mera adhoora khab hai ...............

by chiraaaaaaaaag on May 18, 2005, 06:46:34 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Author  (Read 7851 times)
chiraaaaaaaaag
Guest
Reply with quote
meri tanhaai ko ab ik mehmaaN chaahiye
    mujhko saaya naheeN ik insaaN chaahiye

    baatoN meiN khulte heiN aksar puraane zakham
    koi kam-sukhan koi bey-zubaaN chhaahiye
        (kam-sukhan = kam bolne waale)

    aNdhere heiN zindagi meiN door talak bahot
    mujhko ujaaloN ka kaarwaaN chaahiye

    mujhko na raas aayega teraa zareeN qafas
    hum parindoN ko khulaa aasmaaN chaahiye
        (zareeN qafas = sunehri pinjaraa)

     eak "khwab" par guzar di zindgi humne
     ab "chirag" koi yakeeNee "haaN" chhahiye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi ak khab hai by muneeb in Shayri-E-Dard
Khab by Sonu in Miscellaneous Shayri
--------adhoora-------- by killbill in Shayri for Khumar -e- Ishq
खाब(khab).......{ambu} by ambalika sharma in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Khwab adhoora sa.... by Iraprash in Shayri for Khumar -e- Ishq
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: May 18, 2005, 06:49:43 AM »
Reply with quote
wow  bahot  acche  chiraag.................................
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #2 on: May 18, 2005, 07:06:55 AM »
Reply with quote
shukria wahid sahub pesh hai

'' jindgi ki mehfil me aise kaun aata hai 'chiraag'

koi 'shaksh' milta hai jab 'khuda' milata hai

yun to hum jalte hai jab koi jalata hai

har koi na jane kyon jala ke bhool jaata hai ''
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #3 on: May 18, 2005, 10:32:44 AM »
Reply with quote
good one again

mat maang tuh kisi se koi bhi chiraag
ki mangne se tuh bas bheekh milti hai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #4 on: May 18, 2005, 12:47:50 PM »
Reply with quote
thanks sandya ji and waheed sahib .....

par us bheekh me bhi agar kisi ki duniya basti ho

voh bheekh manzoor hai ..........

Bahut roai hai us aasu ke khatir,
Jo nikalta hai khushi ki intaha per
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #5 on: May 18, 2005, 05:08:29 PM »
Reply with quote
wah chiraag,kya baat hai,bohat khoob likha..............!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #6 on: May 18, 2005, 07:12:31 PM »
Reply with quote
Aatish-e-ishq bhadakte hei hawa se pehle
Honth jal jaate hei mohabbat mein duwa se pehle
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #7 on: May 19, 2005, 04:20:46 AM »
Reply with quote
kya baat hai Chiraag ji .......

mahobaat ke chirag ko vo roshan kar gaye
ki bhujaya bhi chirag tuh bas jalane kel liye........
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #8 on: May 19, 2005, 06:52:40 AM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
meri tanhaai ko ab ik mehmaaN chaahiye
    mujhko saaya naheeN ik insaaN chaahiye

    baatoN meiN khulte heiN aksar puraane zakham
    koi kam-sukhan koi bey-zubaaN chhaahiye
        (kam-sukhan = kam bolne waale)

    aNdhere heiN zindagi meiN door talak bahot
    mujhko ujaaloN ka kaarwaaN chaahiye

    mujhko na raas aayega teraa zareeN qafas
    hum parindoN ko khulaa aasmaaN chaahiye
        (zareeN qafas = sunehri pinjaraa)

     eak "khwab" par guzar di zindgi humne
     ab "chirag" koi yakeeNee "haaN" chhahiye


Good work dear,

hum bhi kisi ki aankhon main basna chahte hain, na ki aansun bankar,
hum bhi kisi ke dil main basna chahte hain, na ki dard bankar
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #9 on: May 19, 2005, 07:48:29 AM »
Reply with quote
shukria sabhi kadra dano ko tahe dil se ada karte hain


' mere is junooo' ka naateeeza zaroor niklega
      seincha hai ise ' lahoo ' se toh ' noor ' niklega
'
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #10 on: May 19, 2005, 08:07:31 AM »
Reply with quote
hum natizon ki parva nahi karte kabhi bhi ishq main
ki jalake chiraag dilon ke roshan karte hai unki mehfil ko
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #11 on: May 19, 2005, 08:21:05 AM »
Reply with quote
ye chiraag benazar hai ye sitara bezuba' hai
abhii tujhse milta julta koi dusra kahan hai


vahi shakhs jispe upne dil-o-jan nisaar kar dun
vo agar khafa nahin hai to zaruur badguman hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #12 on: May 19, 2005, 10:22:49 AM »
Reply with quote
huum good Chiraag..........

tujhse koi kabhi kafa ho nahi sakta
dil kitna bhi udass ho vo ro nahi sakta
ki aansuon main milkar na beh jaye tu
ek katra bhi aankh se vo baha nahi sakta
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #13 on: May 19, 2005, 10:29:56 AM »
Reply with quote
aankh ke katre ki bat kahi hai to main kahoon


hum ne to ashk pi k guzari hai sari umr
hum se khafaa hai kis liye aakhir ye zindgi
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #14 on: May 19, 2005, 10:33:11 AM »
Reply with quote
zindagi tujhse khafa nahi rahegi tab
jab aayegi teri zindagi main banke koi teri zindagi
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:27:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer