..~~Madhosh~~..

by HumTum on September 08, 2005, 08:48:34 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3560 times)
HumTum
Guest
«Reply #15 on: September 10, 2005, 03:16:08 PM »
Reply with quote
hummm par miyaan kabhi to izhaar ki tamana uthti hai;)


mana ke nazaroon se ho jati hai baat lekin
muhoobat mein jarruri hai izhaar bhi
yeh jante hai hum ke ishq hai unko humse
lekin chaiye karna unko iqraar bhi;)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~Madhosh~~.... by HumTum in Shayri for Khumar -e- Ishq
Madhosh Ho chuka Hoon main by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Madhosh Raat by raajaindra in Shayri-E-Dard
koi madhosh hai by vicharika in Shairi - E - Zindagi
madhosh kar rakha hai teri aakhon ne by ripan dev in Share:Miscellaneous Shayari « 1 2  All »
thycreator
Guest
«Reply #16 on: September 10, 2005, 03:30:58 PM »
Reply with quote
hmmmmmmm........

Jab ishq kar liya toh iqrar ka israr kyu kare,
Wo mehboob hai mera koi sitamgar nahi,
Dekha hai humne uski nigahon mein khud ko,
Aajkal itna pyar hona kamtar toh nahi....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #17 on: September 10, 2005, 03:40:59 PM »
Reply with quote
shi hai yeh bhi ......

woh karta hai ishq agar to izhaar se darta kyun hai
yun chup chup ke ahoo pe aahien bharta kyun hai?
jab usko dar hai zamane ka to fir e dost yeh bta
woh humse iss kadar pyaar karta kyun hai ?
Logged
thycreator
Guest
«Reply #18 on: September 10, 2005, 03:44:17 PM »
Reply with quote
Pyar karta hai kaun miyan,pyar ho jata hai,
Ek nigah ki hai bat aur dil kho jata hai,
Kab hua hai dil pe kabu kissi ka aye dost,
Ek pal mein apne se paraya ho jata hai......
Logged
HumTum
Guest
«Reply #19 on: September 10, 2005, 03:50:17 PM »
Reply with quote
jab dil hi kissi ka ho liya to fir zamane se darna kasia
jab kho hi gaye rah e ishq mein to fir sambhalana kasia
jate hai hum ke ankhoon mein pyar hai tumhare
yeh bhi sach hai fir izhaar se yun mukarna kaisa !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #20 on: September 10, 2005, 04:22:00 PM »
Reply with quote
Quote from: "moon_chandni"
bahoot khoob hum-tum ji
wakai mein aapne sahi farmaya.

aap yuhi likhte rahe yeh hamari dili khwaish hai

ur in the right way


Thanks a Million Chandni ji ...

" Tum agar sath dene ka wadda kro
mein yun hi mast nagme sunata rhu";)

likha kijiye aap bhi !!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #21 on: September 10, 2005, 04:23:41 PM »
Reply with quote
wowwwwwwwww Humtum n Thy...aaj ek saath ...do do kamaal ..wah ji wah..
tabhi to itni achi shayari chal rahi hai......keep going....
Logged
thycreator
Guest
«Reply #22 on: September 11, 2005, 10:56:27 AM »
Reply with quote
Thanx a lot Nikki ji...........
Bhai Hum Tum........
Ishq mein ishq ka ijhaar nigahon se hua hai yaar,
Juba khamosh rahi hai,dilon ne badhaya pyaar,
Kab muhtaz hui hai muhabbat chand labzon ki,
Bina bole hue hi parwan chadhi hai ye bar bar...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #23 on: September 11, 2005, 11:05:58 AM »
Reply with quote
Thanks a lot choti ....  tum bhi kuch farmao !!

hummm Creator .... bhai .. khoob kha !!!

muhoobat ka fasana to ankhoon se hota byaan hai
sadiyoon se cla yeh ishq o husn ka carvaan hai
izhaar e muhoobat bhi lekin zaroori hai dost
sun ke labo se, ishq ka shola hota jawaan hai;)
Logged
thycreator
Guest
«Reply #24 on: September 11, 2005, 11:09:38 AM »
Reply with quote
Kya karenge muh se bol ke jab dil samajhta hai,
Juban khamosh ho phir bhi dhadkan tej ho jaye,
Yahi toh karishma e ishq hai jisse kehte hai sab,
Ek shabd na ho jaya aur sari hi bat ho jaye...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #25 on: September 11, 2005, 11:15:13 AM »
Reply with quote
hummmmmm

kya kre jab dil mehboob se sunne ko tarse
ke haan ussey bhi hum se bahut pyaar hai
yun to jante hai ke hai woh dilbhar hamara
bas uss ke honthoon se sun ne ka intzaar hai;)
Logged
thycreator
Guest
«Reply #26 on: September 12, 2005, 03:28:12 PM »
Reply with quote
wah wah.........

Gar lab wo khul gaye toh kayamat hogi,
Puri mukammal phir apni ye chahat hogi,
Issliye toh band hothon ki darkar karte hai,
Sab kuch samne aajaye toh kya muhabbat hogi... ;-)
Logged
HumTum
Guest
«Reply #27 on: September 13, 2005, 11:38:51 AM »
Reply with quote
hummmmmmm khoob kha bhai ....


uss kayamaat ki muntzir hai meri ankhien
jab woh honthon se izhaar e pyaar karega
kya hoga woh alaam, ho jaunga "Madhosh"
jab woh apni muhoobat ka ikraar karega !
Logged
thycreator
Guest
«Reply #28 on: September 13, 2005, 03:05:34 PM »
Reply with quote
Wah Hum Tum ji.....bahut acche....

Kiye jate hai hum wafa rah e muhabbat mein,
Anjam iska kya hai na humne kabhi socha,
Jab nasha e muhabbat kiya toh madhosh bhi holen,
Kya hoga jab utregi,wo aalam nahi socha.....
Logged
sanya310
Guest
«Reply #29 on: September 13, 2005, 06:44:06 PM »
Reply with quote
wah wah...jawaab nahi aap dono ka...yahan to achhi khaasi mehfil jam gayi hai...lagey raho..!!! :cool:
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:12:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer