mera adhoora khab hai ...............

by chiraaaaaaaaag on May 18, 2005, 06:46:34 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 7853 times)
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #45 on: June 14, 2005, 04:37:17 PM »
Reply with quote
yun hii besabab na phiraa karo, koi shaam ghar bhi raha karo
vo Gazal ki sachchi kitaab hai, use chupke chupke padha karo


koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj ka shahar hai, zaraa fasale se mila karo


abhi raah mein kai mod hain, koi ayega koi jayga
tumhe jisne dil se bhula diya use bhulane ki duaa karo


mujhe ishtahaar si lagati hain, ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahin vo sunaa karo, jo sunaa nahin vo kahaa karo


kabhi husn-e-pardaanashin bhi ho zara ashiqana libaas mein
jo main ban-savar ke kahin chalun, mere saath tum bhii chalaa karo


ye khizaa kii zard-si shaam mein, jo udaas ped ke paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai, ise aansuon se haraaa karo


nahin behijaab vo chand sa ki nazar kaa koi asar nahin
use tanii garmi-e-shauq se badi der tak na takaa karo
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi ak khab hai by muneeb in Shayri-E-Dard
Khab by Sonu in Miscellaneous Shayri
--------adhoora-------- by killbill in Shayri for Khumar -e- Ishq
खाब(khab).......{ambu} by ambalika sharma in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Khwab adhoora sa.... by Iraprash in Shayri for Khumar -e- Ishq
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #46 on: June 14, 2005, 04:39:53 PM »
Reply with quote
"kamal-e-isq hai divana ho gaya hun main
ye kis ke haath se daaman chudaa raha hun main

tumhin to ho jise kahati hai nakhuda duniya
bacha sako to bacha lo ki dubataa hun main

nakhuda = nav chalane wala

ye mere ishq ki mazburiyan ma'az-allaah
tumhara raz tumhin se chhupaa rahaa hun main
"
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #47 on: June 14, 2005, 04:40:45 PM »
Reply with quote
UMRA KA YE UTAAR BAAKI HAI
ZINDAGI BESHUMAAR BAAKI HAI

AAYEE PATJHAD KAIE CHALE GAYE
ABHI BHI KUCH BAHAR BAAKI HAI

TUMSE MILKAR BHI MAIN HOON KHUSH NAHIN
KISI KA INTZAAR BAAKI HAI

AAJ PHIR AANKH SE GIRE AANSOO
DIL MAIN KOI DARAAR BAAKI HAI
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #48 on: June 14, 2005, 04:41:29 PM »
Reply with quote
Mere Ek Sawal Hai Iska Jawab De
Hosake Tou Mere Is Ilteja Ka Jawab De
Tou Karte Hai Nafrat Ya Ke Pyar Mujhe Se
Meri Sirf Is Therir Ka Jawab De
Mein Na Phir Tujhe Chedonga Kabhi
Phir Na Kabhi Khaonga Ke Mujh Ko Jawab De
Barbad Hojonga Teri Intezar Mein
Hosake Tou Meri Is Tehrir Ka Jawab De
Chala Jaonga Tere Shaher Se Phir Na Aonga
Is Liya Meri Jaan Phele Mujh Ko Jawab De
Hatjaonga Hamesha Tere Raaste Se
Agar Is Per Teri Khoshi Hai Tou Mujh Ko Jawab De
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #49 on: June 14, 2005, 04:43:27 PM »
Reply with quote
tere gunaah aur gunahgaar hi sahi
tere karam ki aas lagaye huye to hain

ye tujh ko ikhtiyar hai tasiir de na de
dua mein haath hum aaj uthaye huye to hain

mitate huon ko dekh ke kyon ro na dein 'chiraag'
aaKhir kisii ke ham bhii mitaaye huye to hain
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #50 on: June 14, 2005, 04:46:02 PM »
Reply with quote
aaKhir Gazal kaa tajmahal bhii hai makabaraa
ham zindagii the hamako kisii ne jiyaa nahin


jisakii mukhaalafat hui mashoor ho gayaa
in pattharon se koi parindaa gira nahin


taariikiyon mein aur chamakatii hai dil kii dhoop
chiraag tamaam raat se sehar talak yahaan bujhta nahiin


kisne jalain bastiyan baazaar kyon lute
main chand par gayaa thaa mujhe kuchh pataa nahin
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #51 on: June 14, 2005, 04:46:39 PM »
Reply with quote
kam_nashi dil ki haqiqat kya kahun
soz mein duba hua ik saaz hai

aap kii makhmoor ankhon ki qasam
meri maikhvari abhi tak raaz hai

hans diye vo mere rone pe magar
un ke has dene me bhi ek raaz hai

chhup gaye vo saaz-e-hastii ched kar
ab to bas aavaz hi aavaz hai

husn ko nahaq pasheman kar diyaa
ai junoon ye bhii koi andaz hai

saarii mehfil jis pe jhuum uthi 'charaag'
vo to aavaaz-e-shikast-e-saaz hai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #52 on: June 14, 2005, 04:47:27 PM »
Reply with quote
kam_nashi dil ki haqiqat kya kahun
soz mein duba hua ik saaz hai

aap kii makhmoor ankhon ki qasam
meri maikhvari abhi tak raaz hai

hans diye vo mere rone pe magar
un ke has dene me bhi ek raaz hai

chhup gaye vo saaz-e-hastii ched kar
ab to bas aavaz hi aavaz hai

husn ko nahaq pasheman kar diyaa
ai junoon ye bhii koi andaz hai

saarii mehfil jis pe jhuum uthi 'charaag'
vo to aavaaz-e-shikast-e-saaz hai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #53 on: June 14, 2005, 04:47:46 PM »
Reply with quote
''shaam se aaj saans bhaari hai ,
bequarari hai badi bequarari hai ,
aap ke baad har ghari humne
aap ke saath hi guzaari hai .

sham se aaj saans .......
bequarari hai badi bequarari hai

raat ko dedochandni ki hidaat ,
din ki chadar abhi utari hai,
kal ka har harrf tumhara tha,
aaj har dastaan hamari hai.''
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #54 on: June 14, 2005, 04:48:25 PM »
Reply with quote
Tu khush rahe ke tujhe khwaahishain ho sab haasil,
Har lamha ek duaa kar rahaa chirag e dil

Main apni mufalisi main kaise tujhko le aataa,
Tu kohenoor thi shahaon ke taj ke kaabil.

Kisi ko pyaar karun to jahaane jannat dun,
Kyon apani bebasi main usko bhi karun shaamil

Har ek shaakh , har ik sheh tujhi se pyaar kare,
Ki naam bhi naa mera yaad kare teraa dil

Tere naseeb ke kaante khudaa mujhe de de,
Teri fateh ho mile khud ba khud tujhe manzil.

Ho teri paak nigaahon main dhoop si tezi,
Nazar mile to kare aafataab bhi jhilmil

Naa teri aankh main aansoo kabhi bhi chhalake,
Naa teri rah main aaye kabhi koi mushkil.

Chhuye naa dhool ka zarra bhi tere daaman ko,
Tere qadam se pighal jaaye har pahaad ka dil.

Main saans loon to khoon surkh ho teraa,
Teraa hai tera hi rahegaa is chiraag ka dil
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #55 on: June 14, 2005, 04:50:14 PM »
Reply with quote
ahal-e-daval me.n dhuum thii roz-e-sa_iid kii
muflis ke dil me.n thii na kiran bhii ummiid kii
itane me.n aur charKh ne maTTii paliid kii
bachche ne muskuraa ke Khabar dii jo iid kii

[ahal-e-daval=rich people; roz-e-sa_iid=festive day]
[muflis=poor/poverty/stricken; charKh=sky (referring to God)]


fart-e-mihan se nabz kii raftaar ruk ga_ii
maa.N-baap kii nigaah uThii aur jhuk ga_ii

[fart-e-mihan=wave of sorrow; nabz=pulse]

aa.Nkhe.n jhukii.n ki dast-e-tihii par nazar ga_ii
bachche ke val-valo.n kii dilo.n tak Khabar ga_ii
zulf-e-sabaat Gam kii havaa se bikhar ga_ii
barchhii sii ek dil se jigar tak utar ga_ii

[dast-e-tihii=empty hands; val-vale=enthusiasm]
[sabaat=patience; barchhii=spear]

dono.n hujuum-e-Gam se ham-aaGosh ho gaye
ik duusare ko dekh ke Khaamosh ho gaye

[hujuum=crowd; ham-aaGosh=embraced]

----- josh saahib
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #56 on: June 14, 2005, 04:55:19 PM »
Reply with quote
jhonkaa idhar na aaye naseem-e-bahar ka
nazuk bahut hai phuul chirag-e-mazaar ka

phir baithe baithe vada-e-vasl us ne kar liya
phir uth khada hua vahi rog intazar ka

shakhon se barg-e-gul nahin jhadate hain bag me
zevar utaar raha hai urs-e-bahar ka

har gul se lalazar me ye puchta hun main
tu hi pata batade dil-e-dag dar ka

is pyar se fishar diya gor-e-tang ne
yad a gaya maza mujhe agosh-e-yar ka

hilati nahin hava se chaman main ye daliyaan
munh choomte hain phool urus-e-bahaar kaa

uthta hai naza main vo sarhane se ai 'chiraag'
mitata hai asra dil-e-umid var ka
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #57 on: June 14, 2005, 04:55:51 PM »
Reply with quote
phool the badal bhi tha aur vo hasin soorat bhi thi
dil me lekin aur hi ek shaql ki hasrat bhi thi

jo hava me ghar banaye kash koi dekhta
dasht me rahte the par tamir ki adat bhi thi

kah gaya main samne us ke jo dil ka mudda
kuch to mausam bhi ajab tha kuch meri himmat bhi thi

ajanbi sheharon me rahate umr saari kat gai
go zara se fasale par ghar ki har rahat bhi thi

kya qyamat hai "chiraag" ab yad bhi aate nahin
vo purane aashna jin se hame ulfat bhi thi
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #58 on: June 14, 2005, 04:56:40 PM »
Reply with quote
phir bhi hey tumko masihai ka dava dekho
mujhko dekho, mere murne ki tamanna dekho

jurm-e-nazara pe kaun itni khushamad karata
ab vo ruthe hain lo aur tamasha dekho

do hi din me vo baat hai na vo chah na pyar
ham ne pehle hi ye tum se na kaha tha dekho

ham na kehte the banavat se hai sara gussaa
hans ke lo phir vo unhone hamen dekha dekho

masti e husn se apni bhi nahin tum ko khabar
kya suno araj meri, haal mera kya dekho

ghar se har vaqt nikal aate ho khole hue baal
shaam dekho na meri jaan savera dekho

khana-e-jaan me namu~dar hai ek paikar e noor
hasrato aao rukh e yaar ka jalva dekho

samne sab ke munaasin nahin ham par ye itaab
sar se dhal jaye na gusse me dupatta dekho

mar mite hum to kabhi yad bhi tum ne na kiya
ab muh'bbat ka na karana kabhi davaa dekho

doston tark e muh'bbat ki nasihat hai fizool
aur na mano to dil e zaar ko samjha dekho

sar kahin baal kahin haath kahin paon kahin
us ka sona bhi hai kis shan ka sona dekho

ab vo shokhi se ye kehte hain sitamagar jo hain hum
dil kisi aur se kuch roz behla dekho

havas e deed miti he na mitegi "chiraag"
dekhane ke liye chaaho unhe jitna dekho
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #59 on: June 14, 2005, 04:57:36 PM »
Reply with quote
Hazaro fulon se sajaayi gayi hain meri kabr
Ek phool ki mahak kafi thi jab tak tha zami par

Utha lete the kal jo log apne shabdo ke zor par
Utha nahi paye apne kandhe ke zor par

Zukam de jaate hein ye thande ashq mere kafan ko bhigo kar
Bade garm the ve ashq jo sukh jaate the mere dilko bhigokar

Diya jalaakar aaj jo chale jaate hein meri kabr par
kambhaqt saath rehkar to jalte the jab tak tha zami par
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:23:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer