Maaf kar dena

by Preet.Dehlvi on March 29, 2006, 06:24:25 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 4455 times)
chitra
Guest
«Reply #15 on: March 31, 2006, 08:19:19 AM »
Reply with quote
Quote from: "preet ji"

Thanks Rajbir and Mohsin.
And Chitra Ji. Koi jawab nahin aapka.

Khamoshi zubaan ban jaaye jab to mohabbat hoti hai,
Hya ikraar ho jaaye jab to mohabbat hoti hai.

Nam aankhon ko choo lein lab to mohabbat hoti hai,
Bahen aagosh mein le lein jab to mohabbat hoti hai.

Shokhiyan rang-e-hina bane jab to mohabbat hoti hai,
Dil mein kahin uthe koi dard to mohabbat hoti hai.

Tanhaiyan lubhane lagein jab to mohabbat hoti hai,
Jana jaan ban jaye jab to mohabbat hoti hai.

Sansen toofan ban jaayen jab to mohabbat hoti hai,
Dil koi nakhuda dhonde jab to mohabbat hoti hai.


khamoushi se karti hoon izhaar hume bhi mohbbat hoti hai
dekh apki dewaangee apko paane ki hasrat kai bar hoti hai

agosh mein aagye hum bhi apke bekhud ho behudi se
ab dekhte hai kaisee milne pe mahboob ke kitni raahat hoti hai

apke naam ki hina haatho mein na lgate to achchha tha
jab bhi dekhu isse to machal ke jawaan mohbbat aur hoti hai

dhadkta hai dil jabse teri saanso ko mahsoos kiya
tadpan aur bad jaati hai fir,kya asiee mohbbat hoti hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Maaf kardena hamain by muneeb in Shayri for Dard -e- Judai
bhool chook maaf........english hai he tough language.... by sunny_bunny in SMS , mobile & JOKES
maaf kar deyna by anjaan dharkan in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Muje maaf kar dena.... by Dil Shah in Share Poetry You Like
Maaf kar dena Mujhe by Rajah rohan in Miscellaneous Shayri
mohsin akhter
Guest
«Reply #16 on: March 31, 2006, 12:46:12 PM »
Reply with quote
Quote from: "chitra"
Quote from: "preet ji"

Thanks Rajbir and Mohsin.
And Chitra Ji. Koi jawab nahin aapka.

Khamoshi zubaan ban jaaye jab to mohabbat hoti hai,
Hya ikraar ho jaaye jab to mohabbat hoti hai.

Nam aankhon ko choo lein lab to mohabbat hoti hai,
Bahen aagosh mein le lein jab to mohabbat hoti hai.

Shokhiyan rang-e-hina bane jab to mohabbat hoti hai,
Dil mein kahin uthe koi dard to mohabbat hoti hai.

Tanhaiyan lubhane lagein jab to mohabbat hoti hai,
Jana jaan ban jaye jab to mohabbat hoti hai.

Sansen toofan ban jaayen jab to mohabbat hoti hai,
Dil koi nakhuda dhonde jab to mohabbat hoti hai.


khamoushi se karti hoon izhaar hume bhi mohbbat hoti hai
dekh apki dewaangee apko paane ki hasrat kai bar hoti hai

agosh mein aagye hum bhi apke bekhud ho behudi se
ab dekhte hai kaisee milne pe mahboob ke kitni raahat hoti hai

apke naam ki hina haatho mein na lgate to achchha tha
jab bhi dekhu isse to machal ke jawaan mohbbat aur hoti hai

dhadkta hai dil jabse teri saanso ko mahsoos kiya
tadpan aur bad jaati hai fir,kya asiee mohbbat hoti hai
khamoshi mohabbat ka pahla sabak hai
khamosh rahna dil ki tadap hai
bechani kyon hote ho dosto
khamoshi hi mohabbat ki pahli sarhad hai
Logged
Preet.Dehlvi
Guest
«Reply #17 on: April 03, 2006, 07:14:39 AM »
Reply with quote
Bahut khoob likha Chitra Ji. Bahut hi jazbaati shayari hai aap ki.
Arz hai ..

Raaten haseen
sard chandni
aur ret par chhapte
do nishan.
Jazb kar len
yeh lamhe
kahin ho na jayen
phir dhuan dhuan.
Sansen hamari
sansen tumhari
aur pyar yahan
aur pyar wahan.
Na rok sako tum
na rok payen hum
sahilon tak aaj
aa pahunche toofan.
Bahon ki narmiyan
labon ki garmiyan
aur hawain ravaan ravaan
tehzib-e-duniya se
kyon daren jaana
jab tum bhi jawan
aur hum bhi jawan.
Logged
Preet.Dehlvi
Guest
«Reply #18 on: April 03, 2006, 07:17:05 AM »
Reply with quote
Mohsin ji - wah kya sher kaha hai.
Arz kiya hai ...

Sarhaden mohabbat ki banayen kaise,
Us mukaam tak khud ko le jayen kaise,
Kehti hai duniya ki mohabbat khuda hai,
Tum hi batao yaara khuda ko paayen kaise.
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #19 on: April 03, 2006, 10:22:03 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
Preet.Dehlvi
Guest
«Reply #20 on: September 29, 2006, 06:16:14 AM »
Reply with quote
Thankyou Mohsin Ji,
I have logged after a very long time so there is lot to catch up.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: September 13, 2007, 03:27:56 PM »
Reply with quote
Quote from: "Preet.Dehlvi"
Bahut khoob likha Chitra Ji. Bahut hi jazbaati shayari hai aap ki.
Arz hai ..

Raaten haseen
sard chandni
aur ret par chhapte
do nishan.
Jazb kar len
yeh lamhe
kahin ho na jayen
phir dhuan dhuan.
Sansen hamari
sansen tumhari
aur pyar yahan
aur pyar wahan.
Na rok sako tum
na rok payen hum
sahilon tak aaj
aa pahunche toofan.
Bahon ki narmiyan
labon ki garmiyan
aur hawain ravaan ravaan
tehzib-e-duniya se
kyon daren jaana
jab tum bhi jawan
aur hum bhi jawan.



wah kaya baat hai.. Preet, Chitra, Mohsin bahoot acha likha hai .. all poems are too good in this thread!!

Man mai agan
Tan hua magan
Dil ki yah dhadkan,
Dil mai sawal
Ankhon mai jawab
Hatho main hath Sajan,
Kadam sath sath
Chalti hui raat
Garm sanso ki agan,
Izhaar tumhara
Ikraar humara
Bhawnao ka bandhan,
Khamosh tum
Khamosh hum
Khamoshi ka wo sangam!!!
Logged
paani
Guest
«Reply #22 on: September 29, 2007, 09:09:46 AM »
Reply with quote
Quote from: "Preet.Dehlvi"

Tumse kahin aaj lipat jaayen to maaf kar dena,
Had se gar aage badh jayen to maaf kar dena.

Shokhiyan aankhon ki betaab kar rahi hain hum ko
Aaj in me kahin doob jayen to maaf kar dena.

Bheege hothon ke paimane na dikhao hum ko,
Inhe peene ko lab lipat jaayen to maaf kar dena.

Dil ki baaten lab tak laa kar rok lete hain hum
Khat hamare kitabon mein kabhi pao to maaf kar dena.

Har saans hamari tumhare husn ki karzdaar ho chuki,
Dil-e-nadaan izhaar-e-mohabbat kar jaye to maaf kar dena.

Ulfat ke afsane goonjte hain kayanat tak,
Ishq hamara tumhe badnaam kar jaaye to maaf kar dena.

Jaana, Had se aage badh jaayen to maaf kar dena,
Tumse kahin aaj lipat jaayen to maaf kar dena.

Lajawaab...

Logged
Roja
Guest
«Reply #23 on: September 30, 2007, 05:41:38 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Preeti , Chitra and Nirbhay... =D>

Dil ke darwaje pe dastak na lagana koyee
Mere soye huwe jajbath na jagana koyee

Mai kab ka nikal chuki hu unke dilse
Mere hall ka kissa unhe na batana koyee

Mai kisii bhi pal hawawon main bikar sakti hu
Ab mujhe aankhon main apni na basana koyee

Umer ber intezar main jagta raha wo dilse
Ab chain se soya hai usse na jagana koyee

"Roja" ne kanton pe guzari hai zindagi ka her pal
Uski tasveer ko phoolon se na sajana koyee...
[/color]
Logged
Preet.Dehlvi
Guest
«Reply #24 on: October 19, 2007, 05:47:07 AM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai Roja Ji...

Ulfat ke afsaane dilon mein reh jaate hain,
Roti hain aankhen aur hooth bhi sil jaate hain,
Haal yun behaal kiya uski zafa ne
ki nikaal chuka jo dil se hume apne,
kadam usi ke dar ki taraf be-sakhta uth jaate hain.
Logged
paani
Guest
«Reply #25 on: October 19, 2007, 07:00:20 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Bahut khoob Preeti , Chitra and Nirbhay... =D>

Dil ke darwaje pe dastak na lagana koyee
Mere soye huwe jajbath na jagana koyee

Mai kab ka nikal chuki hu unke dilse
Mere hall ka kissa unhe na batana koyee

Mai kisii bhi pal hawawon main bikar sakti hu
Ab mujhe aankhon main apni na basana koyee

Umer ber intezar main jagta raha wo dilse
Ab chain se soya hai usse na jagana koyee

"Roja" ne kanton pe guzari hai zindagi ka her pal
Uski tasveer ko phoolon se na sajana koyee...
[/color]


"Mai kisii bhi pal hawawon main bikar sakti hu"

nice roja
Logged
SHONA
Guest
«Reply #26 on: October 20, 2007, 12:06:35 PM »
Reply with quote
Quote from: "Preet.Dehlvi"

Tumse kahin aaj lipat jaayen to maaf kar dena,
Had se gar aage badh jayen to maaf kar dena.

Shokhiyan aankhon ki betaab kar rahi hain hum ko
Aaj in me kahin doob jayen to maaf kar dena.

Bheege hothon ke paimane na dikhao hum ko,
Inhe peene ko lab lipat jaayen to maaf kar dena.

Dil ki baaten lab tak laa kar rok lete hain hum
Khat hamare kitabon mein kabhi pao to maaf kar dena.

Har saans hamari tumhare husn ki karzdaar ho chuki,
Dil-e-nadaan izhaar-e-mohabbat kar jaye to maaf kar dena.

Ulfat ke afsane goonjte hain kayanat tak,
Ishq hamara tumhe badnaam kar jaaye to maaf kar dena.

Jaana, Had se aage badh jaayen to maaf kar dena,
Tumse kahin aaj lipat jaayen to maaf kar dena.



Nice one..in true sense khumar-e-ishq.. Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:38:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer