Mehak~~~~

by Pooja on July 29, 2004, 05:17:20 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 13216 times)
BeNam
Guest
«Reply #45 on: September 21, 2005, 07:44:19 PM »
Reply with quote
--- Awesome Poojaji, Bahot khoob jawab hai aapka -----------

Dil hai tere pyaar main pagal, ke isey na tod dena,
mana ke mahobaat hai mushkil, per sath na mera chhod dena,
Duniya ka maksad hai, mahobaat ko rusava karana,
Bharosa kiya hai mujh per toh daman na chhuda lena!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mehak Raha hai.... by Aman_rahi in Shayri-E-Dard
mehak tumhari****** by vikas2210 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kuchh benaam rishton ki mehak by S.hashmi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri Zulfon Ki Mehak by Alam Qazi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Yaadon ki narmi mehak rahi hai... .. . //annu// by annu_genis in Shairi - E - Zindagi
shyara_neelam
Guest
«Reply #46 on: September 22, 2005, 06:03:50 PM »
Reply with quote
wah!!! kya baat hain shayarji...bahut khub!!!

Mujhe lagta hain, yeh pagalpan hain,
Lekin dil kehta hain, 'yeh tera deewanapan hain'.
-these 2lines r very nice..

mohhabat karnewala humesha dil jo kahte hai wohi karte  hain...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #47 on: September 22, 2005, 06:09:21 PM »
Reply with quote
Good lines shayara_neelam!!!

daman churrra kar, hum kaya karegy
bin tumhare, khud ka hum kaya karegy!!!
kaise soch liya ki hum chor jayegy
kaise duniya ke dar se hum Munh morr jayegy!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #48 on: September 22, 2005, 07:49:29 PM »
Reply with quote
---- Bahot achhe Poojaji --------

--- Good one Shayarji and shayara ji---------

Zamane ki mahobaat se purani ladai hai,
Na maan paye hai, per yeh sachhai hai,
Her waqt Ishq deta duhai hai,
Mahobaat ki saza, dilbar se judai hai!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #49 on: September 22, 2005, 07:55:17 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob!!

Kayun bhir app Khumar-e-Ishaq mai Judai le ayye
lagaty hai app muje dil ke mare, yahan bhi duhaai le aaye
kuch palo ko judai ka khouff jaane do
Ishaq apne ko charo taraf mahak jaane do!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #50 on: September 22, 2005, 08:16:14 PM »
Reply with quote
Nahi main dil ka mara, nahi kisi se judai hai,
Teri shayari main mujhe mahobaat nazar ayi hai
Tujhase juda hone se darata hai dil,
Ke mahobaat paheli baar mere dil per dastak dene ayi hai

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #51 on: September 22, 2005, 08:20:13 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Benam ji kaya jawab diya hai apne!!!! aor app hume Guru kahaty hai!!

dil ki dastak, dharkan meri banane lagi
chal to di mai, magar saane meri thumne lagi
yah shokhiya, yah shararat teri ankho ki
ek nasha ban kar, mujhko bahkaane lagi!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #52 on: September 23, 2005, 02:04:38 AM »
Reply with quote
--- Aap hi se sikha hai huumaney dil ka tarana, is liye toh mana hai Guru aapko ----

Ahat hui kisi or, toh dil ne kaha tu chali aa rahi hai,
Hawa kar rahi hai shor, toh dil ne kaha teri payal chhanak rahi hai
Dhadkane hui tez aur, toh dil ne kaha teri nazar zuk gayi hai,
Dekhale deewangi meri, harkate bhi teri aaj shayari ban gayi hai!

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #53 on: September 23, 2005, 02:09:31 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai!!!!


dharkane hi nahi, juban bhi ek hone lagi hai
meri najar, teri najaro ko ab parrane lagi hai
bin kuch kahen hi, yah sab haal bata deti hai
Ek najar mai, teri Ghazal suna deti hai!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #54 on: September 23, 2005, 02:30:42 PM »
Reply with quote
-- I dont know but now I cant resist posting you a reply ---

Ger tu samane baithi rahe, toh main gazal likhadun,
Ger tu ishara jo karde, Main zindagi tere naam likhadun,
Teri nazare inayat ho jaye, toh deewangi meri safal ho jaye,
Ger tu bani rahe humsafar, toh zindagi yunhi kat jaye!

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: September 25, 2005, 09:54:53 AM »
Reply with quote
kuch dino se uth raha mann mai ek sawal hai
wo jo itani door hai, kayun dil ke itane pass hai

-----------------

mana teri duniya mai na kar saki koi aor kaam
magar tere hi ek bande ko maine apna khuda bana dala
ab tu ho naraj ya maane ahsaan mera
maine kar chuki Ishaq, ab na kahna ki maine yah kaya kar dala!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #56 on: September 26, 2005, 03:40:49 AM »
Reply with quote
Yeh dil ki batain dil hi jane, yaa janata hai khuda,
Itana janate hai hum ke tumane kiya sath nibhane ka wada!

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #57 on: September 26, 2005, 05:41:41 PM »
Reply with quote
kiya hai agar koi wada to nibhaya jayega
ab yah dil apki mahfil ki siaway kahan jayega!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #58 on: September 26, 2005, 06:54:54 PM »
Reply with quote
Ab din raat dil tadapata toh hai,
Magar wade pe tere bharosa toh hai,
Tu khel dil se ji chahe jitana,
koi gum nahi kuch aur nahi mera dil hi toh hai!

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #59 on: September 26, 2005, 07:01:02 PM »
Reply with quote
khumar-e-ishaq mai app dard-e-bewafai le ayye
kaya likhu ab ki, app kahani koi aor hi le ayye
khela hai kon kiske dil se, meri samjh nahi ayya hai
maine kari shayari aor iska sabab kuch aor ban kar ayya hai!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 08:29:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer