Main Khwaab Ke Safar Mein Hoon...

by Aryaan on April 09, 2006, 03:11:30 AM
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Author  (Read 7228 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #60 on: July 18, 2006, 04:35:39 AM »
Reply with quote
very nice aashish

main kuch na kah sakungi
hai kqismaten kuch aisi
 tujhse na gila hai
dil ne jo bhi chaha
vo door hua hamse
ab kon raha hai
ik khwab ka jaadu hai
dil pe mere chhaya sa
main qed vahan hun
mujh tak nahi aati  hai
koi sada kahin se
 main aise jagah hun
tu haath na jalana
ik jalata khwab me hun
tu lagta bhala hai
mera hai jo naseeba
 vo mujhko mila hai
main ab na chup rahungi
bas tujh se kahungi
main khwab hun gardish ka
na dekh mujhe aise
main hun ek uljhan
bas rah tu door mujhse
tujhko jo dukh hua to
mujhko bhi dukh hi hoga
mera mujhe sahne de
tu bahut bhala hai.................
Logged
ashishjethwa8717
Guest
«Reply #61 on: July 18, 2006, 04:47:32 AM »
Reply with quote
this my new

Darpan mein khud ko dekh kar kaha,
khushi sahi itni ki dard jaa chupa,
Hum to aise na the,aye dil,
kisse kahen humne kya kuch nahi saha.

Beeti baatein roz shaam yaad aati
aur kya bus aanken nam ho jaati
Fursat ke pal bhi ab chain nahi,
bhujta diya ,mein us diye ki baati

Umra guzari intezaar mein,
kyun chaman uzre bahar mein,
Hamse kya khata ho gayi jo,
saath chod chale is sansar mein.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #62 on: July 18, 2006, 11:11:17 AM »
Reply with quote
Bohat shukriya Abeera &  Tabassum...

Bohat khoob Ashish, Tabaasum & Abeera....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #63 on: July 18, 2006, 04:53:49 PM »
Reply with quote
Quote from: "ashishjethwa8717"
this my new

Darpan mein khud ko dekh kar kaha,
khushi sahi itni ki dard jaa chupa,
Hum to aise na the,aye dil,
kisse kahen humne kya kuch nahi saha.

Beeti baatein roz shaam yaad aati
aur kya bus aanken nam ho jaati
Fursat ke pal bhi ab chain nahi,
bhujta diya ,mein us diye ki baati

Umra guzari intezaar mein,
kyun chaman uzre bahar mein,
Hamse kya khata ho gayi jo,
saath chod chale is sansar mein.


very nice asheesh
ye tanhai ki na tum baat karna
ki tanhaai to hai bas apni saathi
ki yehi hai jo hardam saath rahti
ki khvabon kasafar hota hai tanha
kabhi koi khwab sang sang dekh paya
ye hain bas baaten sab shayri ki
ki ham sab dekhte hain khwab tanha
safar khwabon ka ham karne chale hain
to bolo saath paaenge kahaan se
jo koi saath aaya gar hamare
to phir rah jaenge na khwab tanha
ye khwabon ka safar hai sare tanha
chalen hain is safar ko aaj karne
jo chahat saath ki hai khwab chhodo
jo khwabon ki hai chahat saath chhodo
ye apna  faisala hai aap karlo
ye khwabon ka safar hai saath chhdo.....................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #64 on: July 20, 2006, 03:11:51 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Tabassum....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #65 on: July 20, 2006, 03:27:34 PM »
Reply with quote
shukriya aryan
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #66 on: July 20, 2006, 04:12:09 PM »
Reply with quote

Kitne Tanha Tanha Hain Yeh Khwaab Saare
Gham Mein Doobe Huwe Aur Dard Ke Maare

Andheron Mein Dafan Hain Aarzoo-e-Dil Sabhi
Aankhon Ne Sajaye Hain Chahe Laakh Nazaare

Kis Tarha Manayein Ruthe Huwe Aarmanon Ko
Umeedein Torh Dete Hain Yeh Jalte Huwe Taare

Saagar Ne Tau Ki Wafaa Aandhiyon Mein Bhi
Magar Saath Chor Gaye Hain Dariya Ke Kinaare

Bohat Hi Sitamgar Si Payi Hai TaQdeer Hum Ne
Badal Badal Ke Haar Gaye Hain Halaat Bechaare
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #67 on: July 20, 2006, 05:41:22 PM »
Reply with quote
very nice aryan

ye khwabon ke safar ko ham chale saare
ye kuchh jugnoo aur  ye chaand ye taare
ye tumne kaisa qissa chhed hai rakhaa
ki ham sab saath hain par tanha saare
ye kaise khwab hain khush jo nahi hain
sabhi gumsum se hain bas chaand taare
ye koi hai samandar khwaab ka jo
jise bas chhod gae hain usake kinare
ye chalta qafila hai sara tanha
kabhi rukta nahi kisi ke pukaare
ki sab ko justju ek khwab ki hai
sabhi chalte hain bas ik aas leke
kabhi to pura sab ka khwab hoaga
kabhi to khwab ki manzil milegi
kabhi to to ye safar poora bhi hoga
kabhi tanhaai bhi apni mitegi.......................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #68 on: July 20, 2006, 05:50:21 PM »
Reply with quote
Thanks Tabassum & Beautiful Reply...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #69 on: July 20, 2006, 05:54:58 PM »
Reply with quote
thanx aryan aap hamesha honsla dete hain
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #70 on: July 29, 2006, 08:07:47 PM »
Reply with quote

Saaye ki tarha sath rehne waale
Rishta kuch iss tarha toar gaye
Haqeeqat mein milna mumkin na tha
Khwaabon mein aana bhi choar gaye!
Logged
abeera
Guest
«Reply #71 on: July 30, 2006, 05:25:24 PM »
Reply with quote
asalam alikum aryaan kaisay hain aap kahan hote hain aaj kal aap bahut kam nazar aate hain any wez again v,nice

maine apney raaste to alag ker liye
magar meri saari manzilein to tum hoo
maine duaeen to RABse maangi hain
magar duaoon ka haasil to tum hoo

take cool care of your self ALLAH HAFIZ
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #72 on: July 30, 2006, 07:26:37 PM »
Reply with quote
WSalaam Abeera...  main yehin hoon ghayeb tau aap ho jati hain..

Nice Reply..Usual Smile
Logged
moidsandilvi
Guest
«Reply #73 on: August 08, 2011, 09:21:55 AM »
Reply with quote
SAB KUCHH KHUDA SE MAANG LIYA TUJH KO MANG KE
UTHTE NAHIN HAEN HAATH MERE IS DUA KE BAAD
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:59:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer