Mein hoon mashriq mein; magar, too hai wahaan magrib mein!

by abdbundeli on February 14, 2009, 10:44:38 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3948 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Kyaa karoon? Yaar, teyrey paas aa naheen saktaa!
Gazab to yeh hai, tujhey bhi bulaa naheen saktaa!!

Mein hoon mashriq mein; magar, too hai wahaan magrib mein;
Aur, mein magrib-o-mashriq milaa naheen saktaa!!

Sach hai rahtee hai jigar mein shadeed beychainee;
Tabeeb koyee khushee ko jilaa naheen saktaa!

Abhi bhi jis kaa nashah hai, wahee sharaab-e-uyoon,
Mujh ko maaluum hai, koyi dilaa naheen saktaa!

Eik hai, jisney pilaayee hai azal sey mujh ko;  
Wahee aseer#, ab wahee pilaa naheen saktaa!

Zeyhn-o-dil mein hai shokh saaqiyah, bharaa pyaalaa;
Mein huun majboor, kyoun ki sir hilaa naheen saktaa!

Too khilaataa hai hazaaroun gulaab har lamhey;
Eik mein huun, ki, eik bhi khilaa naheen saktaa!

Haazirii mein huun, surkh gunchah-e-gulaab liye:
Adhkhilaa gul muqeem*, khilkhilaa naheen saktaa!

‘Abd’, qataar mein kharhaa huun, bheerh hai bhaaree;
Raqeeb hain hazaar, kar gilaa naheen saktaa!

# Grape-wine, baadah-e-jabeeb, dukhtar-e-angoor;
* Some one, who is to stay only for a short period.

                                  - abd bundeli



 
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: February 14, 2009, 06:06:54 PM »
Reply with quote
Kya baat aaj dil ne kisko yaad kiya tadap ke bhai..... Clapping Smiley

Tu ishara to de woh jaha bhi ho dhoond laooga main
Muje raqeeb na samaj "ABD" jo wada kiya nibhaooga main
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: February 15, 2009, 04:57:27 AM »
Reply with quote
Kya baat aaj dil ne kisko yaad kiya tadap ke bhai..... Clapping Smiley
Tu ishara to de woh jaha bhi ho dhoond laooga main
Muje raqeeb na samaj "ABD" jo wada kiya nibhaooga main


Shukriyah Bhaayi Sajid, itnee khaas gamkhwaaree key liye!

Woh wahaan hai, jahaan pahunchnaa bahut mushkil hai!
Beech mein bahr hai gahraa, ki, paar kar jis ko,
Kam sey kam 'dash hazaar meel' tairnaa hogaa!
Is liye, ab yahee beyhtar hai, ki, bhoolo us ko!!

                                   - abd bundeli


Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: February 15, 2009, 09:59:13 AM »
Reply with quote
Kyaa karoon? Yaar, teyrey paas aa naheen saktaa!
Gazab to yeh hai, tujhey bhi bulaa naheen saktaa!!

Mein hoon mashriq mein; magar, too hai wahaan magrib mein;
Aur, mein magrib-o-mashriq milaa naheen saktaa!!

Sach hai rahtee hai jigar mein shadeed beychainee;
Tabeeb koyee khushee ko jilaa naheen saktaa!

Abhi bhi jis kaa nashah hai, wahee sharaab-e-uyoon,
Mujh ko maaluum hai, koyi dilaa naheen saktaa!

Eik hai, jisney pilaayee hai azal sey mujh ko; 
Wahee aseer#, ab wahee pilaa naheen saktaa!

Zeyhn-o-dil mein hai shokh saaqiyah, bharaa pyaalaa;
Mein huun majboor, kyoun ki sir hilaa naheen saktaa!

Too khilaataa hai hazaaroun gulaab har lamhey;
Eik mein huun, ki, eik bhi khilaa naheen saktaa!

Haazirii mein huun, surkh gunchah-e-gulaab liye:
Adhkhilaa gul muqeem*, khilkhilaa naheen saktaa!

‘Abd’, qataar mein kharhaa huun, bheerh hai bhaaree;
Raqeeb hain hazaar, kar gilaa naheen saktaa!

# Grape-wine, baadah-e-jabeeb, dukhtar-e-angoor;
* Some one, who is to stay only for a short period.

                                  - abd bundeli



 


Anothet beautiful creation by you Abd Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: February 15, 2009, 10:17:35 AM »
Reply with quote
Anothet beautiful creation by you Abd Ji
Thanks a lot Celmira ji!
              - abd bundeli
Logged
divyam
Guest
«Reply #5 on: February 22, 2009, 03:54:18 PM »
Reply with quote
Garg saahab,

pranaam,

aap ki Ghazal bohat khuub lagii,shero.n ki itni achchhi bunaT maine pahle kabhii dekhii nahii.n....asha’ar kya hai.n aap ne alfaz ke moti piro diye hai.n... meri aur se daad haazir hai.... qubool keejiye..




Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: February 23, 2009, 02:52:22 AM »
Reply with quote
Garg saahab,
pranaam,
aap ki Ghazal bohat khuub lagii,shero.n ki itni achchhi bunaT maine pahle kabhii dekhii nahii.n....asha’ar kya hai.n aap ne alfaz ke moti piro diye hai.n... meri aur se daad haazir hai.... qubool keejiye..
Shukriyah divyam ji! Mujhey yah jaankar khushee huyee ki aap ko meyree yah gazal pasand aayii!
                             - abd bnundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: February 23, 2009, 03:01:53 AM »
Reply with quote
Kyaa karoon? Yaar, teyrey paas aa naheen saktaa!
Gazab to yeh hai, tujhey bhi bulaa naheen saktaa!!

Mein hoon mashriq mein; magar, too hai wahaan magrib mein;
Aur, mein magrib-o-mashriq milaa naheen saktaa!!

Sach hai rahtee hai jigar mein shadeed beychainee;
Tabeeb koyee khushee ko jilaa naheen saktaa!

                                  - abd bundeli


Bahut khoob.... ( Magar dil kisko bhula nahi paya? icon_silent )
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: February 23, 2009, 03:25:36 AM »
Reply with quote
Bahut khoob.... ( Magar dil kisko bhula nahi paya? icon_silent )

Thanks Roja ji!

Woh wahee hai jo naheen paas mein yahaan meyrey!
Door hain us ki baahuoun key reyshamee gheyrey!
Mein akeylaa hun yahaan, bheerh hai bahut bhaaree;
Uyoon ghoor rahey hain ajeeb bahuteyrey!!

                          - abd bundeli
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #9 on: February 23, 2009, 05:20:49 AM »
Reply with quote
Kyaa karoon? Yaar, teyrey paas aa naheen saktaa!
Gazab to yeh hai, tujhey bhi bulaa naheen saktaa!!

Mein hoon mashriq mein; magar, too hai wahaan magrib mein;
Aur, mein magrib-o-mashriq milaa naheen saktaa!!

Sach hai rahtee hai jigar mein shadeed beychainee;
Tabeeb koyee khushee ko jilaa naheen saktaa!

Abhi bhi jis kaa nashah hai, wahee sharaab-e-uyoon,
Mujh ko maaluum hai, koyi dilaa naheen saktaa!

Eik hai, jisney pilaayee hai azal sey mujh ko; 
Wahee aseer#, ab wahee pilaa naheen saktaa!

Zeyhn-o-dil mein hai shokh saaqiyah, bharaa pyaalaa;
Mein huun majboor, kyoun ki sir hilaa naheen saktaa!

Too khilaataa hai hazaaroun gulaab har lamhey;
Eik mein huun, ki, eik bhi khilaa naheen saktaa!

Haazirii mein huun, surkh gunchah-e-gulaab liye:
Adhkhilaa gul muqeem*, khilkhilaa naheen saktaa!

‘Abd’, qataar mein kharhaa huun, bheerh hai bhaaree;
Raqeeb hain hazaar, kar gilaa naheen saktaa!

# Grape-wine, baadah-e-jabeeb, dukhtar-e-angoor;
* Some one, who is to stay only for a short period.

                                  - abd bundeli



 


wah bundeli, bahut khoob

jasbir singh
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: February 23, 2009, 07:06:18 AM »
Reply with quote
wah bundeli, bahut khoob
jasbir singh
Thanks a lot Jasbir!
              - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: February 23, 2009, 07:29:59 AM »
Reply with quote
waah Abd ji...har ashaar lajawaab.... Applause Applause
Thanks a lot, @kaash ji!
                  - abd bundeli
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: May 02, 2010, 10:40:26 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Abd ji.bahut pyari gazal pesh kiya aapne.great creation.keep up the good work. Hats off to you!  icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: May 02, 2010, 10:54:35 AM »
Reply with quote
Garg saahab,

pranaam,

aap ki Ghazal bohat khuub lagii,shero.n ki itni achchhi bunaT maine pahle kabhii dekhii nahii.n....asha’ar kya hai.n aap ne alfaz ke moti piro diye hai.n... meri aur se daad haazir hai.... qubool keejiye..

Priya Ghaafil Bhai!

Deyr sey jawaab deyney key liye mua'afee chaahtaa hun! Yeh meyree khushqismatee hai, ki, mujhey aap jaisey 'adab key qadradaan' bhi mil rahey hain! Bahut-bahut shukriyah! Gazal aapko pasand aayee, is sey mujhey baaqiyee bahut khushee huyee hai!

                            - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: May 02, 2010, 10:57:34 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Abd ji.bahut pyari gazal pesh kiya aapne.great creation.keep up the good work. Hats off to you!  icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause

Thanks a lot Madhu! Apnaa, wa apnoun kaa, khayaal rakhnaa!

              - abd bundeli
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:30:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.204 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer