~~~~~ Masoom Mohabbat ~~~~~

by angel4u on January 08, 2009, 02:45:30 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1000 times)
angel4u
Guest
Reply with quote
Kucch Anchhue Jazbaatonse Shuru Hua Ek Silsila,
Qayenaat Ko Bhi Manzur Hua Tamannao Ka Ye Faisla,

Chahat Se Jude Taar Dhadkano Ke Is Qadar,
Phir Nam Ashqon Se Hua Palkon Ka Faasla,

Socha Na Tha Banayenge Mitti Ke Gharaunde,
Hamare Saath Chal Pada Sapno Ka Qaarvaan,

Masoom Mohabbat Uski Kuch Is Tarah Barsi Humpar,
Hans Pada Dilki Banjar Zameen Ka Har Ek Zarra...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
masoom aankhe by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Masoom Mohabbat by delhi in Shayri for Khumar -e- Ishq
woh masoom............ by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Bhut masoom thi wo ........masoom by masoom shahjada in Miscellaneous Shayri
MASOOM MOHABBAT KA DEKHO KYA FASANA H by Asif samani jaunpuri in Shayeri for Dard -e- Bewafai
cara
Guest
«Reply #1 on: January 08, 2009, 06:27:25 AM »
Reply with quote
kya baat hai   angel ji......

na jaane kis ki bad dua lagi, hamari masoom mohabbat par,
zarra-zarra bankar bikhar gaya,tamanaao ka ghar.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2009, 06:31:33 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Likha hai Angel Sis...

& Good reply Cara...

Badi masoom si thi meri mohabbat khuda jaane kaise bewafayi me badal gayi,
Ek gudiyaa kaanch ki jaane kiski chot se pathar ki tarah ban gayi...

Shally.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2009, 06:37:05 AM »
Reply with quote
Bahut Sundar peshkash hai Angel Ji    Applause Applause Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: January 08, 2009, 08:03:37 AM »
Reply with quote
Kucch Anchhue Jazbaatonse Shuru Hua Ek Silsila,
Qayenaat Ko Bhi Manzur Hua Tamannao Ka Ye Faisla,

Chahat Se Jude Taar Dhadkano Ke Is Qadar,
Phir Nam Ashqon Se Hua Palkon Ka Faasla,

Socha Na Tha Banayenge Mitti Ke Gharaunde,
Hamare Saath Chal Pada Sapno Ka Qaarvaan,

Masoom Mohabbat Uski Kuch Is Tarah Barsi Humpar,
Hans Pada Dilki Banjar Zameen Ka Har Ek Zarra...


Bohat khoob Angel khood ko rok nahi paya jawab dene se....

Karu shukr ada rab ka jo shuru hua yeh silsila
De barkat khuda is faisle me, de tujhko hausla

Dhadkan teri ban jaye jo tera ban gaya
Teri palko se bana rahe ashqon ka fasla

Chahe Mitthi ka gharaunda na ho, dil me ho aashiyaan
Hum apni banaye duniya apna banaye jahaan

Barse tujpe hamesha khusiya, na chaye kabhi gam ka aasman
Zameen dil ki teri mehke nazar aaye phool har jagah..


                          -SG-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 08, 2009, 08:44:54 AM »
Reply with quote
Waah Bohat Hi Badhiya Hai,.

Huzaina Ji,.
Nice One.

Aur Sajid Bhai,.
Aapne Bhi Khoob Likha Hai yaar
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: January 08, 2009, 01:03:44 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Angel khood ko rok nahi paya jawab dene se....

Karu shukr ada rab ka jo shuru hua yeh silsila
De barkat khuda is faisle me, de tujhko hausla

Dhadkan teri ban jaye jo tera ban gaya
Teri palko se bana rahe ashqon ka fasla

Chahe Mitthi ka gharaunda na ho, dil me ho aashiyaan
Hum apni banaye duniya apna banaye jahaan

Barse tujpe hamesha khusiya, na chaye kabhi gam ka aasman
Zameen dil ki teri mehke nazar aaye phool har jagah..


                          -SG-


behtareen jawab...
thanks..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:18:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer