Yun to pyaar mohabbat me kuch na kuch likhta hi rehta hoon.. aaj socha ki apne pagalpan me kisi ko sajaa ke dekhta hoon kaisa lagta hai...just imagination... aap padhen aur bataayen ki mera ye pagalpan aapko kaisa lagaaa...!!!paagalpan me chaahat ke tumhe paagal main kar jaaungaa
apne haathon se tumhe main kisi pari ki tarha sajaaungaa
sheetal kisi jharne se main paani bhar ke laaungaa
uski har boond se main tumko thandak pahuchaaungaa
main laal nahi gulaabi kuch gulaab chunke laaungaa
unke ras se tumhaare shabnami hothon ko sajaaungaa
rajnigandhaa phool se main tumhaaraa gajra banaaungaa
us mehekte gajre se main tumhaari zulfon ko sajaaungaa
laake phool vann se tumhaari paayal koi main banaaungaa
un phoolon ke paayal se main tumhaare paaon ko sajaaungaa
paagalpan me chaahat ke tumhe paagal main kar jaaungaa
apne haathon se tumhe main kisi pari ki tarha sajaaungaa
kaale ghane baadal ko main aasmaan se le ke aaunga
uske kaale rang se main tumhaare kaajal banaaungaa
aankhon me ho prem ki dhaaraa aisa rass barsaaungaa
chhoo ke tumhaare hothon ko amrit main kar jaaungaa
tut_ke tum bikhar jaao itna pyaar main kar jaaungaa
bhar ke tumko baahon me main deewaanaa kar jaaungaa
nashili tumhaari adaaon ko aur nasheelaa banaaungaa
pyaar ke jaadu se tumko main madhosh sa kar jaaungaa
paagalpan me chaahat ke tumhe paagal main kar jaaungaa
apne haathon se tumhe main kisi pari ki tarha sajaaungaa
milke mujhse bichhar naa paao aisa rog lagaaungaa
seene ki dhadkan to tumhaare aur tez kar jaaungaa
aaogi is baar jo jaanaa tumhe na main jaane dungaa
seene se lagaake tumhe main dil ki pyaas bujhaungaa
gaati raho tum har lamha koi aisi ghazal sunaaungaa
bhool naa paao meri mohabbat aisa asar kar jaaungaa
meri jaanaa, meri soni, tumhe kai naamo se bulaaungaa
paagal, majnu, deewaanaa, main jaane kyaa ban jaaungaa
paagalpan me chaahat ke tumhe paagal main kar jaaungaa
apne haathon se tumhe main kisi pari ki tarha sajaaungaa