mera adhoora khab hai ...............

by chiraaaaaaaaag on May 18, 2005, 06:46:34 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
ReplyPrint
Author  (Read 7849 times)
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #75 on: June 20, 2005, 04:18:30 PM »
Reply with quote
thank u nidhi ji aur  amrita ji ......

Aur btw hum bilkul sahi hain aur mehfooz hain aap ki duaon se .....








yun dosti ke naam ko rusva na kijiye
tark e talluqaat ka charcha na kijiye

jurm o sitam ka paas bhi ulfat me sharth hai
palakon ko ansuon se bhigoya na kijiye

aisa na ho ummid se rishta hi toot jaye
har roz mujhse vaada e farda na kijiye

hamdard jis ko upna samajhte rahe hain aap
us kaa hi zindagi me bharosa na kijiye

"chiraag" vafuur e gam se na ghabarai kabhi
khuddaari e hyaat ko rusva na kijiye





chalte chalte ye toh keh hi dein nidhi ji k hum aapki shayari k kayal hain .... gustakhi maaf


badi der se kehte kehte der ho gayi  .....
aapki toh har baat kahi aur vo sher ho gayi

pad k jiski tapan bhi mehsoos ho gayi ....
shabnam ki mein jo bhoond hoon vo bahaar ho gayi

.......................chiraag
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi ak khab hai by muneeb in Shayri-E-Dard
Khab by Sonu in Miscellaneous Shayri
--------adhoora-------- by killbill in Shayri for Khumar -e- Ishq
खाब(khab).......{ambu} by ambalika sharma in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Khwab adhoora sa.... by Iraprash in Shayri for Khumar -e- Ishq
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #76 on: June 20, 2005, 04:30:01 PM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
thank u nidhi ji aur  amrita ji ......

Aur btw hum bilkul sahi hain aur mehfooz hain aap ki duaon se .....








yun dosti ke naam ko rusva na kijiye
tark e talluqaat ka charcha na kijiye

jurm o sitam ka paas bhi ulfat me sharth hai
palakon ko ansuon se bhigoya na kijiye

aisa na ho ummid se rishta hi toot jaye
har roz mujhse vaada e farda na kijiye

hamdard jis ko upna samajhte rahe hain aap
us kaa hi zindagi me bharosa na kijiye

"chiraag" vafuur e gam se na ghabarai kabhi
khuddaari e hyaat ko rusva na kijiye





chalte chalte ye toh keh hi dein nidhi ji k hum aapki shayari k kayal hain .... gustakhi maaf


badi der se kehte kehte der ho gayi  .....
aapki toh har baat kahi aur vo sher ho gayi

pad k jiski tapan bhi mehsoos ho gayi ....
shabnam ki mein jo bhoond hoon vo bahaar ho gayi

.......................chiraag
Once again kamaal ka likha hai chiraag ji :D

Aap kya hamari shayri k kaayal honge,ham to khud aapki shayri k kaayal hain,bohat khoob likhte hain aap.

"Tasveer kisi ki ankho me basaayi hai maine,
  saanso me apne uski mehak paayi hai maine,
  kuch yun jalaaye baithe hain dil ke chiraag ham,
  ki khud aaj jalne ki naubat aayi hai."
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #77 on: June 20, 2005, 04:45:09 PM »
Reply with quote
aisa kaise ho sakta hai nidhi ji suraaj bhi kabhi shab ka mureed hua hai

ab yahi dekhiye kya khoob likha hai aapne ....... sidhe rooh mein utar jati hai aapki har baat

 jitna khoob aap likhte hoo utne he saral insaan bhi ho aap jo hame izzat baksh dete ho


""Tasveer kisi ki ankho me basaayi hai maine,
saanso me apne uski mehak paayi hai maine,
kuch yun jalaaye baithe hain dil ke chiraag ham,
ki khud aaj jalne ki naubat aayi hai.""



pesh hai ; kabool farmaien ---

charaag o aftab gum, badi hasin raat thi
shabab ki naqab gum, badi hasin raat thi


mujhe pila rahe the vo ki khud hi shama bujh gayi
gilaas gum sharaab gum, badi hasin raat thi


likha hua tha jis kitaab me, ki ishq to haraam hai
hui vahi kitaab gum, badi hasin raat thi


labon se lab jo mil gaye, labon se lab jo sil gaye
savaal gum javaab gum, badi hasin raat thi


...............chiraag
Logged
Tosha
Guest
«Reply #78 on: June 20, 2005, 05:06:21 PM »
Reply with quote
Chiraaaagh sahab....bakhoobi..pesh kiye hai aap ne aapne jazbaat...!!! likhte rahi....likhte raho
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #79 on: June 21, 2005, 02:18:35 PM »
Reply with quote
ty tosha ji ,









kabhii ansuu kabhi khushi bechi
hum garibon ne bekasi bechi

chand sanse kharidne ke liye
roz thodi si zindagi bechi

jab rulane lage mujhe saaye  
main ne uqtaa ke raushni bechi

ek ham the ki bik gaye khud hi
vurnaa duniya ne dosti bechi











                       ...............chiraaag
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #80 on: June 21, 2005, 03:13:41 PM »
Reply with quote
<L








har ek harf e arzu ko dastaan kiye hue
zamaanaa ho gaya hai un ko mehman kiye hue

suroor e aish talkhi e hayat ne bhula diya
dil e hazin hai bekasi ko hijr e jan kiye hue

kali kali ko gulistan kiye hue vo aayenge
vo ayenge kali kali ko gulistan kiye hue

sukun e dil ki rahaton ko un se maang lun
sukun e dil ki rahaton ko bekaraan kiye hue

vo ayenge to ayenge junun e shauq ubharne
vo jayenge to jayenge tabahiyan kiye hue

main un ki bhi nigah se chupa ke un ko dekh lun
ki un se bhi hai aaj rashk badguman kiye hue









                                                                    L>
Logged
nikki
Guest
«Reply #81 on: June 21, 2005, 04:00:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
meri tanhaai ko ab ik mehmaaN chaahiye
    mujhko saaya naheeN ik insaaN chaahiye

    baatoN meiN khulte heiN aksar puraane zakham
    koi kam-sukhan koi bey-zubaaN chhaahiye
        (kam-sukhan = kam bolne waale)

    aNdhere heiN zindagi meiN door talak bahot
    mujhko ujaaloN ka kaarwaaN chaahiye

    mujhko na raas aayega teraa zareeN qafas
    hum parindoN ko khulaa aasmaaN chaahiye
        (zareeN qafas = sunehri pinjaraa)

     eak "khwab" par guzar di zindgi humne
     ab "chirag" koi yakeeNee "haaN" chhahiye



superbbbb Chirag ji ........bahut hi acha likha hai aapne...
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #82 on: June 22, 2005, 05:33:56 PM »
Reply with quote
thank u nikki ji .... vaise aap bhi khoob likhte hain ,





fasla to hai magar koi fasla nahin
mujhse tum juda sahi dil se to juda nahin


aasman ki fikr kyaa aasman khafa sahi
aap ye bataiye aap to khafaa nahin


kashtiyan nahin to kya hausale to paas hain
kah do nakhudaon se , tum koi khuda nahin


lijiye bulaa liyaa aap ko khayalon me
ab to dekhiye hamen koi dekhta nahin


aaiye chirag e dil aaj hi jalayen hum
kaisi kal hava chale koi janta nahin




                                 ..............chiraag
Logged
nikki
Guest
«Reply #83 on: June 22, 2005, 05:37:46 PM »
Reply with quote
bahut khoob once again............

haunsle buland ho to mil sakta hai khuda bhi
yeh to fir.. mohabbat hai
hue hain bas.. juda hi
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #84 on: June 22, 2005, 05:43:10 PM »
Reply with quote
thank u once again nikki ji ...............


falsafe ishq me pesh aaye savalon ki tarah
hum pareshan hi rahe upne khayalon ki tarah

shishagr baithe rahe zikr e masiha lekar
aur hum tut gaye kanch ke pyaalon ki tarah

jab bhi anzam e muhabbat ne pukara khud ko
vaqt ne pesh kiya hum ko misalon ki tarah

zikr jab hoga muhabbat me tabaahi ka kahin
yaad hum aayenge duniya ko havalon ki tarah

                   


                                 ..........        chiraag
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #85 on: June 22, 2005, 06:10:02 PM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
aisa kaise ho sakta hai nidhi ji suraaj bhi kabhi shab ka mureed hua hai

ab yahi dekhiye kya khoob likha hai aapne ....... sidhe rooh mein utar jati hai aapki har baat

 jitna khoob aap likhte hoo utne he saral insaan bhi ho aap jo hame izzat baksh dete ho


""Tasveer kisi ki ankho me basaayi hai maine,
saanso me apne uski mehak paayi hai maine,
kuch yun jalaaye baithe hain dil ke chiraag ham,
ki khud aaj jalne ki naubat aayi hai.""



pesh hai ; kabool farmaien ---

charaag o aftab gum, badi hasin raat thi
shabab ki naqab gum, badi hasin raat thi


mujhe pila rahe the vo ki khud hi shama bujh gayi
gilaas gum sharaab gum, badi hasin raat thi


likha hua tha jis kitaab me, ki ishq to haraam hai
hui vahi kitaab gum, badi hasin raat thi


labon se lab jo mil gaye, labon se lab jo sil gaye
savaal gum javaab gum, badi hasin raat thi


...............chiraag


bohat bohat shukriya aapko sher pasand aaya Usual Smile

Aapne phir se bohat hi accha likha hai,dil ko choone wala har alfaaz hai aapka,dil khush ho jaata hai aapke sher padhke Usual Smile
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #86 on: June 23, 2005, 03:22:07 PM »
Reply with quote
hum bahut khush ho jate hain Nidhi jee jab aap Faree sahab , sandhya ji,Waheed sahab ,tosha ji jaise shayar hame izzat dete hoo .........

aap sabhi logoon ki shayari hume bahut bahut hi jyada pasand aati hai .... dil karta hai baar baar pate rahen ..... aap log jab likte ho to aisa lagta hai ki har baat bahut hi gehrai liye hue hai ... kai matlab nikalte hain aap logon k sheron k .....
 
mazaa aa jata hai padkar aap logon ko



"

hum dosti ehsan vafaa bhool gaye hain
zinda to hain jine ki ada bhool gaye hain

Khushbu jo lutate hain masalate hain usi ko
ehsas ka badla ye milata hai kali ko
ehasas to lete hain sila bhool gaye hain

karate hain muhabbat ka aur ehasas ka sauda
matlab ke liye karte hain ee~man ka sauda
dar maut ka aur khauf e Khuda bhool gaye hain

ab mom me dhalkar koi patthar nahin hota
ab koi bhi qurban kisi par nahin hota
kyun bhatke hain manzil ka pata bhool gaye hain
 "
 








...................................... Chiraag
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #87 on: June 23, 2005, 03:36:08 PM »
Reply with quote
hum se bahal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dard me dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

saya e vasl kab se hai aap kaa muntazir magar
hijr me dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

apane khilaaf faisla khud hi likha hai aap ne
haath bhi mul rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

vaqt ne arzuu ki lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

zehmat e zarbat e digar dost ko dijiye nahin
gir ke sambhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

dayraavar hi to hain ishq ke raaste tamaam
raah badal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

dasht ki sari raunqen khair se ghar me hain to kyun
ghar se nikal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain


upni talaash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khvab me chal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #88 on: July 20, 2005, 01:32:15 PM »
Reply with quote
nazar se justajuu bekaar nikli
khud apane aap se do-chaar nikli

kiran ko thi ye khush fehmi ki dar hai
pas e deevar bhi divaar nikli

mujhe hasrat thi jis tab e sukhan ki
vahi  shai is ki bhi darkaar nikli

chuta akhir ko duniya se to dekha
mohabat hi gale ka har nikli

nigahen jhuk gain jab khudpasandi
barhanaa barasar e darbaar nikli

nihaal e fiqr ki shakhen namudar
qalam hokar bhi kya gulnaar nikli

bhalaa hotaa hai kyaa kahane se 'chiraag'
chalo kuchh khvaahish e izhaar nikli
Logged
FAREE
Guest
«Reply #89 on: July 21, 2005, 03:20:03 AM »
Reply with quote

Buhat  Khoob....................Chiraagggggggggggggggggg g..................... Supreb Gr8

Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:10:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer