Meera prem

by @kaash on July 13, 2009, 02:56:05 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 17122 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #15 on: July 15, 2009, 07:24:09 AM »
Reply with quote
Ek baar Phir Bahut Hi Accha Likha hai Shally.. Applause


**~** Mann **~**
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Prem che fakt prem maan by swati_teena in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aaj meera bhi radha ban.na chati hai by mistufer in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Saint Meera Bai by @kaash in Inspirational Stories and real life Incidences.
A rare Krishna Meera bhajan by thegrimreaper in Share Video
ek radha.. ek meera.. ek krishna.. aur prem... charan by lovely_charan in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
k.shael
Guest
«Reply #16 on: July 16, 2009, 07:30:41 AM »
Reply with quote
Ek baar Phir Bahut Hi Accha Likha hai Shally.. Applause


**~** Mann **~**

Shukriya Mann Ji..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #17 on: July 17, 2009, 05:27:03 AM »
Reply with quote
Shukriya kaash ji sarahne ke liye..par shayad aap jante nahi ki Meera ji ko sabse badi kanha bhakt maana jaata hai..unhone jo bhakti kanha ji ke liye ki, wo aaj tak koi nahi kar paaya..ek baat kehna chahungi ki ye sach hai ki Meera ji Aur Kanha ji ke prem ko samjhna mushqil hai par mein uss pyaar ko samjhne ki nahi bass apne lafzo bhaavo,dawara likhne ki koshish kar rahi ho..agar kuch bhi bura lage to maafi chahungi..

Kanha ki doori se darta hai Mann,
Kanha mein basne ko karta hai Mann,

Kanha hi aatma meri kanha hi hai Mann,
Kanha hi meri pooja kanha hi mera dhan,

Kanha me paaya sab kuch kar ke khud ko arpan,
Kanha hi hai bhakti meri kanha hi hai sangam..

Shally.




Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #18 on: July 17, 2009, 05:31:53 AM »
Reply with quote
WAH WAH, BAHUT KHOOB, KAASH JI & SHALLY JI...

JASBIR SINGH
Logged
k.shael
Guest
«Reply #19 on: July 17, 2009, 11:36:15 AM »
Reply with quote
Shukriya Kaash Ji, Iss sarahna ke liye..
Aur aapne bhi kya khoob lafz likhe hai.. Clapping Smiley

Kanha tujhse ta-umar pyaar karti rahongi,
Teri khatir duniya ki baatein sehti rahongi..

Kanha mein pal-pal teri bhakti ke naam karti rahongi,
Tere prem rango se apne jholi bharti rahongi..

Kanha saans rahe na rahe mein tujhme basti rahongi,
Har aansoo, har gamm seh kar bhi hansti rahoongi..

Tu ho na ho mera mein tujhe apna karti rahongi,
Kanha mein tujhse prem karti rahoongi..

Shally.
Logged
pawan ahir
Guest
«Reply #20 on: August 03, 2009, 06:59:48 AM »
Reply with quote
bahot acchi kavita hai mera to jiwan dhayan ho gaya hai  hello
Logged
k.shael
Guest
«Reply #21 on: August 03, 2009, 09:04:16 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukriya Kaash Ji, Aur aapne bhi kya khoob alfaaz likhe hai janab..!!!.. Clapping Smiley  Clapping Smiley

Bejaan iss duniya me se ek tu hi dil ko bhaya,
Chod sab duniya ko ek tujh ko hi maine chaha..

Maa-baap, Bhai-Behan, Sakhi Saheli ki na hui mein,
Umar ke har saal ke har pal me sabse behtar tujhko jaana..

Pairon ko na rok paayi kabhi bhi nach uthne se,
Jab Jab tune manmohan "Kanha" bansi ko  bajaya..

Log kehte dekh ke pyaar mera "Meera Diwani",
Na maloom hai kisi ko lekin ki Meera ne Kanha ko paaya..

Shally.







Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #22 on: August 03, 2009, 09:08:36 AM »
Reply with quote
Good one Shally Ji
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:00:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer