mehekta geet *****

by ranjana on August 12, 2006, 07:40:35 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2115 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
jaane yah mera bharm hai ya tere pyaar ki chhaaya hai
iss duniya ki bheed mein bas tujko hi apna paaya hai
 
jab bhi khud ko tere khayalo  mein gum paaya hai
mujhe waqt wahi taharata sa nazar aaya hai........
 
bitaaye toh they tere saath sirf zindagi ke chaar pal
fir bhi unhi lamaho mein aaj tak khud ko qaid paayaa  hai
 
jaanati hun ki ab tu wapas laut kar na aayega
fir bhi  har waqt khud ko tere intzaar mein paaya hai
 
jab bhi jala hai dil mera waqt ke haadaso se kabhi
khud ko tere pyaar ke shabado ki barish mein beegata hua  paaya hai,
 
jaata bhi toh jaata kaise tera khayaal mere dil se
kya kushbu ko kabhi koi phoolo se alag kar paaya  hai...............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Rastariya Geet by Amit Janglan in Shairy-E-Watan
preet ke geet...................... by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq
geet by shambhu_007 in Miscellaneous Shayri
ghazal ka geet by KAVI AMIT SAGAR in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Geet jab mar jaayenge... by sourabh345 in Shairy-E-Watan
sweet_raabii
Guest
«Reply #1 on: August 12, 2006, 07:57:27 AM »
Reply with quote

pyaar kabhi juda hota nahi
kya tu yeh jaanta nahi
zindagi mein  mayus kabhi hona nahi
pyaar dobara hota  nahi.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: August 12, 2006, 10:48:41 AM »
Reply with quote
mujhe shikva raha kismat se main tumse dur kyu hun
har ek saans mein jab naam sirf tumahra hai
hua hai jabse deedar tera mujhe
bas  in aankho mein ek aqs sirf tumhara hai
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #3 on: August 12, 2006, 11:01:26 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
mujhe shikva raha kismat se main tumse dur kyu hun
har ek saans mein jab naam sirf tumahra hai
hua hai jabse deedar tera mujhe
bas  in aankho mein ek aqs sirf tumhara hai




teri aakho me ye aashq bhi humare hai ......
lo sun lo sanam hum sirf tumhare hai .....
ye jo dil me dharkane hai wo bhi humari  hai....
tere liye hi maine aapni duniya sawari hai .....
tere ye jo hotho pe hasi chai hai ......
sun lo sanam ye bhi humare liye hi aayi hai .....
ye jo mehakta geet hai tera to fakr na ker ye hai tere .....
jab yaad meri aayi hai to hi to ye teri zuba pe aayi hai ....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: August 12, 2006, 01:14:08 PM »
Reply with quote
Tu hai meri Shaam....tere Khushboo se mehekta mera harr Geet hai......
Kasam teri Kasam aye Sanam ab tu mera Manmeet hai......

Jeeti hai Dua ab meri bas tujhme basar karne ko......
Na jaane kya hai Kashish teri jo chala aya main bhi aaj marr mitt jaane ko.......

Kaash ke humne bhi Khuda ko dekha hota.......
Farishta banke jabse aye ho tum......
Kaash Khuda ne tumhe kuch WaQt aur pehle bheja hota.........!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: August 12, 2006, 01:18:56 PM »
Reply with quote
Quote from: "tushar_4u_im"
Quote from: "ranjana"
mujhe shikva raha kismat se main tumse dur kyu hun
har ek saans mein jab naam sirf tumahra hai
hua hai jabse deedar tera mujhe
bas  in aankho mein ek aqs sirf tumhara hai




teri aakho me ye aashq bhi humare hai ......
lo sun lo sanam hum sirf tumhare hai .....
ye jo dil me dharkane hai wo bhi humari  hai....
tere liye hi maine aapni duniya sawari hai .....
tere ye jo hotho pe hasi chai hai ......
sun lo sanam ye bhi humare liye hi aayi hai .....
ye jo mehakta geet hai tera to fakr na ker ye hai tere .....
jab yaad meri aayi hai to hi to ye teri zuba pe aayi hai ....


bahut khoob tushar ..........

tere hi kahwabo se bas judta hai ek rishta sa hamara
mere geeto mein sajata hai bas  naam yeh  tumahra
hai yahi ab toh meri manzil jo rasta tere pyaar ka mujhe mil jaaye
mera har geet ek mehekta hua  gulisthaan sa ban jaaye ...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: August 12, 2006, 01:26:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Tu hai meri Shaam....tere Khushboo se mehekta mera harr Geet hai......
Kasam teri Kasam aye Sanam ab tu mera Manmeet hai......

Jeeti hai Dua ab meri bas tujhme basar karne ko......
Na jaane kya hai Kashish teri jo chala aya main bhi aaj marr mitt jaane ko.......

Kaash ke humne bhi Khuda ko dekha hota.......
Farishta banke jabse aye ho tum......
Kaash Khuda ne tumhe kuch WaQt aur pehle bheja hota.........!!!!!!!!!


ek khawab mein palko mein chhippaye firti hun
tere aqs ko tuhse hi chhippaye firti hun

na jaane kisne di hai dastak mere dil ke darwaaze per
har aahat ko ab zamaane se chhippaye firti hun

ek oas ki boond jo nazar aati hai meri palko per
tere pyaar ka yeh hai amrit isko aankho mein basaye firti hun

mehane lagate hain geet mere tere hi naam se
isliye har geet ko zamaane ki nazar se bachaaye firti hun
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #7 on: August 12, 2006, 01:36:01 PM »
Reply with quote
Jab Jeeni ho Zindagi toh Maut ka kya Sochna......
Ki hai Mahobbat Dil ne toh Dunia se kya Darna.......!!!!!!!!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 12, 2006, 01:46:03 PM »
Reply with quote
Bahoot ache,..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: August 13, 2006, 05:23:00 AM »
Reply with quote
shukriya azeem .......

zindagi jo dar ke gujaari jaaye woh zindagi nahi hai
geet pyaar se mehekte na ho toh sangeet nahi hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: August 21, 2006, 07:37:51 AM »
Reply with quote
yeh mehekte hue geet jab bhi duniya gungunayegi
dil mein ek ajab  si kashish si bhar jaayegi

dil ki umango ko mil jaayegi jubaan
kisi ke aankho  mein preet ki tarang si bhar jaayegi

pyaar ka yeh bas yun hi rahe muskarta hua
aaj yeh masum ki jaadugari  koi naya sa geet fir se likh jaayegi
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #11 on: August 21, 2006, 08:45:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
jaane yah mera bharm hai ya tere pyaar ki chhaaya hai
iss duniya ki bheed mein bas tujko hi apna paaya hai
 
jab bhi khud ko tere khayalo  mein gum paaya hai
mujhe waqt wahi taharata sa nazar aaya hai........
 
bitaaye toh they tere saath sirf zindagi ke chaar pal
fir bhi unhi lamaho mein aaj tak khud ko qaid paayaa  hai
 
jaanati hun ki ab tu wapas laut kar na aayega
fir bhi  har waqt khud ko tere intzaar mein paaya hai
 
jab bhi jala hai dil mera waqt ke haadaso se kabhi
khud ko tere pyaar ke shabado ki barish mein beegata hua  paaya hai,
 
jaata bhi toh jaata kaise tera khayaal mere dil se

excellent ranju ji.......... behadd khoobsuratt!!!!!!!!!!!!!!! Usual Smile
kya kushbu ko kabhi koi phoolo se alag kar paaya  hai...............
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #12 on: August 21, 2006, 10:01:45 AM »
Reply with quote
jashan or khushi ka tum aalaam na pucho .......
aaj badi muddat k badd unhe hum per pyar aaya hai ....
na jane kitni patjharo k badd ye sawan bhar laya hai ....
k aab meri zindgi me koi aarzu baki na rahi ....
jo ek khuwish thi tumhe aapna kehne ki .....
ye mauka bhi dekho aaj na jane kitni barr aaya hai .....
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #13 on: August 21, 2006, 10:12:39 AM »
Reply with quote
Quote from: "tushar_4u_im"
jashan or khushi ka tum aalaam na pucho .......
aaj badi muddat k badd unhe hum per pyar aaya hai ....
na jane kitni patjharo k badd ye sawan bhar laya hai ....
k aab meri zindgi me koi aarzu baki na rahi ....
jo ek khuwish thi tumhe aapna kehne ki .....
ye mauka bhi dekho aaj na jane kitni barr aaya hai .....


wah tushar ji bahut khoob!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: August 22, 2006, 02:13:49 PM »
Reply with quote
Tushar bahut khoob likha hai .... Usual Smile

unke dil ka armaan ban ke jee saku
bas yahi hai ab justju ki ab unko apna keh saku
ban ke rahu unke hotho ke geet ya ek meethi se muskaan
bas ab unke dil ka chain ban ke reh saku
kadam kadam per woh mujhse mile ek shail ki tarah
aur main ek pyaar ka dariya ban ke un tak beh saku !!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:20:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer