Aaj berson ke baad tumhain samne dekh ker
Hazar hairatoN ke pahad mujhper toot pade
Tumhare ser mein kuch safaid doore dekh ker
Apne ser mein jhankti Safaidi ki shikayet bhool gaye
Tumhare chehre ka jalal aur tadabbur dekh ker
Main khud ko yaqeen dilaane mein nakaamyaab raha
Ke yeh tum ho
Tumhare chehre ki shadabi
LaboN per ith lati si muskurahat
SharartoN se labrez aankhain
NigahoN mein shookhi aur eezarasani
Istarah se ghayab hain
Jaise in se tumhara koi rishta hi natha
Maine tum se aur tumne mujhse
Rasmee si khairiyat poochi
Jo hamari rasm thee hi nahin
Meri nazroN ne tum se pucha
Tumhare shauher aur bachche
Tumhara waisa hi berjasta jawab
Main azal se tanha thee aur hun
PHIR TUMNE ACHAANAK
Mere biwi aur bachchoN ke bare mein sawal kia
Meri kuch dare ki khamooshi ne tumhain
Sakte mein daal diya tha
Aur jab maine tumhain bataya
Main bhi qaaide tanhayee ki saza kaat raha hun
To tumhari aankhain
Aikdam munnawar aur raushan ho gayein
Phir achanak unmain nami si chalak aayee
Aur us nami ko chupane ke liye
Tum wahan se uth ker chaleen gayeeN
Aur Javed
Tum se is namee ke bare mein bhi
Na pooch saka
Javed
javed sahab mashallah bhut hi achai nazam kya baat hai bhut hi umda daad hazir hai janaab qubool keejiye
is nazm par parveen shakir saheba ki ek nazm yaad aa rhai hai share karne ki ijazat chahunga is nazm ka unwaan hai "khalish"
ajeeb tarz e mulaaqaat abki baar rhi
tumhi the badle huway ya meri nigaahe.n thin
tumhari nazro.n se lagta tha ki mere bajaaye
tumhare ghr koi aur shqs aaya hai
tumhare ohday ki daine tumhe mubarakbaad
so mera swaagat bhi tumne usi tarhan se kya
jo afsaaraan e hukumat ke aticate mai hai......
takallufan mere nazdeek aake baith gaye
phir ehtmaam se mousam ka zikr chaid dia
kuch uske baad siyasat ki baat bhi nikli
adab pe bhi koi do chaar tabsare farmaaye
magr na tumhe hamesha ki tarhan ye poocha
ke wqt kaisa guzarta hai tera jaan e hayaat
phaad din ki azeeyat mai kitni shiddat hai
ujaad raat ki tanhaaii kya qayamat hai
shabo.n ki sust ravi ka tujhay bhi shikwa hai
gham e firaaq ke qisse nishaat e vasl ka zikr
riwaayatan hi sahi koi baat to karte..............