chiraaaaaaaaag
Guest
|
«Reply #60 on: June 14, 2005, 04:58:11 PM » |
|
Khel kar yun ungaliyon se baalon main, Aur uljhaao naa sawaalon main.
Padhne waale to padh hi lete hain, Dil ki sab daastaan rumaalon main.
Gar haqikat main naa hue haasil, Milne aaoge naa khayaalon main ?
Kal subah zindagi rahe naa rahe, ...??
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #61 on: June 14, 2005, 04:59:26 PM » |
|
kam a saki na upni vafayein to kya karein ik bevafa ko bhool na jaayein to kya karein
mujh ko ye etaraf duaaon me hai asar jaye na arsh par jo duayein to kya karein
ik din ki bat ho to use bhool jaayein hum nazil hon roz dil pe balayein to kya karein
shab bhar to un ki yaad me tare gina kiye tare-se din ko bhi nazar ayein to kya karein
ahad-e-tarab ki yad mein roya kiye bahut ab muskura ke bhool na jayein to kya karein
ab jii mein hai ki un ko bhula kar hi dekh lein vo bar bar yad jo aayein to kya karein
tark-e-vafaa bhi jurm-e-muhabbat sahi "chiraag" milane lagein vafa ki sazayen to kya karein
|
|
|
Logged
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #62 on: June 14, 2005, 04:59:49 PM » |
|
kabhii saaya hai kabhi dhoop muqaddar meraa hotaa rahata hai yuun hi qarz barabar meraa
tuu jaate hain kabhi mere kinare mujh mein doob jata hai kabhi mujh mein samandar mera
kisii sahara mein bichhad jayenge sab yar mere kisii jangal mein bharak jayega lashkar meraa
bavafaa thaa to mujhe puchne vale bhi na the bevafaa hun to hua nam bhi ghar ghar meraa
kitane hanste hue mausam abhii aate lekin ek hii dhoop ne kumhala diya manzar meraa
aakhri jur'a-e-pur kaif ho shayad baqii ab jo chaalka to chalak jayega sagar meraa
|
|
|
Logged
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #63 on: June 14, 2005, 05:00:20 PM » |
|
kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ki tarah mera vajuud hai jalate hue makaan ki tarah
bhari bahar ka sinaa hai zakhm zakhm magar sabaa ne gaye hain lori shafiq man ki tarah
vo kaun thaa jo barhana badan chattano se lipat gaya tha kabhi bahr-e-bekaran ki tarah
sakut-e-dil to jaziraa hai barf ka lekin tera Khuloos hai suraaj ke sayebaan ki tarah
main ik khvab sahi aap ki amanat hun mujhe sambhal ke rakhiyega jism-o-jaan ki tarah
kabhii to soch ke vo shaks kis qadar tha buland jo bichh gaya tere qadmon me asmaan ki tarah
bulaa rahaa hai mujhe phir kisi badan ka basant guzar na jaye ye rut bhi kahin khizan ki tarah
lahuu hai nisf sadi ka jis ke aabagiine me na dekh "chirag" use chashm e agravaan ki tarah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #64 on: June 14, 2005, 05:00:58 PM » |
|
mana ke un ke nezon pe ab sar nahin koi kyaa un ke aastin me bhi khanjar nahin koi
mazburiyon ne ghar se nikalane na diya duniyaa samajh rahii hai meraa ghar nahin koi
ab kya karenge ham naye surajki roshani jab dekhane ke vaaste manzar nahin koi
dil ho raha hai der se khamosh jheel sa kya doston ke haath me patthar nahin koi
qismat sabhii kii vaqt ke haathon me rahati hai is daur men kisii kaa muqaddar nahin koi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #65 on: June 14, 2005, 05:01:18 PM » |
|
jo dil ne kahii lab pe kahaan ai hai dekho ab mehfil-e-yaaran me bhi tanhai hai dekho
phulon se hava bhi kabhi ghabarai hai dekho gunchon se bhi shabnam kabhi katarai hai dekho
ab zauq-e-talab vajah-e-junuun thair gayaa hai aur arz-e-vafaa baais-e-rusvai hai dekho
Gam apane hi ashkon ka kharidar hua hai dil apani hi halaat kaa tamaashai hai dekho
|
|
|
Logged
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #66 on: June 14, 2005, 05:01:48 PM » |
|
phir se mausam baharon ka aane ko hai phir se rangin zamana badal jayega ab ki bazm-e-chiragaan saza lenge hum ye bhi arman dil kaa nikal jayega
aap kar dein jo mujh pe nigaah-e-karam merii ulfat ka reh jayega kuch bharam yun fasana to mera rahega yahin sirf unavaan us kaa badal jayega
phiki phiki si kyun sham-e-maikhana hai lutf-e-saqi bhi kam khali paimana hai apani nazron se hi kuch pila dijiye rang mehfil ka khud hi badal jayega
mere mitne ka un ko zara gam nahin zulf bhi un ki aey dost barham nahin apane hone naa hone se hota hai kya kam duniya ka yun hi to chal jaayegaa
aap ne dil jo 'chiraag' ka toda to kya aap ne us ki duniya ko chhoda to kya aap itne to aakhir paresha na ho vo sambhalate sambhalate sambhal jayga
|
|
|
Logged
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #67 on: June 14, 2005, 05:02:38 PM » |
|
jism upna hai koi aur na saya upna jane is jiest me hey kaun sa rishta upna
toone kis mod pe choda tha mujhe umr e ravaan tac raha hun kai sadiyon se main rasta upna
hum rahe bhi to badalte hue mausam ki tarah teri ankhon me koi aks na thehra upna
ik tera gum tha ba~har rang jo shaadab raha is shazar ne giraya koi patta upna
kitane asanaam tarashe hain teri soorat k jhank kar dekh zara mujh se sarapa upna
|
|
|
Logged
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #68 on: June 14, 2005, 05:18:21 PM » |
|
hi friends, on soooooo many appriciable requests of all of u i have collected my various pages and compiled them all in this page only and in future i will be writing on this page onlyheartly thanks to all of u for ur overhelming responce
I m writing down a new one
usuloon pe jhaan aanch aaye thkaraana zaroori hai jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai
nai umron ki khud mukhtariyo ko kaun samajhaye kahan se bach k chlanaa hai kahan jana zaroori hai
thake haare parinde jab basere ke liye laute saliqamand shaakho ka lachak jaana zaroori hai
bahut bebak aankho me ta'alluqh thik nahi pata muh'bbat me kashish rakhane ko sharmana zaroori hai
saliqa hi nahi shaayad use mehsoos karne ka jo kehta hai khuda hai to nazar anaa zaroori hai
mere honthon pe upni pyas rakh do aur phir socho ki is ke baad bhi duniya me kuch pana zaroori hai
thank u all love--> Chiraag
|
|
|
Logged
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #69 on: June 17, 2005, 04:39:43 PM » |
|
vo diyaa jis se mere qalb o nazar raushan the main ne jab haath lagaaya to jale haath mere
ghar ki takhti koi padhta hi nahin kya kije koi ho jo ki mujhe shahar me rusava kar de
mujhe ye dukh ki ye lazzat teri qismat me nahin aur tuu khush ki kisi saanp ne kataa na tujhe
teri qismat teri hathon ki lakiron me nahin dhundh kar la vo sitara ki jabin par chamake
dekhane kuch na diya dasht ke aage kya hai ban gaye raah ki divaar musafir kitane
vadi e marg hai ye shahar jo din ko khush tha aap shab khun ki tamanna me kahan aa pahunche
mere haathon se ruka sail e hava ka relaa sang hun ya ki main pathar huun mujhe sochne de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #70 on: June 17, 2005, 04:54:11 PM » |
|
haaye vo vaqt e judai k tumhare aansoo gir ke daaman pe bane the jo sitaare aansoo
laal o gauhar k khazane hain ye saare aansoo koi aankho se churaa le na tumhare aansoo
teri aankho me agar ho to sitare aansoo meri aankho me agar ho to bechaare aansoo
in ko 'chiraag' na kabhii aankh se girne denaa un ko lagate hain meri aankh me pyare aansoo
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nidhi_yadein
Umda Shayar
Rau: 2
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~
Posts: 5725 Member Since: Nov 2004
|
|
«Reply #71 on: June 17, 2005, 05:38:29 PM » |
|
haaye vo vaqt e judai k tumhare aansoo gir ke daaman pe bane the jo sitaare aansoo
laal o gauhar k khazane hain ye saare aansoo koi aankho se churaa le na tumhare aansoo
teri aankho me agar ho to sitare aansoo meri aankho me agar ho to bechaare aansoo
in ko 'chiraag' na kabhii aankh se girne denaa un ko lagate hain meri aankh me pyare aansoo wah chiraaaag ji,khushi hui appko aur aapke khoobsurat sher ko dekhkar
|
|
|
Logged
|
|
|
|
chiraaaaaaaaag
Guest
|
|
«Reply #72 on: June 18, 2005, 05:10:55 PM » |
|
thank u nidhi ji aapko dekh kar bhi bahut khushi hui kaise hain aap .......
" usuloon pe jhaan aanch aaye thkaraana zaroori hai jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai
nai umron ki khud mukhtariyo ko kaun samajhaye kahan se bach k chlanaa hai kahan jana zaroori hai
thake haare parinde jab basere ke liye laute saliqamand shaakho ka lachak jaana zaroori hai
bahut bebak aankho me ta'alluqh thik nahi pata muh'bbat me kashish rakhane ko sharmana zaroori hai
saliqa hi nahi shaayad use mehsoos karne ka jo kehta hai khuda hai to nazar anaa zaroori hai
mere honthon pe upni pyas rakh do aur phir socho ki is ke baad bhi duniya me kuch pana zaroori hai
"
umeed hai k aapko pasand aayega
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nidhi_yadein
Umda Shayar
Rau: 2
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~
Posts: 5725 Member Since: Nov 2004
|
|
«Reply #73 on: June 18, 2005, 06:17:46 PM » |
|
thank u nidhi ji aapko dekh kar bhi bahut khushi hui kaise hain aap .......
" usuloon pe jhaan aanch aaye thkaraana zaroori hai jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai
nai umron ki khud mukhtariyo ko kaun samajhaye kahan se bach k chlanaa hai kahan jana zaroori hai
thake haare parinde jab basere ke liye laute saliqamand shaakho ka lachak jaana zaroori hai
bahut bebak aankho me ta'alluqh thik nahi pata muh'bbat me kashish rakhane ko sharmana zaroori hai
saliqa hi nahi shaayad use mehsoos karne ka jo kehta hai khuda hai to nazar anaa zaroori hai
mere honthon pe upni pyas rakh do aur phir socho ki is ke baad bhi duniya me kuch pana zaroori hai
"
umeed hai k aapko pasand aayega Aapke sher hamesha umeedon se zyada hi pasand aate hain ,bohat khoob. btw i m fine,wat bout u?
|
|
|
Logged
|
|
|
|
amrita
Guest
|
|
«Reply #74 on: June 18, 2005, 06:48:34 PM » |
|
thank you nidhi ji aapko dekh kar bhi bahut khushi hui kaise hain aap .......
" usuloon pe jhaan aanch aaye thkaraana zaroori hai jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai
nai umron ki khud mukhtariyo ko kaun samajhaye kahan se bach k chlanaa hai kahan jana zaroori hai
thake haare parinde jab basere ke liye laute saliqamand shaakho ka lachak jaana zaroori hai
bahut bebak aankho me ta'alluqh thik nahi pata muh'bbat me kashish rakhane ko sharmana zaroori hai
saliqa hi nahi shaayad use mehsoos karne ka jo kehta hai khuda hai to nazar anaa zaroori hai
mere honthon pe upni pyas rakh do aur phir socho ki is ke baad bhi duniya me kuch pana zaroori hai
"
umeed hai k aapko pasand aayega hey chiraag your too good..!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|