"maah o saal ki baat kahan"

by aaina on June 30, 2009, 08:14:36 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2128 times)
aaina
Guest
Reply with quote
Aa ke mujh main samaja aise
Barish ka zameen se ho rishta jaise

Meri panahon main rang yun tera khile
Fizaaon pe chhayi ho bahara jaise

Tujh ko paaya to dil ye kehne laga
Mil gaya mujh ko jeene ka sahara jaise

Itni qurbat hai tujhse ae jaan-e-jaan
meri saanson ko tune chhu liya jaise

Mere humraah har pal, har ek lamha
Meri rooh main tu ho basa jaise

Har ek aahat pe chaunk uthta hoon
 teri dulhan hoon, usne ye kaha jaise

Ek teri tamanna ke siwa lab pe
Aati nahin aur koi dua jaise

Tu meri subho main, shaamon main,
 shaamil hai mujh main, meri ana jaise

Tu mila hai mujhe ae jaan-e-hayaat
Khuda ek ek haseen tohfa jaise

Meri aankhon main teri surat,
Meri beenayi main noor sa jaise

Maah-o-saal ki baat kahan,
Hai sadiyon ka silsila jaise

Tu mujh main aur tujh main hoon,
Ho duaaon mein moajza jaise

Teri aankhon maine paaya hai
Apne jeene ka hausla jaise
Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: June 30, 2009, 12:00:44 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot khoobsurat ghazal hai Aslam Ji Bohot achcha likha hai aapne...Bohot bohot Khoob  icon_thumleft
Logged
aaina
Guest
«Reply #2 on: June 30, 2009, 12:39:24 PM »
Reply with quote
Bahot bahot umda mashallah har sher behatareen likha hai aapne Aslam ji, daad kubool karen behad khoobsoorat kalaam


bhut bhut shukriya kaash
Logged
aaina
Guest
«Reply #3 on: June 30, 2009, 12:40:08 PM »
Reply with quote
Bahot bahot umda mashallah har sher behatareen likha hai aapne Aslam ji, daad kubool karen behad khoobsoorat kalaam

thnxxxxx so much talat
Logged
pandit
Guest
«Reply #4 on: June 30, 2009, 03:31:28 PM »
Reply with quote
Aa ke mujh main samaja aise
Barish ka zameen se ho rishta jaise

Meri panahon main rang yun tera khile
Fizaaon pe chhayi ho bahara jaise

Tujh ko paaya to dil ye kehne laga
Mil gaya mujh ko jeene ka sahara jaise

Itni qurbat hai tujhse ae jaan-e-jaan
meri saanson ko tune chhu liya jaise

Mere humraah har pal, har ek lamha
Meri rooh main tu ho basa jaise

Har ek aahat pe chaunk uthta hoon
 teri dulhan hoon, usne ye kaha jaise

Ek teri tamanna ke siwa lab pe
Aati nahin aur koi dua jaise

Tu meri subho main, shaamon main,
 shaamil hai mujh main, meri ana jaise

Tu mila hai mujhe ae jaan-e-hayaat
Khuda ek ek haseen tohfa jaise

Meri aankhon main teri surat,
Meri beenayi main noor sa jaise

Maah-o-saal ki baat kahan,
Hai sadiyon ka silsila jaise

Tu mujh main aur tujh main hoon,
Ho duaaon mein moajza jaise

Teri aankhon maine paaya hai
Apne jeene ka hausla jaise








bahut khoob aina je........
Logged
shayara
Guest
«Reply #5 on: June 30, 2009, 04:01:08 PM »
Reply with quote
Aaina Ji,

Behad khoobsurat ghazal

Shayara
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: June 30, 2009, 04:20:54 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Aslam ji.. bahoot Khoob!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #7 on: June 30, 2009, 06:16:57 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooooob Aslam Bhai.. Lajawab Alfaazon se Sajaaya hai aapne apni is Rachna ko.. Bahut Hi Khubsoorat Peshkash hai dost.. Bahut bahut Khoooooooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: June 30, 2009, 06:21:38 PM »
Reply with quote
Wah Aslam ji,mindblowing,very beautiful creation, Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: July 01, 2009, 03:46:50 PM »
Reply with quote

bhut shukriya pandi ji






bahut khoob aina je........
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: July 01, 2009, 03:47:53 PM »
Reply with quote
Aaina Ji,

Behad khoobsurat ghazal

Shayara


thnxxxxxx shayara ji
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: July 01, 2009, 03:48:35 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Aslam ji.. bahoot Khoob!

thnxxxx so much sophi
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: July 01, 2009, 03:49:48 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooooob Aslam Bhai.. Lajawab Alfaazon se Sajaaya hai aapne apni is Rachna ko.. Bahut Hi Khubsoorat Peshkash hai dost.. Bahut bahut Khoooooooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**

thnxxxx so much dear is hosla afzaaii ka
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: July 01, 2009, 03:50:29 PM »
Reply with quote
Wah Aslam ji,mindblowing,very beautiful creation, Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

thnxxxxxxxx madhu
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #14 on: July 02, 2009, 05:38:43 PM »
Reply with quote
Bohat hi khoobsurat likhahain aapne Aslam Mia...Acche sher-on se sajaayi hain puri ghazal.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:46:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer