MASTI BHARI NIGAAHOn KI JAADUGARI KI BAAT (WAQUIF ANSARI)

by waquif ansari on February 04, 2010, 10:15:39 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 10104 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
Ye daastaan-e-ishq hai ya zindagi ki baat
QistoN meiN ho rahi hai yahaN Khudkushi ki baat

Pandit ki baat hai to kabhi Maulvi ki baat
Karta nahiN hai koi yahaN aadmi ki baat

GustaaKhiyoN ki baat hai aawaargi ki baat
Sach poochhiye jo kah dooN agar teergi ki baat

Rahne bhi dijiye badi, paakeezgi ki baat
Shaayir haiN aap kijiye kuchh shaayari ki baat

Shab bhar sawoobatoN ki hiraasat meiN tha magar
Waqt-e-sahar hai hoNtoN pe zindah-dili ki baat

Shabnam ki nikhatoN ke ewaz gulfishaaN hai gul
Aatish-nawa hai phooloN meiN ik ik kali ki baat

Ik Aaina hai saamne kya kya bayaN karooN
Gesu ki, surKh hoNtoN ki ya saadgi ki baat

Hoti nahiN hai qaid meiN lafz-o-bayaan ki
Masti bhari nigaahoN ki jaadugari ki baat

“Girte haiN shahsawaar hi maidaan-e-jung meiN”
MaiN laDkhaDa gaya bhi to kya hai badi ki baat

Zulm-o-sitam ko dekh ke gar lab na kul sakeN
Meri nazar meiN hai ye shikasta-dili ki baat

Insaaniyat ke waste WAQUIF hazaar-ha
Karte haiN dushmanoN se bhi hum dosti ki baat
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: February 04, 2010, 10:19:08 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB BEHTREEN Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: February 04, 2010, 10:26:31 AM »
Reply with quote
Waqif Sahab ye ghazal hai ya karishma. Itni khoobsurat ghazal likhne wala beshak aala zehn ka maalik hoga. Kaise tareef karun samajh nahi aa raha, lafz sochne pad rahe hain. Bas itna hi kehta hun marhaba, sudafreen, muqarrar.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #3 on: February 04, 2010, 10:32:08 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB BEHTREEN Applause Applause Applause Applause
Janaab Adil Bechain Saheb! Aap ne meri kaawish ko saraha, iska behad shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #4 on: February 04, 2010, 10:39:59 AM »
Reply with quote
Waqif Sahab ye ghazal hai ya karishma. Itni khoobsurat ghazal likhne wala beshak aala zehn ka maalik hoga. Kaise tareef karun samajh nahi aa raha, lafz sochne pad rahe hain. Bas itna hi kehta hun marhaba, sudafreen, muqarrar.
Janaab Riyaz Saheb! Aap ki Ghazal ne (Har Gham mira tumhaare liye hai khushi ki baat.....Behtar yahi hai tum na karo dosti ki baat)mujhe majboor kar diya k maiN bhi kuchh tukbandi karooN. Aapki ghazal hi aisi pur-kashish hai k koi bhi ise padh kar shaayari ke khoobsurat samundar meiN Ghota-zan ho sakta hai. Aap ne apne khoobsurat alfaazoN se meri kavish ki paziraaye ki, is liye maiN aapka mashkoor hooN. Shukriya, shukriya, shukriya.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: February 04, 2010, 11:18:57 AM »
Reply with quote
Waaah Bahoot Bahoot Khoob Ansari Ji.. Bahoot hi Khobsoorati se aapne Is Ghazal ko anjaam diya hai... Bahoot hi behatreen ...

Logged
drpandey
Guest
«Reply #6 on: February 04, 2010, 06:08:13 PM »
Reply with quote
Ye daastaan-e-ishq hai ya zindagi ki baat
QistoN meiN ho rahi hai yahaN Khudkushi ki baat

Shabnam ki nikhatoN ke ewaz gulfishaaN hai gul
Aatish-nawa hai phooloN meiN ik ik kali ki baat

“Girte haiN shahsawaar hi maidaan-e-jung meiN”
MaiN laDkhaDa gaya bhi to kya hai badi ki baat

Zulm-o-sitam ko dekh ke gar lab na kul sakeN
Meri nazar meiN hai ye shikasta-dili ki baat

Insaaniyat ke waste WAQUIF hazaar-ha
Karte haiN dushmanoN se bhi hum dosti ki baat


Janaab Waquif Ansari Sahab Adaab arz hai,
Aapki is pur-kashish aur behad khoobsurat alfaz-o-tameer se labrez ghazal ko is post se pahle sun-ne ka jo mauka mujhe haasil hua uske liye aapka azhad sukrgujar hun. Magar ise aaj dekhne ka jo mauka mila to khwab ki tameer jaisa laga.

Main Ishwar se prarthna karta hun ki bas aapki qualam chalti rahe aur aapke kalaam ki bemisaal taseer se shayari ko hararat aur rawani ataa hoti rahe...Sudafreen.

 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 05, 2010, 07:04:12 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Waquif Bhai.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
S.hashmi
Guest
«Reply #8 on: February 05, 2010, 09:26:24 AM »
Reply with quote


Lajwaab, jitni bhi tareef ki jaaye kam hi hogi..........

Ek Ek lafz dil ko chhoo lene wala hai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #9 on: February 05, 2010, 10:16:58 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Ansari Ji ApplauseApplause
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: February 05, 2010, 10:22:19 AM »
Reply with quote
Waaah Bahoot Bahoot Khoob Ansari Ji.. Bahoot hi Khobsoorati se aapne Is Ghazal ko anjaam diya hai... Bahoot hi behatreen ...


Sophi Ji aapke khoobsurat alfaazoN ka bahut bahut shukriya. Isi tarah daad-o-tahseen se nawaazte rahiye.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #11 on: February 05, 2010, 10:24:31 AM »
Reply with quote
Janaab Waquif Ansari Sahab Adaab arz hai,
Aapki is pur-kashish aur behad khoobsurat alfaz-o-tameer se labrez ghazal ko is post se pahle sun-ne ka jo mauka mujhe haasil hua uske liye aapka azhad sukrgujar hun. Magar ise aaj dekhne ka jo mauka mila to khwab ki tameer jaisa laga.

Main Ishwar se prarthna karta hun ki bas aapki qualam chalti rahe aur aapke kalaam ki bemisaal taseer se shayari ko hararat aur rawani ataa hoti rahe...Sudafreen.

 

drpandey ji Adaab! aapki haseen tehreereN funkaar ko hausla ata karti haiN. Aise hi khoobsurat alfaazoN se har kisi funkaar ko nawaazte rahiye. Shukriya aur bahut bahut shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: February 05, 2010, 10:26:45 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Waquif Bhai.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
khwaish ji. Aapne meri kaavish ko pasand farmaaya, is ka maiN shukriya ada karna apna farz samajhta hooN. Many many thanks indeed for your valuable comments.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #13 on: February 05, 2010, 10:29:25 AM »
Reply with quote

Lajwaab, jitni bhi tareef ki jaaye kam hi hogi..........

Ek Ek lafz dil ko chhoo lene wala hai
Mohtarma S.Hashmi Sahiba!Aapne apne khoobsurat alfaazoN se meri kaavish ki paziraayee ki, iske liye aapka shukriya. Future meiN bhi isi tarah ki tawoqqo rakhta hooN.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #14 on: February 05, 2010, 10:32:48 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Ansari Ji ApplauseApplause
Rishi Ji! Aapki nawaazish ka bahut bahut shukriya.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:29:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer