Mein hun sada tere saath

by Ricky on November 15, 2006, 01:15:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 5275 times)
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
Reply with quote
Woh jo her ek lamha tum akele guzaarti ho,
Sochte hue yuhin falak nihaarti ho..
Soch naa lena ki tum akeli ho,
Dekh toh loh zara mur ke....
 
Mein hun sada tere saath
Mein hun sada tere saath

Gehere hain woh tere har ahsaas,
Meh bhi mehsoos karta hun woh jazbaat,
Ghamgeen naa ho chahe jo ho baat,
Jhaank kar toh dekho uss jharoke sae....

Mein hun sada tere saath
Mein hun sada tere saath

Jab bhi teri tanhaiyon ka zikra hota hai,
Jo bhi masla tere saath hota hai,
Samjho toh zaraa,mera saya sang hota hai,
Roushan toh karo is syahaa manzar ko....

Mein hun sada tere saath
Mein hun sada tere saath !
Logged
Nirbhay
Guest
«Reply #1 on: November 15, 2006, 02:48:17 PM »
Reply with quote
Just so simple and Fantastic.


Majboor hain Kuch Idhar bhi Haalat
Beet-ti hai Tanha Tumahri bhi Har Raat
Utar ke Sheeshe mein Zindagi ke
Bhool kyun gaye tum lagana Ilzam.aat

Fhir Bhi, Tum sang Chalo Na Chalo mere
Main to Hoon Sada Tumhare Sath!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: November 15, 2006, 06:35:38 PM »
Reply with quote
Very Nice Ricky & Aaditya...
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: November 16, 2006, 12:19:19 PM »
Reply with quote

Karna hai zindagi ka safar hume tanha
Shaam hai tanha har subah hai tanha,

Mile hain kuch pal muskurahaton ke bhi
Askhon main bheeg kar hue wo tanha,

Jag se niraala baksha hai Khuda ne dil
Door hui na udaasi bas raha wo tanha,

Koi khushi kyun raas aati nahin hum ko
Waqt ne dekha jo khush, kar diya tanha,

Tu salamat rahe, sada shaad-o-abaad rahe ,
Hum jee lenge zamane main reh ke tanha !!
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #4 on: November 16, 2006, 01:10:19 PM »
Reply with quote
Very bful poems yaar...They just touch your heart so deeply...
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: November 17, 2006, 12:09:09 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Rishi !!


Rooth jaayen jo kabhi hum to mana lena humko
Laut aayenge paas, ek baar sada dena humko

Besukoon, bekhwaab si guzri hai har shab apni
Zulfon main phira ke haath tum sula dena humko

Jo bhar aayen ashk kisi baat par aankhon main
Bachchon ki tarah phir se hansa dena humko

Dukh jaaye kabhi dil humari baaton se tumhara
Manzoor hogi, jo bhi chaahe saza dena humko

Dil darta hai kahin door na kar de zamana tumse
Apni baahon ke ghere main chupa lena humko !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: November 17, 2006, 10:18:41 PM »
Reply with quote
Bohat hi khubsoorat likha hai Talat hamesha ki tarha.. Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: November 18, 2006, 04:13:29 PM »
Reply with quote
Bohot bohot Shukriya Aryaan ! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: November 29, 2006, 12:20:47 PM »
Reply with quote

Jab kabbhi aa gaye ashk aankhon main
Laga kisi ne ungliyon se chun liye  jaise

Jo bojhil hua yunhi yeh pagal dil mera
Ek muskurahat aa gayi nazar ke saamne

Aur jab thakan utarne lagti hai rooh main
Wo meherbaan simat aata hai mujh main

Kaise keh doon ki hoon tanha yahan
Har ghadi har pal jab tu hai mere sath!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: September 24, 2009, 05:40:10 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Ricky ji,Celmira ji n Nirbay ji very beautiful n mindblowing creation,excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #10 on: September 27, 2009, 03:02:53 PM »
Reply with quote
Woh jo her ek lamha tum akele guzaarti ho,
Sochte hue yuhin falak nihaarti ho..
Soch naa lena ki tum akeli ho,
Dekh toh loh zara mur ke....
 
Mein hun sada tere saath
Mein hun sada tere saath

Gehere hain woh tere har ahsaas,
Meh bhi mehsoos karta hun woh jazbaat,
Ghamgeen naa ho chahe jo ho baat,
Jhaank kar toh dekho uss jharoke sae....

Mein hun sada tere saath
Mein hun sada tere saath

Jab bhi teri tanhaiyon ka zikra hota hai,
Jo bhi masla tere saath hota hai,
Samjho toh zaraa,mera saya sang hota hai,
Roushan toh karo is syahaa manzar ko....

Mein hun sada tere saath
Mein hun sada tere saath !

Bahoot bahootKhoob Ricky . This one is really sweet Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #11 on: September 27, 2009, 03:03:20 PM »
Reply with quote
Just so simple and Fantastic.


Majboor hain Kuch Idhar bhi Haalat
Beet-ti hai Tanha Tumahri bhi Har Raat
Utar ke Sheeshe mein Zindagi ke
Bhool kyun gaye tum lagana Ilzam.aat

Fhir Bhi, Tum sang Chalo Na Chalo mere
Main to Hoon Sada Tumhare Sath!



Bahoot Khoob Nirbhay Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: September 27, 2009, 03:04:52 PM »
Reply with quote

Karna hai zindagi ka safar hume tanha
Shaam hai tanha har subah hai tanha,

Mile hain kuch pal muskurahaton ke bhi
Askhon main bheeg kar hue wo tanha,

Jag se niraala baksha hai Khuda ne dil
Door hui na udaasi bas raha wo tanha,

Koi khushi kyun raas aati nahin hum ko
Waqt ne dekha jo khush, kar diya tanha,

Tu salamat rahe, sada shaad-o-abaad rahe ,
Hum jee lenge zamane main reh ke tanha !!


Thanks a lot Rishi !!


Rooth jaayen jo kabhi hum to mana lena humko
Laut aayenge paas, ek baar sada dena humko

Besukoon, bekhwaab si guzri hai har shab apni
Zulfon main phira ke haath tum sula dena humko

Jo bhar aayen ashk kisi baat par aankhon main
Bachchon ki tarah phir se hansa dena humko

Dukh jaaye kabhi dil humari baaton se tumhara
Manzoor hogi, jo bhi chaahe saza dena humko

Dil darta hai kahin door na kar de zamana tumse
Apni baahon ke ghere main chupa lena humko !!


Jab kabbhi aa gaye ashk aankhon main
Laga kisi ne ungliyon se chun liye  jaise

Jo bojhil hua yunhi yeh pagal dil mera
Ek muskurahat aa gayi nazar ke saamne

Aur jab thakan utarne lagti hai rooh main
Wo meherbaan simat aata hai mujh main

Kaise keh doon ki hoon tanha yahan
Har ghadi har pal jab tu hai mere sath!!


Waah waah waah Kya baat hai Talat di.. bahoot bahoot Khoob likha hai.. Sabi k sabhi bahoot ache hai.. bahoot Khoob!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #13 on: September 27, 2009, 03:14:07 PM »
Reply with quote
bahut khub accha likha h apne celmira ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 01:28:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer