Lehra Do Apni Zulfein...

by majid on November 25, 2008, 03:26:02 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 28549 times)
majid
Guest
Reply with quote
Lehra  Do  Apni  Zulfein-e-Sanam , Ki Inme  Aaj Kho Jaaun
Thoda Sa Qareeb Aao , Ki Tumhaari  Baahon Mein So jaaun

Ik  Muddat  Se   Tadpa  Rahi  Hai  , Pyaas   Tujhey  Paane Ki
Jee  Karta  Hai , Tere  Hontho  Ke  Rashile  Jaam  pee Jaaun.

Udaa  Rahi  Hai  Kabse  Hawaa  , Rukh  Se Tere  Aanchal Ko
Tu Hi  Bata  Aise  Mein  Is  Pagal Dil  Ko , Kaise  Samajhaun.!

Khwaishen  To  Barhti   Rahengi  ,  Iska   Koi  Ilaaj  Nahi Hai
Ban Jaao Tum Meri  Dulhan , To Saari Duniya Ko Bhul Jaaun

Kaise Bayaan Kardu Apne Shabdo  Mein  Aur Teri Saadgi Ko
Par Ye B To Sach He Tujhe Soche Bina Kuch Likh Nahi Paaun.


                     ~Shihab~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Haseen Chehraa Siyah Zulfein....! by sharmaarunkumar in Shayari -e- Husn « 1 2  All »
zulfein nahin hain teri by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
zulfein na hataao chehre se by saahill in Shairi - E - Zindagi
Mashuka Ki Zulfein...!! by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
TERI ZULFEIN HAI.... by Saman Firdaus in Shayari -e- Husn
Pooja
Guest
«Reply #1 on: November 25, 2008, 04:21:23 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

WAH!! WAH!! WAH!!... Ek ek shabd, ek ek line, kamal ki likhi hai shibab apne... kai baar parra her baar pichli baar se jayada anand ayya parr kar!! khumar-e-ishaq se bharpoor.. bahoot waqat baad itani payar se main doobi kavita apdne ko mili hai... A Very Good Creation Shihab!!! bahoot khoob!!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: November 25, 2008, 05:17:22 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

WAH!! WAH!! WAH!!... Ek ek shabd, ek ek line, kamal ki likhi hai shibab apne... kai baar parra her baar pichli baar se jayada anand ayya parr kar!! khumar-e-ishaq se bharpoor.. bahoot waqat baad itani payar se main doobi kavita apdne ko mili hai... A Very Good Creation Shihab!!! bahoot khoob!!
bahot waqt baad itani payar me main doobi kavita padne ko mili...................wah madam itne din se ghayel kya bhajiye tal raha tha  DOH waise baat to sahi hain shihab good work par itna bhi good mat karo yaar ke logh muh pe insult kar de hamari
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: November 25, 2008, 05:22:41 PM »
Reply with quote
bahot waqt baad itani payar me main doobi kavita padne ko mili...................wah madam itne din se ghayel kya bhajiye tal raha tha  DOH waise baat to sahi hain shihab good work par itna bhi good mat karo yaar ke logh muh pe insult kar de hamari

 Shocked Even More  Shocked Even More  DOH

bhajiya tal rahe the ya tal rahe the Ishaq
shabdo per gorr farmaye, un hi na kare kich kich  NaNaNa

zaher se bujhe shabd, un main pyar kaha se paau
lubo per rahta hai gussa, khumar na main dekh paau  DOH

jaisa likha, waisa kaha, ab apko kaya samjhau
laga ho jo apko boora, To main mafi ki mang utthau  Laughing hard
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: November 26, 2008, 07:42:19 PM »
Reply with quote
Shukariya Sajid Saheb.. Par Mein Insult Wali Baat Samjha Nahi?
Plz Aap Zara Is Baat Pe Roshni Daalenge?
Arey yaar yuhi pooja jee ke sath mazak kar raha tha tum naraz mat hona yaar dosto ke beech halki phulki mazak to jayez hain na yaar
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: November 26, 2008, 11:14:38 PM »
Reply with quote
Zahe Naseeb Pooja Ji Ki Aapne Itne Pyaar Se Pada Thanks
Aur Kya Karu Mera Mehoob Hai Hi Kamaal
So Mujhe Kahin Bhi Shabd Dhundne Nahi Padta hmhm
Bohat Bohat Shukariya Ji Ki Aapne Apni Kimti Waqt Diya
Gar Aap Bhi Kuch Likh Jaate To Hume Kuch Sikhne Ko Milta.?



Shihab.. app kahe aor hum na maane.. aisa to kabhi hua nahi..

magar shayad ajj wo baat nahi bani... jis ki app umeend karte hai mujhse.. Bombay attack ki situation ki wajah se man udaas hai.. Phir bhi koshish ki hai: shayad pasand ayye:


Tere payar ki boondon main
Na jaane kab yah zulfe khul jaati hai
Chati  hai tere chehre per
Aor saansein meri ruk jaati hai,

Barste ho jab mujh per
Her sans mehak jaati hai
Khuli lato ko jab tum suljhate ho
Her khwaish, jawan ho jaati hai

Bichar kar bhi bhulati nahi baatein
Phir se milne ki tadap uth jaati hai
Kis kadar kiya mujhe tumne deewana
Na dekhu tumhe ek pal to dhadkane goom ho jaati hai
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #6 on: November 27, 2008, 12:07:10 AM »
Reply with quote


Tu Baal meray suljhata tha mien aur unhien uljhata tha
Per ub mien kisay staon ga, iss ka tu hul batao na

Ja meri Manzil cheen-nay waly teri manzil tumhien mubarak
per janay walay rukna zara, galay tu miltay jao na




Sajid Hadayat
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: November 27, 2008, 11:54:52 AM »
Reply with quote
Waah Bhaijaan,.
Kya Mehfillm Sajaai Hai,.
Nice One,.

Pooja Didi Aapne Bhi Achcha Likha Hai,.
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #8 on: November 27, 2008, 08:28:29 PM »
Reply with quote
thanks shihab,, bohat shukria
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: November 27, 2008, 10:01:42 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause

wah wah wah kamal ka jawab likha hai apne Shihab ji... bahoot khoob.....

Thanks Lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: November 29, 2008, 10:03:12 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

wah wah wah kamal ka jawab likha hai apne Shihab ji... bahoot khoob.....

Thanks Lil bro


U Are welcome Didi jaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: November 29, 2008, 10:12:32 AM »
Reply with quote
Wo Baat Yaad Hai, Jab Wo Zulfein Lehraaya Karti Thi,.
Mere Aane Ki Khabar Sunkar, Khud Ko Sajaaya Karti Thi,.

Mere Rang Mein Meri Mohabbat, Rang Jaaya Karti Thi,.
Ye Tabki Baat Hai, Jab Kismat "Azeem" Par Phool Barsaaya Karti Thi,.

Ab Nazaara Hi Kuch Aur Hai,.
Meri Mohabbat Ab Mujhse Gair Hai,.

__________________________________-Jaanasheen-

 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: November 30, 2008, 07:53:20 AM »
Reply with quote
nice lil bro
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: November 30, 2008, 08:17:52 AM »
Reply with quote
So wonderfully presented thoughts Shihab Ji
Nice contribution from others as well
Logged
yash sharma
Guest
«Reply #14 on: April 19, 2011, 08:28:14 AM »
Reply with quote
Lehra  Do  Apni  Zulfein-e-Sanam , Ki Inme  Aaj Kho Jaaun
Thoda Sa Qareeb Aao , Ki Tumhaari  Baahon Mein So jaaun

Ik  Muddat  Se   Tadpa  Rahi  Hai  , Pyaas   Tujhey  Paane Ki
Jee  Karta  Hai , Tere  Hontho  Ke  Rashile  Jaam  pee Jaaun.

Udaa  Rahi  Hai  Kabse  Hawaa  , Rukh  Se Tere  Aanchal Ko
Tu Hi  Bata  Aise  Mein  Is  Pagal Dil  Ko , Kaise  Samajhaun.!

Khwaishen  To  Barhti   Rahengi  ,  Iska   Koi  Ilaaj  Nahi Hai
Ban Jaao Tum Meri  Dulhan , To Saari Duniya Ko Bhul Jaaun

Kaise Bayaan Kardu Apne Shabdo  Mein  Aur Teri Saadgi Ko
Par Ye B To Sach He Tujhe Soche Bina Kuch Likh Nahi Paaun.


                     ~Shihab~

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:59:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer