MAZA NA MAYE KE PIYAALON MEIN DOOB KAR PAAYA .................. HASAN

by F.H.SIDDIQUI on November 11, 2013, 07:13:28 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 2492 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #15 on: November 12, 2013, 11:54:31 AM »
Reply with quote
Saini bhai , housla afzai ke liye bahut shukrguzar hoon.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bazm-e-ranj mein tumko nai paaya ........ by HumTum in Shayri-E-Dard
phool shabnam mein doob jaate hain by fakharenaveed in Shayri-E-Dard
Tanhai ke samundar mein doob jaane do!!! by Ravi_Dave in Shayri-E-Dard
Har Tasavvur har ek Khayaal mein Paaya Tha.. by A.$.H in Ghazals
HONTON KA TABASSUM GAYA , JEENE KA MAZA BHEE ...........................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
vb
Guest
«Reply #16 on: November 12, 2013, 02:20:40 PM »
Reply with quote
Wah.... buhat he khoob ghazal kahi aap ne F.H.SIDDIQUI sahab!

behr-e-mujtas, mucamman, makhboon, mehzoof, maqtoo

Ghalib ka isi beher main say kuch yaad ayaa...
.......
Ragon main daurnay phirnay k hum nahi qaail
jo aankh he se na tapka tu phir lahoo kya hay

4th sher main "ne, na" ki main noon ki takraar kuch dhiyaan khenchti hay...

Shayari k syllabus ka hisa banaya jaa sakta hay isay..
Logged
sidra04
Guest
«Reply #17 on: November 12, 2013, 05:27:12 PM »
Reply with quote

Maza  na  Maye  ke  piyaaloN   meiN   doob  kar  paaya
Jo  uss  HaseeN  ke  KhayaaloN  meiN   doob  kar  paaya

khoobsurat Matla janaab... daad

Wafa , Khuloos ,  Mohabbat   haiN   aaj   kyuuN   Unqaa
Jawaab    in   hi   SawaaloN   meiN   doob    kar  paaya

waaahhhh......

Jalaal  ,   Rahm - o - Karam  ,  AazmaaisheiN  ,  In'aam
Khuda   ko  uss ke  JamaaloN   meiN   doob   kar   paaya

Masha Allahh.........

Sukoot - e - Shab ne , na Shabnam , na  Chaandni  ne  diya
SukooN  jo  Chaand   ke   haaloN   meiN   doob  kar  paaya

Waahhhhh... beauty at it best....

Jawaab - e - Maqsad - e - Takhleeq - e - Kaaynaat   'Hasan'
QuraaN   ke   paak   HawaaloN   meiN   doob   kar   paaya

wahh waahhhh waaahhhhhhh..... qayaamat, asardaar, lajawaab , aur maainikhez ghazal likhi hai aapne hassan saahab... Walaaah..... kai kai baar padh gayee is haseen peshkash ko.... dheron daad aur mubaarakbaad aapko.. likhte raheN sir.... Allah aur nawaaze.. aameen.

Sidra

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #18 on: November 12, 2013, 06:34:09 PM »
Reply with quote
Wah.... buhat he khoob ghazal kahi aap ne F.H.SIDDIQUI sahab!

behr-e-mujtas, mucamman, makhboon, mehzoof, maqtoo

Ghalib ka isi beher main say kuch yaad ayaa...
.......
Ragon main daurnay phirnay k hum nahi qaail
jo aankh he se na tapka tu phir lahoo kya hay

4th sher main "ne, na" ki main noon ki takraar kuch dhiyaan khenchti hay...

Shayari k syllabus ka hisa banaya jaa sakta hay isay..

Bahut shukriya housla afzai ke liye . Aur usse zyada mashkoor hoon aap ke us baareek nukte ke liye jo aap ne uthhaya hai .Yaqeen kijye k is site par doston se housla afzaii to bahut milti hai lekin aise hassaas tabsiron ke liye tarasta hoon.Aur isi wajah se ghazlein to main hafte mein do baar zuroor post karta hoon  lekin jo ghazlein meri nazar mein ittefaaqan qabil e tawajjo hoti hain kum post karta hoon .
  Aap ke nukte ka ehsaas thha aur isi wajah se (,) ke zariye wuqoof ka istemaal kiya hai taaki sher zuroori waqfa de kar padha  jaaye aur zahn par garaan na guzre. Nazar e saani par shaayed is aib poshi ko aap jaayez qaraar dein . Phir bhi koi mumkin islaah ka hamesha isteqbaal hai . Khud is khaksaar ka ramooz ka ilm mahez layman ke barabar ka hai aur kisi hawaale ka zikr nahin kar sakta . Lekin salaah aur nukte par mazeed roshni ke liye hamesha mashkoor rahoonga .
  Bahut bahut shukriye ke sath , Duago, Hasan
Logged
mkv
Guest
«Reply #19 on: November 12, 2013, 07:18:23 PM »
Reply with quote

Bahut shukriya housla afzai ke liye . Aur usse zyada mashkoor hoon aap ke us baareek mukte ke liye jo aap ne uthhaya hai .Yaqeen kijye k is site par doston se housla afzaii to bahut milti hai lekin aise hassaas tabsiron ke liye tarasta hoon.Aur isi wajah se ghazlein to main hafte mein do baar zuroor post karta hoon  lekin jo ghazlein meri nazar mein ittefaaqan qabil e tawajjo hoti hain kum post karta hoon .

Aadaab Sir
aapka javaab padhkar..eik mix si feeling huee.
chandrama ka kaam to sheetalta dena hai..kuch vaisa hi javaab hai aapka..ekdam shaant..sheetal..aur roshni dene vaala.mera chitta bhi shaant ho gaya ..

jin tabsiron ki baat aapne kee hai..sach hai.par mere hisaab se..aapko uski zaroorat naheen..

saadar
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #20 on: November 12, 2013, 07:29:07 PM »
Reply with quote

Maza  na  Maye  ke  piyaaloN   meiN   doob  kar  paaya
Jo  uss  HaseeN  ke  KhayaaloN  meiN   doob  kar  paaya

Wafa , Khuloos ,  Mohabbat   haiN   aaj   kyuuN   Unqaa
Jawaab    in   hi   SawaaloN   meiN   doob    kar  paaya

Jalaal  ,   Rahm - o - Karam  ,  AazmaaisheiN  ,  In'aam
Khuda   ko  uss ke  JamaaloN   meiN   doob   kar   paaya

Sukoot - e - Shab ne , na Shabnam , na  Chaandni  ne  diya
SukooN  jo  Chaand   ke   haaloN   meiN   doob  kar  paaya

Jawaab - e - Maqsad - e - Takhleeq - e - Kaaynaat   'Hasan'
QuraaN   ke   paak   HawaaloN   meiN   doob   kar   paaya

..........................
Unqa = Vanished ; jamaalon = beauties / qualities ; Sukoot e shab =
Raat ki khamoshi ; Maqsad = prpose ; takhleeq= creation ; kaaynaat=
universe ; hawaalon = references
...........................

मज़ा  न  मय  के  पियालों  में  डूब  कर  पाया
जो  उस  हसीं  के  ख़यालों  में  डूब  कर  पाया

वफ़ा , ख़ुलूस , मोहब्बत   हैं  आज  क्यूँ  उनक़ा
जवाब   इन   ही   सवालों   में  डूब  कर  पाया

जलाल , रह्म - ओ - करम , आज़माइशें , इन'आम
ख़ुदा  को  उस  के  जमालो   में  डूब  कर  पाया

सुकूत - ए - शब  ने , न शबनम , न चांदनी ने दिया
सुकूं   जो  चाँद  के   हालों   में   डूब  कर  पाया

जवाब - ए - मक़सद - ए - तख़लीक़ - ए - कायनात 'हसन'
क़ुरान   के   पाक   हवालों   में   डूब   कर   पाया

veriiiiiiiiiiii naaaaaaaaaaaaaaaaice-FHS
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #21 on: November 12, 2013, 09:29:08 PM »
Reply with quote
Thankks Risk ji.
Logged
vb
Guest
«Reply #22 on: November 12, 2013, 09:45:51 PM »
Reply with quote

Bahut shukriya housla afzai ke liye . Aur usse zyada mashkoor hoon aap ke us baareek mukte ke liye jo aap ne uthhaya hai .Yaqeen kijye k is site par doston se housla afzaii to bahut milti hai lekin aise hassaas tabsiron ke liye tarasta hoon.Aur isi wajah se ghazlein to main hafte mein do baar zuroor post karta hoon  lekin jo ghazlein meri nazar mein ittefaaqan qabil e tawajjo hoti hain kum post karta hoon .
  Aap ke nukte ka ehsaas thha aur isi wajah se (,) ke zariye wuqoof ka istemaal kiya hai taaki sher zuroori waqfa de kar padha  jaaye aur zahn par garaan na guzre. Nazar e saani par shaayed is aib poshi ko aap jaayez qaraar dein . Phir bhi koi mumkin islaah ka hamesha isteqbaal hai . Khud is khaksaar ka ramooz ka ilm mahez layman ke barabar ka hai aur kisi hawaale ka zikr nahin kar sakta . Lekin salaah aur nukte par mazeed roshni ke liye hamesha mashkoor rahoonga .
  Bahut bahut shukriye ke sath , Duago, Hasan

F.H.SIDDIQUI Sahab!

Hum maazerat khawah hen k shayad apni auqaat say barh kar kuchh likh gayay... waja faqat yehi thi k jis nuqta ki taraf ishara kiya usay hum aib nahi gardaantay, balkay hamari samajh k mutabiq isay koi bhe aib nahi tasavur kar sakta ku k "ne, na" say beher ko koi gazind na puhunchti hay... Aur yaqeen kejay k agar isay hum aib jaantay tu faqat kuch taareefi kalemaat chhor kar jaatay, k mubaadaa aadaab-e-mehfil ki khilaf warzi na ho...

janab mkv sahab k comments say bhe hamen kuchh aisa he mehsoos huva k hum say ghalati hui hay, jis par hum un say bhe maazrat khawah hen... or yaqeenan aap ko is qadar ijz ki zaroorat na thi...

hum khud bhe atfaal-e-ramooz hayay sukhan main say he hen. hamara apna likha hua buhat kuchh beher say maadar-piddar aazaad hota hay aur usay hum khud beher main kabhi nahi toltay k hamara likhna shaayari barayay shaayari nahi, faqat tasavar kashi hota hay...

ake foot-paath paray deevaanay k aadhay ghantay k lecture say jo hum ne seekha, us say barh kar hum gardaanon k pech-o-kham say waqif nahi. hamaari majaal nahi k aap k likhay ki tas'hee kar saken... aur phir likhnay walay k ehsaas hotay hen shayari main, jinhen koi aur alfaaz nahi day sakta... lekin choonkay aap ne salaah ki taraf ishara kiya hay tu hum is misra'a ko kuchh yun dekhtay hen: -

Sukoot - e - Shab se , na Shabnam , na  Chaandni  se  mila
SukooN  jo  Chaand   ke   haaloN   meiN   doob  kar  paaya

aakhir main ake baar phir sub say maazerat or is yaqeen dahaani k saath, k aainda aisa nahi ho ga...

vb

..............
kaavish-e-harf-e-sadaaqat ka silaa jaan gayay
wo jo giraaN thay yahan, bazm say mehmaan gayay
log saadaa hen teray shehr-e-sitam gaahi k
ake deevaanay ki baatoN ki bura maan gayay
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #23 on: November 12, 2013, 10:09:07 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Wahh!!!! kya khoob peshkash hai...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #24 on: November 12, 2013, 10:54:29 PM »
Reply with quote
F.H.SIDDIQUI Sahab!

Hum maazerat khawah hen k shayad apni auqaat say barh kar kuchh likh gayay... waja faqat yehi thi k jis nuqta ki taraf ishara kiya usay hum aib nahi gardaantay, balkay hamari samajh k mutabiq isay koi bhe aib nahi tasavur kar sakta ku k "ne, na" say beher ko koi gazind na puhunchti hay... Aur yaqeen kejay k agar isay hum aib jaantay tu faqat kuch taareefi kalemaat chhor kar jaatay, k mubaadaa aadaab-e-mehfil ki khilaf warzi na ho...

janab mkv sahab k comments say bhe hamen kuchh aisa he mehsoos huva k hum say ghalati hui hay, jis par hum un say bhe maazrat khawah hen... or yaqeenan aap ko is qadar ijz ki zaroorat na thi...

hum khud bhe atfaal-e-ramooz hayay sukhan main say he hen. hamara apna likha hua buhat kuchh beher say maadar-piddar aazaad hota hay aur usay hum khud beher main kabhi nahi toltay k hamara likhna shaayari barayay shaayari nahi, faqat tasavar kashi hota hay...

ake foot-paath paray deevaanay k aadhay ghantay k lecture say jo hum ne seekha, us say barh kar hum gardaanon k pech-o-kham say waqif nahi. hamaari majaal nahi k aap k likhay ki tas'hee kar saken... aur phir likhnay walay k ehsaas hotay hen shayari main, jinhen koi aur alfaaz nahi day sakta... lekin choonkay aap ne salaah ki taraf ishara kiya hay tu hum is misra'a ko kuchh yun dekhtay hen: -

Sukoot - e - Shab se , na Shabnam , na  Chaandni  se  mila
SukooN  jo  Chaand   ke   haaloN   meiN   doob  kar  paaya

aakhir main ake baar phir sub say maazerat or is yaqeen dahaani k saath, k aainda aisa nahi ho ga...

vb

..............
kaavish-e-harf-e-sadaaqat ka silaa jaan gayay
wo jo giraaN thay yahan, bazm say mehmaan gayay
log saadaa hen teray shehr-e-sitam gaahi k
ake deevaanay ki baatoN ki bura maan gayay

Bhai , aap waqai kuchh zyada hassas hain aur mere jawab ko bura maan'na samajh gaye . Hargiz nahin, bulki mera kahna sirf itna thha ki main khud chaahta hoon ki kuchh adabi tabsire bhi hon jo Bazm mein kum hote hain. Aap ke adabi tabsire ka khair maqdam kiya thha.Main eik tifl e maktab hoon aur apni haisyat samajhta hoon aur is silsile mein na kisi khushfahmi ka shikaar hoon n ehsaas e kamtari ka . Khule dil se seekhne aur ghalat tanqeed ka jawaab dene ke liye taiyar rahta hoon .Isi site par mere ashaar ki aisi bhi islaah ki gai hai ki islaah karne waale ne bahr se kharij sher kah diya ya mazmoon ki aisi ki taisi kar di.Magar main ne uska bhi khair maqdam kiya aur shusta zubaan mein munasib jawaab diya.Is liye aap aisa na mahsoos karein ki aapki baat ka bura maana hai .
 Aapki islaah sar aankhon par . Achhi hai . Yaqeen jaanye is misre ke 2 alternatives e thhe aur aap ka bataaya hua shayed kisi doosri site par post bhi kiya hai , Eik   doosra alternative 'ne na ' ki jagah ' na hi' bhi thha . Lekin shayed meri kum ilmi ya nasamjhi thhi ki mujhe ' mila ' lafz ke istemaal mein woh baat nahi lagi jo 'diya' mein lagi aur main ne munaasib wuqoof dekar 'na ne' ke istemaal ko garaan nahi samjha.Aap ka bahut shukriya ki aap ne eik achhi salaah di hai aur aap ki ijazat se aayenda is shakl mein bhi sher post kar ke dekhoon ga .Main sharminda hoon k aap meri baat ko ghalat samjhe aur ummeed karta hoon ki ghalatfahmi zahn se nikaal dein ge .
 MKV ji ne bhi , jahaan tak unke reply se main samjha hoon , unhi tabsiron ki taraf ishara kiya hai jiski is site par kami  ki main ne shikayat ki thhi.
 Aap ka eik baar phir shukriya .Duago, Hasan

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #25 on: November 12, 2013, 11:19:55 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
vb
Guest
«Reply #26 on: November 12, 2013, 11:22:33 PM »
Reply with quote
F.H.SIDDIQUI sahab!

buhat shukriya aap ka is qadar tafseel say javab likha aap ne, is qadar waqt liya is banda ne jis par sharmindagi mehsoos ho rahi hay..

dar-asal aap ne hamaray comments ko foran aur sub say pehlay reply kar dala aur wo bhe is qadar aajizi say tu yakeen janiyay k ye hum expect nahi kar rahay thay... k hamaray comments is qadar ehmiyat k haamil na hon gay tu socha k zaroor koi khilaaf-e-aadaab-e-mehfil baat ho gai hum say...

aur phir, jis qadar beher main aboor aap ko hay, hamaara kisi nuqta ki taraf ishara karna, munaasib na tha.. yakeenan aap ko us ka ilm ho ga he... is liyay maazrat kar daali hum ne..

aur in basyaar harfi taqaarir ko nazar andaaz kar dejay... buhat achha likhtay hen aap... likhtay rahiyay, bazm main diyay jaltay rehnay chahiyen...

vb
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #27 on: November 13, 2013, 01:32:17 AM »

Shukriya , aap ke jawab se tasalli hui janab. Main ne aap ke tabsire pe out of turn sab se pahle jawab bhi isi liye diya thha kyunki main discussion se bhaagna nahi bulki is issue par mazeed roshni chaahta thha . Khubsurat ikhtitaam k liye aap ka mashkoor hoon . Hasan 
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #28 on: November 13, 2013, 12:46:45 PM »
Reply with quote
bohat khub
Thanks a lot
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #29 on: November 13, 2013, 07:55:50 PM »
Reply with quote
waah waah, Hasan Sahab bahut khoob ...Dheron Daad...
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
thanks Musaahib ji .
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:05:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer