~*~ Mera basera hai ~*~ by Rahim

by dead heart on November 10, 2011, 07:58:06 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1015 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
'Main uski ankhon main dikhta hoon'..
Ek ashiq kay liye is'se badkar kya hoga kay uska chehra, uski parchayi woh apne mehboob, apne sanam ki ankhon main dekh sakta ho..
Meri yeh nazm, issi thought par likhi gayi hai..

Aao mere hum kadam,
Main tumhe dikhata hoon,
Woh jahan..jahan mera basera hai..

Jahan farishton ka pehra hai,
Jahan har ek nazara sunhera hai,
Jahan dukh main bhi hota savera hai,
Bas, wahin yaaron, mera basera hai..

Jahan fizaon main mohobat chhayi hai,
Jahan kisi ko nahin milti tanhayi hai,
Jahan nafraton ne bhi payi ruswai hai,
Bas, wahin yaaron, mera basera hai..

Jahan sache ishq ka jhanda lehra hai,
Jahan khushion ka ehsaas gehra hai,
Jahan imani roohon ka dhera hai,
Bas, wahin yaaron, mera basera hai..

Yeh duniya banayi hai maine kisi ki ankhon main,
Woh ankhein jo lagi hai kisi kay chehre par,
Ae gum-naam dilbaar, woh chehra..woh chehra tera hai,
Jisme basa yeh khayali mahal mera hai,
‘Khamosh’ toh bas yunhi kisi ki ankhon main basna chahta hai,
Kisi kay dil main apna mahal, banana chahta hai,
Kyun ki..wahin yaaron, mera basera hai..mera basera hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Kya koi mera bhi hai~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Bas mera naam ajaega ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Mera shaher aj bhi utna hi acha hai ~*~ by Rahim by dead heart in Shairy-E-Watan
~ Mera Watan ~ by Rahim by dead heart in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Mera Shaher Bekasoor Hai by Rahim by dead heart in Shairy-E-Watan
mkv
Guest
«Reply #1 on: November 11, 2011, 02:40:03 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Rahim bhai
Hum bhi apke khayalo se ittefaaq rakhte hai.. Very nice
Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: November 11, 2011, 02:31:54 PM »
Reply with quote
Jahan farishton ka pehra hai,
Jahan har ek nazara sunhera hai,
Jahan dukh main bhi hota savera hai,
Bas, wahin yaaron, mera basera hai..

Jahan fizaon main mohobat chhayi hai,
Jahan kisi ko nahin milti tanhayi hai,
Jahan nafraton ne bhi payi ruswai hai,
Bas, wahin yaaron, mera basera hai..

!!!
wah rahim sahab wah--
aapka post behad lajawaab hai--
aur inn aasharoN ke kya kahne Usual Smile

bht khoob post aur
aise khumaar ko aur mohabbat ke ehsaas ko
humari bahot saari daad--

likhte rahen
muskurate rahen

god bless you

khus rahen
Usual Smile
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: November 12, 2011, 10:11:05 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Rahim bhai
Hum bhi apke khayalo se ittefaaq rakhte hai.. Very nice
Teh teh dil se shukriya MKV jee..
Khush rahiye..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: November 12, 2011, 10:37:40 AM »
Reply with quote
'Main uski ankhon main dikhta hoon'..
Ek ashiq kay liye is'se badkar kya hoga kay uska chehra, uski parchayi woh apne mehboob, apne sanam ki ankhon main dekh sakta ho..
Meri yeh nazm, issi thought par likhi gayi hai..

Aao mere hum kadam,
Main tumhe dikhata hoon,
Woh jahan..jahan mera basera hai..

Jahan farishton ka pehra hai,
Jahan har ek nazara sunhera hai,
Jahan dukh main bhi hota savera hai,
Bas, wahin yaaron, mera basera hai..

Jahan fizaon main mohobat chhayi hai,
Jahan kisi ko nahin milti tanhayi hai,
Jahan nafraton ne bhi payi ruswai hai,
Bas, wahin yaaron, mera basera hai..

Jahan sache ishq ka jhanda lehra hai,
Jahan khushion ka ehsaas gehra hai,
Jahan imani roohon ka dhera hai,
Bas, wahin yaaron, mera basera hai..

Yeh duniya banayi hai maine kisi ki ankhon main,
Woh ankhein jo lagi hai kisi kay chehre par,
Ae gum-naam dilbaar, woh chehra..woh chehra tera hai,
Jisme basa yeh khayali mahal mera hai,
‘Khamosh’ toh bas yunhi kisi ki ankhon main basna chahta hai,
Kisi kay dil main apna mahal, banana chahta hai,
Kyun ki..wahin yaaron, mera basera hai..mera basera hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Bahut Bahut Khoob Dost Rahim

Khoobsurat Khayalaat Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: November 12, 2011, 10:40:07 AM »
Reply with quote
Jahan farishton ka pehra hai,
Jahan har ek nazara sunhera hai,
Jahan dukh main bhi hota savera hai,
Bas, wahin yaaron, mera basera hai..

Jahan fizaon main mohobat chhayi hai,
Jahan kisi ko nahin milti tanhayi hai,
Jahan nafraton ne bhi payi ruswai hai,
Bas, wahin yaaron, mera basera hai..

!!!
wah rahim sahab wah--
aapka post behad lajawaab hai--
aur inn aasharoN ke kya kahne Usual Smile

bht khoob post aur
aise khumaar ko aur mohabbat ke ehsaas ko
humari bahot saari daad--

likhte rahen
muskurate rahen

god bless you

khus rahen
Usual Smile
Teh teh dil se shukriya Dost..
Hamesha yunhi apne saath dete rahiyega..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: November 12, 2011, 10:41:03 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Dost Rahim

Khoobsurat Khayalaat Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Teh teh dil se shukriya Khwaish dost..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:51:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer