mahboob ki tasweer

by samnoj on December 18, 2004, 03:14:53 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2822 times)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004

View Profile
Reply with quote
dil ke aaine me mere mahboob teri tasweer hai
her shai se bhi nayaab aur dil kush teri tasweer hai

ger tere dust-e-haseeN se ho inayat zahar bhi
mujh mareez-e-ishk ki khatir wahi akseer hai

qurbaan teri shokhiyon pe hai ye meri aashiki
pyaar me tere mujhe manzoor her takseer hai

be nazeer husn tera kab mayassar ho kisi ko
naaz kyun na main karu bakhshi jo ye taukeer hai

ye nigahe karam mujh gar rahe yu hi ta umer
'sam' samjhuga main ye mere nagmo ki taseer hai
Logged
nishita
Guest
«Reply #1 on: December 18, 2004, 03:22:31 PM »
Reply with quote
aaj badi fursat se kisiki tasweer ko dekh raha hai tu lolll

Bohat khoob.. aaj aap bade romantic mood me ho sam sahab kya baat hai Winking
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004

View Profile
«Reply #2 on: December 18, 2004, 03:25:17 PM »
Reply with quote
ha ha tasweer to pahle hi dekhi thi
ha talat hai
Logged
nishita
Guest
«Reply #3 on: December 18, 2004, 03:26:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "samnoj"
ha ha tasweer to pahle hi dekhi thi
ha talat hai

Talat hai?Huh?Huh?Huh?Huh??? matlab?? Shocked
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: December 18, 2004, 03:27:31 PM »
Reply with quote
Shocked ShockedShockedShockedShockedShockedShockedShockedShocked
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: December 19, 2004, 01:27:52 PM »
Reply with quote
Quote from: "samnoj"
dil ke aaine me mere mahboob teri tasweer hai
her shai se bhi nayaab aur dil kush teri tasweer hai

ger tere dust-e-haseeN se ho inayat zahar bhi
mujh mareez-e-ishk ki khatir wahi akseer hai

qurbaan teri shokhiyon pe hai ye meri aashiki
pyaar me tere mujhe manzoor her takseer hai

be nazeer husn tera kab mayassar ho kisi ko
naaz kyun na main karu bakhshi jo ye taukeer hai

ye nigahe karam mujh gar rahe yu hi ta umer
'sam' samjhuga main ye mere nagmo ki taseer hai

Bohot khoob Sam!!!!!

Ye teri tasveer hai ya husn-e-mujassim hai
Is ke aage to chaand bhi madhdham hai
Ek shola sa bhadhka hai ya koi shabnam hai
Ek tasveer ne teri dhaya kya kya sitam hai!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: December 19, 2004, 02:08:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

excellent work samonj bhai...............talat................ tongue3  tongue3
Teri tasweer se dil ko behlain ge
dil na behla ager tu kahan jain ge
kuch moobada`e ghum soch lain aa sanum
aaj mil ker be hum, hum bicher jayenge.............
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: December 19, 2004, 02:12:30 PM »
Reply with quote
Thanks Waheed happy9  n good one!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #8 on: December 19, 2004, 02:29:16 PM »
Reply with quote
ur welcome ................talat.........
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: December 21, 2004, 02:42:35 PM »
Reply with quote
tasveer se teri baat kar lete hain dil ki
ranj apna kehke ansu bhi bahate hain
khabar hai tu mera nahin jaan-e-hyat
jaane kya soch ke dil ko behlate hain!!!
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004

View Profile
«Reply #10 on: December 21, 2004, 02:47:52 PM »
Reply with quote
tasweer ko dekh ker teri hum baate karte the
teri tasweer se bolte the, usi ke saath hunste the
mere ghumo ko door karde aisi thi tasweer teri
teri tasweer ke sahare hi to hum ji lete the
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: December 21, 2004, 02:53:02 PM »
Reply with quote
jisne tujh ko hansna sikhaya, wo nahin hoon main
jisne tera har gham bhulaya, wo nahin hoon main
wo aur hi hain jinki tasveer tere dil main hai
wo aur hi hain jinke dum se teri zindagi roshan hai
Logged
nishita
Guest
«Reply #12 on: December 21, 2004, 05:46:16 PM »
Reply with quote
waah mere bull dog @sam
roz karte ho tum jog

waah waah talat
tum kabhi nahi hoti galat

wah....eed tumhara naam hi kehta hai
tumhari likhai tareefe-e-kaabil hai

Usual Smile excellent mere dosto..!
Logged
immi
Guest
«Reply #13 on: December 21, 2004, 05:49:37 PM »
Reply with quote
Nice all !!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: December 22, 2004, 01:05:00 PM »
Reply with quote
wow wow  talat ...samnoj bhai.........

ur.......welcome................nishi............ .......ta...

Yaadoon ki sulagti raatoon main dil thaam ke hum soya karte hain
Badi hasrat se tasveer teri ashkon se bhigoya karte hain............   (nm)
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:41:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer