Marhaba Marhaba , aaiiye aaiiye !

by Naziya Tahera on February 08, 2009, 04:15:55 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1574 times)
Naziya Tahera
Guest
Reply with quote
Teri khatir bichhi hain nigahe.n meri, Marhaba marhaba, aaiiye aaiiye
Lab ko jumbish to den,mu.nh se bolen zara,kitne khamosh hain,kuchh tu fermaiiye
 
Dekhkar tujhko roshan nigahe.n huee.n, Tujhko pane ko usshaaq ba.nhen huee.n
Muntazar deed ko dil ki raahe.n hueen, Kuchh qadam saath chalne ko aa jaiiye
 
Aaiina Dil andhero.n se ghabra gaya, Raah ke in Lutero.n se tang aa gaya
Zindagi ke liye roshni de.n hame.n, Roshni misl-e Jugnu na phailaiiye
 
Qaeda qaede se na hamne padha, ab hai Danishwaro.n se pada saabqa
Le saken ham bhi kuchh Shayri ka maza, Ye Radeef, Kafiya hamko samjhaiiye
 
Muntazar log hain meri raaho.n me.n kuchh, Dil me.n kuchh aur unki nigaaho.n me.n kuchh
Hai.n bazaahir me.n kuchh, khaankaho.n me.n kuchh, Aye khuda inse mahfooz fermaiiye
 
Aaiine me.n tera aaiina dhoondna, har jagah bas tera naqsh-e paa dhoondna
Gul wa boo me.n kisi ka pata dhoondna, Naziya istarah dil ko bahlaiiye
 
by me-- Naziya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aaiiye haath uThaaye.n ham bhii by DJ Goher in Shayri for Khumar -e- Ishq
Marhaba Ya Ramazaan,. by Azeem Azaad in Occassion Specific Poetry « 1 2  All »
Aamad-e-Maah-e-ramzaan marhaba marhaba...."Sahal" by sahal in The Wishes and Celebrations « 1 2  All »
Roja
Guest
«Reply #1 on: February 08, 2009, 04:23:24 PM »
Reply with quote
Teri khatir bichhi hain nigahe.n meri, Marhaba marhaba, aaiiye aaiiye
Lab ko jumbish to den,mu.nh se bolen zara,kitne khamosh hain,kuchh tu fermaiiye
 
Dekhkar tujhko roshan nigahe.n huee.n, Tujhko pane ko usshaaq ba.nhen huee.n
Muntazar deed ko dil ki raahe.n hueen, Kuchh qadam saath chalne ko aa jaiiye
 
Aaiina Dil andhero.n se ghabra gaya, Raah ke in Lutero.n se tang aa gaya
Zindagi ke liye roshni de.n hame.n, Roshni misl-e Jugnu na phailaiiye
 
Qaeda qaede se na hamne padha, ab hai Danishwaro.n se pada saabqa
Le saken ham bhi kuchh Shayri ka maza, Ye Radeef, Kafiya hamko samjhaiiye
 
Muntazar log hain meri raaho.n me.n kuchh, Dil me.n kuchh aur unki nigaaho.n me.n kuchh
Hai.n bazaahir me.n kuchh, khaankaho.n me.n kuchh, Aye khuda inse mahfooz fermaiiye
 
Aaiine me.n tera aaiina dhoondna, har jagah bas tera naqsh-e paa dhoondna
Gul wa boo me.n kisi ka pata dhoondna, Naziya istarah dil ko bahlaiiye
 
by me-- Naziya

Bahut khoob naziya dear... wonderfully created. good work  Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 08, 2009, 05:14:05 PM »
Reply with quote
Subhan Allah Subhan Allah, Bohat Hi Badhiya hai Naziya Didi, yunhi Likhaa Karein,.

May Allah Bless You..
Logged
Asghr
Guest
«Reply #3 on: February 09, 2009, 01:15:52 AM »
Reply with quote
Teri khatir bichhi hain nigahe.n meri, Marhaba marhaba, aaiiye aaiiye
Lab ko jumbish to den,mu.nh se bolen zara,kitne khamosh hain,kuchh tu fermaiiye
 
Dekhkar tujhko roshan nigahe.n huee.n, Tujhko pane ko usshaaq ba.nhen huee.n
Muntazar deed ko dil ki raahe.n hueen, Kuchh qadam saath chalne ko aa jaiiye
 
Aaiina Dil andhero.n se ghabra gaya, Raah ke in Lutero.n se tang aa gaya
Zindagi ke liye roshni de.n hame.n, Roshni misl-e Jugnu na phailaiiye
 
Qaeda qaede se na hamne padha, ab hai Danishwaro.n se pada saabqa
Le saken ham bhi kuchh Shayri ka maza, Ye Radeef, Kafiya hamko samjhaiiye
 
Muntazar log hain meri raaho.n me.n kuchh, Dil me.n kuchh aur unki nigaaho.n me.n kuchh
Hai.n bazaahir me.n kuchh, khaankaho.n me.n kuchh, Aye khuda inse mahfooz fermaiiye
 
Aaiine me.n tera aaiina dhoondna, har jagah bas tera naqsh-e paa dhoondna
Gul wa boo me.n kisi ka pata dhoondna, Naziya istarah dil ko bahlaiiye
 
by me-- Naziya
Allah kare zor-e-qalam aur zyada.asghr Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: February 09, 2009, 01:25:14 AM »
Reply with quote
Nice work Naziya... apka yoindia main sawagat hai
Logged
seraj325
Guest
«Reply #5 on: February 09, 2009, 03:29:59 AM »
Reply with quote
Bahot khoob Naziya dear....

 Applause         Applause             Applause                 Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: February 09, 2009, 05:20:01 AM »
Reply with quote
wah wah kya baat hai nazia.. well written. Welcome to Yoindia . keep writing dear.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #7 on: February 09, 2009, 08:03:52 AM »
Reply with quote
Subhan Subhan allah janab !! bahoth hi umda aur taherir baksh kalam deti raheti hain app yoindia ko kam likhte hain magar asardar likhti hain , as i told you before that u will be greatest shayara in coming days !! allah apke kalamo ko m iyari izzath de !! Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: February 09, 2009, 08:28:49 AM »
Reply with quote
bahut hi khoobsurat qalaam hai ...........sab ne itni taareef kii hain kii ab hum kya kahe ..bas itna kahenge kii agar aap roz likh sake toh mujh jaise shayaron par khasi meharbaani hogi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: February 09, 2009, 02:11:57 PM »
Reply with quote
Teri khatir bichhi hain nigahe.n meri, Marhaba marhaba, aaiiye aaiiye
Lab ko jumbish to den,mu.nh se bolen zara,kitne khamosh hain,kuchh tu fermaiiye
 
Dekhkar tujhko roshan nigahe.n huee.n, Tujhko pane ko usshaaq ba.nhen huee.n
Muntazar deed ko dil ki raahe.n hueen, Kuchh qadam saath chalne ko aa jaiiye
 
Aaiina Dil andhero.n se ghabra gaya, Raah ke in Lutero.n se tang aa gaya
Zindagi ke liye roshni de.n hame.n, Roshni misl-e Jugnu na phailaiiye
 
Qaeda qaede se na hamne padha, ab hai Danishwaro.n se pada saabqa
Le saken ham bhi kuchh Shayri ka maza, Ye Radeef, Kafiya hamko samjhaiiye
 
Muntazar log hain meri raaho.n me.n kuchh, Dil me.n kuchh aur unki nigaaho.n me.n kuchh
Hai.n bazaahir me.n kuchh, khaankaho.n me.n kuchh, Aye khuda inse mahfooz fermaiiye
 
Aaiine me.n tera aaiina dhoondna, har jagah bas tera naqsh-e paa dhoondna
Gul wa boo me.n kisi ka pata dhoondna, Naziya istarah dil ko bahlaiiye
 
by me-- Naziya

Applause Applause Clapping Smiley Bahut-bahut khoob Naziya ji! Bahut dinon ba'ad itnee dilkash aur aisey andaaz-e-bayaan ki gazal padhaney ko milee hai! If you're a young person, you're destined to rise a lot! You're most welcome to this site! Keep on posting more of your gazals!
                                      - abd bundeli
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #10 on: February 09, 2009, 03:27:23 PM »
Reply with quote
Aap sabhi Shayer wa Shayerao.n ka maen hausla afzaaii ke liye tahe dil se shukriya ada karti huu.n

Jazakallah
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: February 12, 2009, 10:49:00 AM »
Reply with quote
Naziya Ji, aaj pehli baar aapki koi peshkash padhne ka ittefaq hua.....Bohot hi khoobsurat kalaam hai aapka.....Yunhi yahan likhte rahiyega, Bohot Khoob
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #12 on: February 12, 2009, 11:07:18 AM »
Reply with quote
sirf tarif hi karogi ya tum bhi kuch likhogi?
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #13 on: February 13, 2009, 06:51:08 AM »
Reply with quote
Shukriya Celmira ji.


Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #14 on: February 13, 2009, 06:56:32 AM »
Reply with quote
Teri khatir bichhi hain nigahe.n meri, Marhaba marhaba, aaiiye aaiiye
Lab ko jumbish to den,mu.nh se bolen zara,kitne khamosh hain,kuchh tu fermaiiye
 
Dekhkar tujhko roshan nigahe.n huee.n, Tujhko pane ko usshaaq ba.nhen huee.n
Muntazar deed ko dil ki raahe.n hueen, Kuchh qadam saath chalne ko aa jaiiye
 
Aaiina Dil andhero.n se ghabra gaya, Raah ke in Lutero.n se tang aa gaya
Zindagi ke liye roshni de.n hame.n, Roshni misl-e Jugnu na phailaiiye
 
Qaeda qaede se na hamne padha, ab hai Danishwaro.n se pada saabqa
Le saken ham bhi kuchh Shayri ka maza, Ye Radeef, Kafiya hamko samjhaiiye
 
Muntazar log hain meri raaho.n me.n kuchh, Dil me.n kuchh aur unki nigaaho.n me.n kuchh
Hai.n bazaahir me.n kuchh, khaankaho.n me.n kuchh, Aye khuda inse mahfooz fermaiiye
 
Aaiine me.n tera aaiina dhoondna, har jagah bas tera naqsh-e paa dhoondna
Gul wa boo me.n kisi ka pata dhoondna, Naziya istarah dil ko bahlaiiye
 
by me-- Naziya

wah Naziya, bahut hi khoob, wah


jasbir singh
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:10:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer