MASTI BHARI NIGAAHOn KI JAADUGARI KI BAAT (WAQUIF ANSARI)

by waquif ansari on February 04, 2010, 10:15:39 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 10070 times)
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #15 on: March 03, 2010, 09:40:06 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Ansari Saheb
SARVESH RASTOGI
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #16 on: July 14, 2010, 08:48:36 AM »
Reply with quote
YE GAZAL HAI YA ALFAZON KI JAADUGARI KI LAJAWAB SOUGAT? AAP KI
TAREEF ME ALFAZ KA AKAL HI PAD GAYA HAI .BAS ITNA HI KAHOONGI
PAHLI BAAR HI AAP KO PADHA OR PADHTE HI RAH GAYEE.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #17 on: July 14, 2010, 10:07:18 AM »
Reply with quote
Mohtarma Mamta Bajpai Ji! Aik maqbool shaayara ke tauseefi kalmaat paRhkar nihaayat khushi hui. Aap ne jis pairaaye meiN meri kaawishoN ki paziraayee ki hai aur apne ehsaas-o-jazbaat ko jis khush-usloobi se bayaan kiya hai woh mere liye aik nazeer se kam nahiN hai. Mujhe bhi lafz DhooNdne paR rahe haiN k kin alfaazoN meiN aapki sukhanwari ka shukriya ada karooN. Isi tarah apni nawaazisoN se nawaazte rahiya. Jahan bhi raheN khush raheN.

(Waquif Ansari)

YE GAZAL HAI YA ALFAZON KI JAADUGARI KI LAJAWAB SOUGAT? AAP KI
TAREEF ME ALFAZ KA AKAL HI PAD GAYA HAI .BAS ITNA HI KAHOONGI
PAHLI BAAR HI AAP KO PADHA OR PADHTE HI RAH GAYEE.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #18 on: July 14, 2010, 10:10:06 AM »
Reply with quote
Janab Sarvesh Rastogi Saheb! Adaab!
Der se shukriya ada karne k liye ma-azrat-khwaah hooN. Aapki daad ka bahut bahut shukriya janab. Isi tarah himmat-afzaayee karte raheN.

(Waquif Ansari)

Bahut khoob Ansari Saheb
SARVESH RASTOGI
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #19 on: July 14, 2010, 01:41:57 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
waquif ansari sahab.....ek baar nahi dus baar padha aapki is rachna ko......kya hi khoob likha hai aapne aur is andaz me ke gungunane ko man karta hai...har line me gahri baat jo dil ko choo jati hai....mamta ji ni bilkul sahi kaha ye shabdon ki jadugari ka adbhut namoona hai...
dil se dad kabool karen
sanjeev
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #20 on: July 14, 2010, 10:41:45 PM »
Reply with quote
Ye daastaan-e-ishq hai ya zindagi ki baat
QistoN meiN ho rahi hai yahaN Khudkushi ki baat

Pandit ki baat hai to kabhi Maulvi ki baat
Karta nahiN hai koi yahaN aadmi ki baat

GustaaKhiyoN ki baat hai aawaargi ki baat
Sach poochhiye jo kah dooN agar teergi ki baat

Rahne bhi dijiye badi, paakeezgi ki baat
Shaayir haiN aap kijiye kuchh shaayari ki baat

Shab bhar sawoobatoN ki hiraasat meiN tha magar
Waqt-e-sahar hai hoNtoN pe zindah-dili ki baat

Shabnam ki nikhatoN ke ewaz gulfishaaN hai gul
Aatish-nawa hai phooloN meiN ik ik kali ki baat

Ik Aaina hai saamne kya kya bayaN karooN
Gesu ki, surKh hoNtoN ki ya saadgi ki baat

Hoti nahiN hai qaid meiN lafz-o-bayaan ki
Masti bhari nigaahoN ki jaadugari ki baat

“Girte haiN shahsawaar hi maidaan-e-jung meiN”
MaiN laDkhaDa gaya bhi to kya hai badi ki baat

Zulm-o-sitam ko dekh ke gar lab na kul sakeN
Meri nazar meiN hai ye shikasta-dili ki baat

Insaaniyat ke waste WAQUIF hazaar-ha
Karte haiN dushmanoN se bhi hum dosti ki baat


Ansari Sahab ......Aadaab ! bahut khoob rahi aapki dilkash peshkash.....har ashaar ki adaayegi....dil ko chhooti hai....dil se daad...khush rahen...

apna khayal rakhen....
duaaon ke saath....
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #21 on: July 15, 2010, 11:33:20 AM »
Reply with quote
Janab Beqaraar Saheb! Aadab!

Aap jaise qadr-daanoN se hi to sukhanwari zindah hai. Ye sukhanwari ka haseen namoona hai k aap jaise hazraat dil khol kar shaayir k jazbaat-o-ehsaasaat ki na sirf taareef karte haiN balki shaayir ko jila bakhshte haiN. Aap se aaindah bhi isi tarah nawaazisoN ki tawaqqo rakhta hooN.

(Waquif Ansari)

Applause Applause
waquif ansari sahab.....ek baar nahi dus baar padha aapki is rachna ko......kya hi khoob likha hai aapne aur is andaz me ke gungunane ko man karta hai...har line me gahri baat jo dil ko choo jati hai....mamta ji ni bilkul sahi kaha ye shabdon ki jadugari ka adbhut namoona hai...
dil se dad kabool karen
sanjeev

Logged
zahida
Guest
«Reply #22 on: December 18, 2010, 04:04:09 PM »
Reply with quote
03366362155
Logged
zahida
Guest
«Reply #23 on: December 18, 2010, 04:05:22 PM »
Reply with quote
plz send me poetry me zahida khan frm multan my mobile no 03366362155
Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #24 on: December 21, 2010, 09:53:48 AM »
Reply with quote
Waquif ji
bahut umdaa ghazal kahi hai aapne

daad
Logged
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #25 on: July 04, 2014, 06:06:09 PM »
Reply with quote
bhut achhchhee lgee gajl aapkee isme nhi do ray
hme bhee kuchh sikha do mangte hae tumahre ray
Logged
hunter boots stockists
Guest
«Reply #26 on: July 09, 2014, 06:44:46 AM »
Reply with quote
Please, show me a game where Physx did not simply add more visual clutter and drastically changed fundamental gameplay.
Logged
cheap women boots
Guest
«Reply #27 on: July 09, 2014, 07:17:39 PM »
Reply with quote
If you are in service industry and your employees meets the customer frequently such as in banking and finance industry, a strict dresscode is must (Can be relaxed a bit for operations and processing guys).
Logged
Owen adidas jersey
Guest
«Reply #28 on: July 09, 2014, 07:21:17 PM »
Reply with quote
OK, we're all guilty of at least one, and in my case many fashion mistakes, due to many reasons.
Logged
fitflop supertone
Guest
«Reply #29 on: July 11, 2014, 05:29:23 PM »
Reply with quote
Mxico.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:48:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer