khayaal hay
khamosh nighao may kitney sawaal hain
rakh na laga k dil may ye dard is kadar
ye zindagi ki koi jageer tou nahi
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #17 on: December 22, 2006, 08:56:38 PM »
Reply with quote
Meri ruswaaiyon ke saamaan na bhejo
Hawaaon ke haathon paigham na bhejo


waah kya baat hai saamaan aur paigam ka yha kaafi achce se i'stemal kiya hai !!


Tere naam se bikhar jaati hain dhadkane
Qurbat main aane ke ehkaam na bhejo


Dr sahiba agar dhakane ki jagah sansien aa jaye to s'ehr mein aur nikahar aa jayega !!


Meri haya ko berukhi na samjho Jaana(n)
Jafaparasti ke mujh pe ilzaam na bhejo


waah waah ..... bahut khoob !!



Tu na ho sath to yeh zindagi adhoori hai
Bin tere guzar jaaye, aisi shaam na bhejo


Agar dusri line mein Bin tere guzar jaye ki jagah "Bin tere jo guzar ho" kehte to qafiya aur b'ehter ban jata !! waseey bahut acche khayaal hai Usual Smile


Laut aao safar se ki dil bechain bohot hai
Chahat ke yoon door se payaam na bhejo !!!!


ik baar phir se bahur a'llatree.N s'her likha hai !! sari Ghazal bahut hi umda hai ...... daad hazir hai ...... q'abuul ho!!

Chend a'lfaaz pe'sh-e-nazar hai !!


khat hamare naam ka, sar-e-aam na bhejo
Jaan hi le jaye hamari, asia inaam na bhejo

Suna hai ke hote hai kaan diwaroo.N ke bhi
Hamari mano, hawa ke hath bhi salam na bhejo!!



Gustaakhi M'uaaf !! Usual Smile


HumTum
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: December 24, 2006, 09:53:02 PM »
Reply with quote
Pooja....thanks a lot for your appreciation....It feels nice to get appreciation from someone like you !!

Shahid.....Thank you so much....and very nice from you !

Salaam....Bohot Khoob !!

Humtum....Thanks so much for going through my poem so deeply...thank you for your suggestion ! Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #19 on: December 25, 2006, 01:46:33 AM »
Reply with quote
Hi friends..You all are Toooooo Good...
especially, Talat ji and Pooja..  Keep up dear..
[/color]

Mujhse kisii ne Poocha "Yeh Pyar Kya Hai?"

Maine Kaha Pyar Zindagi Hai... Pyar Khushi Hai
Pyar Aasu bhi hai... Pyar Hassi Bhi Hai
Kabhi Din Main Dikhthi Hue Sitare Hai..Toh
Kabhi Raat Main Dikhte Hue Suraj..

Pyar Diwana Pan Hai..Diwangi Ki Had Taq Hai
Pyar Jasbaath Hai... Jo Hum Ye Kahi Bhi Le Jha Sakhte Hai
Pyar Ehsaas Hai Jo Hum Mehsoos Kar Sakhte Hai
Pyar Dil Ki Aaina Hai Jaha Pe Sab Kuch Nazar Aata Hai

Pyar Vishwas Hai.. Jo Agar Toot Jaye Toh Zindagi Badal Jathi Hai
Pyar Takat Hai Jo Hum Ye Jeene Ki Aas Deta Hai Aur
Pyar Main Merne Ki Himmat bhi Deta hai..

Pyar Aag Hai Jo Kisii Ko Bhi Jala Sakhta Hai
Pyar Tofaan Hai Jo Sab Kuch Bikar Kar Raakh Kar Deta Hai

Pyar Zarurat Hai Jeene Ke Liye...Sach Hai Na???

Roja
[/color]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #20 on: December 25, 2006, 04:56:41 PM »
Reply with quote
Nice JOb Roja ji.....!!!!!!!

WaQt ki Khaamoshi se.....
Aur Samander ke Sannate se......

Jo Guzar jaye wahi Mohabbat ki dagar pe Chala hai.....
Naa poocho humse Doston ki Pyar kya bala hai......!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: December 25, 2006, 05:07:50 PM »
Reply with quote
Gaurav ji...shayad aap ko humara likha pasand nahin aaya !!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #22 on: December 25, 2006, 05:21:07 PM »
Reply with quote
Ohh Sorry Miss Tallu ji :wink: mujhe laga main yahan pehle Post kar Chuka hu......waise maine yeh padi hui hai.....as Always u again proof urself.....but hum bhi peeche nahi rahenge...... :D


Laut ke aayenge woh Jab......
Jaane kya Samaaa'n hoga......

Chatt jayegi yeh kaali Ghanghor Ghata.....
Meri Zindagi me tab Neela Asmaan hoga......

Yeh Iltiza hai meri ki Pehli Nazar aapko hee dekhe......
Iss Veraan Zindagi me kaafi WaQt baad ek pal Khushnuma hoga.....

Laut ayenge woh jab......
Jaane kya Samaa'n hoga......

Barfili Sardion me jaroor tumhara Kaafila guzar raha hoga.......
Hawa de rahi ab toh Dastak Dil ko mere......

Ki haan ab bhi tere lahoo meri Mahobbat ka harr Jaam Rawaan hota hoga.....

Laut ayenge woh jab......
Jaane kya Samaa'n hoga......!!!!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #23 on: December 25, 2006, 05:40:39 PM »
Reply with quote
tumhara likha kisko   pasand nahi aayega  Talat,......   wondeful  Gaurav..........bahot  khoob  aap  ne likha...
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: December 25, 2006, 07:15:09 PM »
Reply with quote
Thanku Gaurav JIIIIIIIII Puzzled ! :D bohot achcha likha hai...jawab dene ki koshish karemge......:D

Thank you Waheed Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #25 on: December 25, 2006, 11:01:05 PM »
Reply with quote
Shukhriya B.Shayar ji...
Hey dear Talat.. aapka likha toh hamme behat pasand aata hai.
Yu hii likhte rahiye. Aapko padne main maza aata hai..


Gazal Jo Likhi Par Kahu Kaise?
Kisii Ki Baah Kisii Se Kahu Kaise?

Tere Baathon Se Chup Hai Zamana
Tere Baath Per Baath Karu Kaise?

Suna Hai Wo Khushiyon Ke Dees Say Lauta Hai
Unse Gham Ke Fasaney Phir Kahu Kaise?

Na Jaan Sakhi Tera Dil Ki Baath Ab taq
Tujh Se Apni Dil Ki Baath Phir Kahu Kaise??
[/color]
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: December 28, 2006, 01:42:15 AM »
Reply with quote
Thank You Roja....and very nice....!!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #27 on: December 28, 2006, 10:27:54 AM »
Reply with quote
bahut achche talat .................kya baat hai

NASEEB MEIN LIKHI HAI TANHAAIYAAN MERE IS KADAR.........
RAKHTA HOON JAHAN KADAM WOH JAGAH VIRAAN HOTI HAI,,,,,,,,,,,,,,,,,,
MUJHE QATL KAR K KYA HAASIL KAROGE....................
MURDE MAIN BHI KYA KABHI JAAN HOTI HAI..................

can u tell me how to upload the pics
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: December 28, 2006, 01:08:11 PM »
Reply with quote
Thank You Salil.....aapne bhi bohot achcha likha hai...!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #29 on: December 28, 2006, 03:11:35 PM »
Reply with quote
bahot  khoobt  Roja..........Salil........................
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:44:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer