Maa Meri :-) :-)

by arifuddin on May 24, 2010, 04:09:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1493 times)
arifuddin
Guest
Reply with quote
Maan dunya ki sab se badi niymat hai dost

mere chalne k liye Qadmo'n k niche Apne Paon deti thi
Oodhni Hatati sar se Apne mere cheh reko thandi chaon deti thi

mere bilak ne se uska kaleja jal sa jata tha
wo godi me joleti maosam sara badal sa jata tha

naraaz hun kehkar wo munh pherleti
yu'n mithi si saza deti
mai muskura kar Maa'n kehta wo Dil se du'a deti

mere chahre ko padhkar pareshani bhaa'np leti wo
mere paet ki Aag ko apne seene se bujha deti wo

Aaj raat Aankh nahi lagi pehlisi to Qoob roya mai
neend me to tabtak tha jabkat maa'n se lipat kar soya mai

Aage Aage mai wo mere piche piche daod lagati thi
samjha bujha kar wo luqma luqma Khana khila ti thi

wo phal khilati aur aksar ungliya'n kaatle ti thi
mujhse chupati aur mere Gumo'n ko baat leti thi

jab bhi maoqa mile Maa'n se mohabbat mangleArif
jannat ko mangne se Maa'n to nahi milti
 
wo ghar laot to jatein hai lekin ponch nahi pate
jinke gharon me unki maayei'n nahi hoti

            
                icon_flower icon_flower
Logged
cara
Guest
«Reply #1 on: May 24, 2010, 04:22:07 AM »
Reply with quote
wah kya baat hai     Arifuddin ji

Maangna hai khuda se to "MAA" maang jannat nahin
"MAA" ke kadmon me jannat bhi mil jayengi wahin..
Logged
arifuddin
Guest
«Reply #2 on: May 24, 2010, 04:25:23 AM »
Reply with quote
ek dam sahi kaha Aap ne
bohat Qoob aur shukriya cara jii
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: May 24, 2010, 06:22:28 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut khoob Arif ji... maa se rishtey ko aapne bahut hi sundarta se likha hai... bahut umda tarike se aapne apne ehsaason ko shabdon me daala hai... bahut khoob... yunhi likhte rahiye...!!!
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #4 on: May 24, 2010, 09:39:02 PM »
Reply with quote
Waise to Maa ke bare me har likha kalam kalamo ka Imam hota hai.......lekin is kalam me jo Qafiye aur Radeef ko baar baar badla gaya yeh baat pasand nahi aayee....na hi ise aap Ghazal bana sake na Nazm na Geet.
Logged
arifuddin
Guest
«Reply #5 on: May 25, 2010, 04:30:02 AM »
Reply with quote
sajid bhai iske liye Mafi chata hun
inshaAllah Aainda iska Qayaal rakkhunga

SHukriya sajid bhai Aapne Apne nek Qwahishat ka izhar kiya aur mujhe talQeen bhi ki shukriya
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: May 25, 2010, 06:48:58 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Arif ji,aapne apni maa ke mamta ko mahsoos kiya aur apne ehsaaso ko bahut khoobsurti se likha.bahut pasand aayi aapke kavita.midblowing creation,great lines by Cara ji,keep up the good work icon_salut Hats off to you! Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
arifuddin
Guest
«Reply #7 on: May 25, 2010, 07:55:51 AM »
Reply with quote
shukriya madhu ji aap hamesha mere kalaam ko saraah ti hain
bohat bohat shukriya aap ka jo apna Qimti waqt yaha sarf kiya
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: May 25, 2010, 08:48:37 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Arif Ji
Logged
mdarif
Guest
«Reply #9 on: May 25, 2010, 10:42:53 AM »
Reply with quote
shukriya rajesh ji
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #10 on: May 25, 2010, 08:20:44 PM »
Reply with quote
sajid bhai iske liye Mafi chata hun
inshaAllah Aainda iska Qayaal rakkhunga

SHukriya sajid bhai Aapne Apne nek Qwahishat ka izhar kiya aur mujhe talQeen bhi ki shukriya


Mere bhai aapse zyda khushi mujhe huwi hai yeh jaankar ke aapne meri mamuli islah ko itni mohabbat se kabool kiya...........warna zydatar to hum khamosh rehna hi pasand karte hai mere bhai........aajkal kisi se kuch keh do uske kalam ke bare me to achcha khasa bawaal mach jata hai.

Allah aapki kalam ko aur takat bakshe....AAMEEN
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #11 on: May 25, 2010, 08:33:36 PM »
Reply with quote
MashaAllah Bahoot Bahoot Khoob aur sahi Likha hai.. bahoot Umda Peshkash..

Keep Writing....!
Logged
arifuddin
Guest
«Reply #12 on: May 26, 2010, 04:43:38 AM »
Reply with quote
sophi ji Bohat Bohat shukriya
Aap ka jo apna Qimti waqt mere kalam
ko padhne me lagaya thanks
Logged
arifuddin
Guest
«Reply #13 on: May 26, 2010, 04:46:06 AM »
Reply with quote
Mere bhai aapse zyda khushi mujhe huwi hai yeh jaankar ke aapne meri mamuli islah ko itni mohabbat se kabool kiya...........warna zydatar to hum khamosh rehna hi pasand karte hai mere bhai........aajkal kisi se kuch keh do uske kalam ke bare me to achcha khasa bawaal mach jata hai.

Allah aapki kalam ko aur takat bakshe....AAMEEN

As salamu alaikum :
 sajid bhai maine Haa galati to ki hai soo maine Qubool karli
aur sajid bhai Shukar hai jo Aapne samjha ya shayed mai samjh gaya
inshaAllah umeed hai Aur aage bhi Aap mujhe talqeen karoge bhai
du'a k liye Shukriya ,,,,, 
                          Salaam
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:55:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.308 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer