Mere Dil Pe Badal Ki Trah (Dec.21.2006) Dedicated To Roja ji

by FAREE on December 20, 2006, 11:02:30 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Author  (Read 7136 times)
FAREE
Guest
Reply with quote
mere dil pay badal ki tarha chha jati ho tum
kiyon har waqt itna yaad aati ho tum........

har pal meri muntzir rehti ho tum
milnay par kiyon nazrain churati ho tum......

tere dil main rehta hoon dharkan ban kay
kiyon haal-e-dil mujh say chhipati ho tum.........

janmo jiski talaash thee wo manzil ho tum
milkar kiyon mujh say door jati ho tum...........

na janay kaisa jadu hai teri khamoshi main
chup rehkay bhee sab kush keh jati ho tum........

mera dil kisi mandir say kam nahi hota
jis waqt mere dil main sama jati ho tum.........

meri madhoshi ka aalam mat puccho
na janay aankho say kaya pilati ho tum........

'Faree ' kay dil kay sab say kareeb ho tum
kiyon phir bhee begani kehlati ho tum......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~kuch iss trah chaa gaye~~.... by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Hum Tu Deewanoon Ki Trah by fakharenaveed in Ghazals
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Badal de zaaecha pandit mere taqdeer badle ge by khalidrawat in Shairy-E-Watan
Aankho.n me ho aansu to kis trah muskuraya jye.. by Asif samani jaunpuri in Shairi - E - Zindagi
Roja
Guest
«Reply #1 on: December 20, 2006, 11:08:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "FAREE"
mere dil pay badal ki tarha chha jati ho tum
kiyon har waqt itna yaad aati ho tum........

har pal meri muntzir rehti ho tum
milnay par kiyon nazrain churati ho tum......

tere dil main rehta hoon dharkan ban kay
kiyon haal-e-dil mujh say chhipati ho tum.........

janmo jiski talaash thee wo manzil ho tum
milkar kiyon mujh say door jati ho tum...........

na janay kaisa jadu hai teri khamoshi main
chup rehkay bhee sab kush keh jati ho tum........

mera dil kisi mandir say kam nahi hota
jis waqt mere dil main sama jati ho tum.........

meri madhoshi ka aalam mat puccho
na janay aankho say kaya pilati ho tum........

'Faree ' kay dil kay sab say kareeb ho tum
kiyon phir bhee begani kehlati ho tum......



wooow... Bahut khub aur shukhriya hamare liye itna
pyara kalam pesh kiya aapne...

iska jawab main hum kuch istarah likha hai...Hope you will like it.


Kis kadar kaat.tha ye safar
Aap na milte agar humsafar

Her taraf tha duwo.n hii duwo.n
Zindagi ban gayee thi jahar

Jis gadi aap meherba.n huye
Dard her ek hua be-asar

Mil gaya jo sahara aapka
Muskurane lagi her sehar

Jee sakhegi "Roja" na phir
Saath ye chord do aap agar..
Logged
FAREE
Guest
«Reply #2 on: December 20, 2006, 11:15:01 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Quote from: "FAREE"
mere dil pay badal ki tarha chha jati ho tum
kiyon har waqt itna yaad aati ho tum........

har pal meri muntzir rehti ho tum
milnay par kiyon nazrain churati ho tum......

tere dil main rehta hoon dharkan ban kay
kiyon haal-e-dil mujh say chhipati ho tum.........

janmo jiski talaash thee wo manzil ho tum
milkar kiyon mujh say door jati ho tum...........

na janay kaisa jadu hai teri khamoshi main
chup rehkay bhee sab kush keh jati ho tum........

mera dil kisi mandir say kam nahi hota
jis waqt mere dil main sama jati ho tum.........

meri madhoshi ka aalam mat puccho
na janay aankho say kaya pilati ho tum........

'Faree ' kay dil kay sab say kareeb ho tum
kiyon phir bhee begani kehlati ho tum......



wooow... Bahut khub aur shukhriya hamare liye itna
pyara kalam pesh kiya aapne...

iska jawab main hum kuch istarah likha hai...Hope you will like it.


Kis kadar kaat.tha ye safar
Aap na milte agar humsafar

Her taraf tha duwo.n hii duwo.n
Zindagi ban gayee thi jahar

Jis gadi aap meherba.n huye
Dard her ek hua be-asar

Mil gaya jo sahara aapka
Muskurane lagi her sehar

Jee sakhegi "Roja" na phir
Saath ye chord do aap agar..




Ji Aap Ney Tu Kamal Kr Diya Hai


na janay kiyon tumko khonay say darta hai dil
tere baad ek paal main sau baar marta hai dil.....

tum kaya ho yeh to main bhee nahi janta
har waqt tera naam lekar hee dharkta hai dil....

maine isko seenay main bandh kay rakha thaa
ab dheeray dheeray teri janib sarkta hai dil.....

tere saath roz naye rishtay jorta hai pagal
teri judai main seeshay ki tarha chatkta hai dil....

tum bassi ho dharkan bankay mere dil main
bekaar mehfilon main tujhay dhondhta hai dil....

mere man mandir main tum bafa ki devi ho
teri abadat main chiraag bankay jalta hai dil....

jab say'Faree'ko pankh milay teri chhahton kay
har waqt khabon ki dunia main urrta hai dil......
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: December 20, 2006, 11:26:13 PM »
Reply with quote
Dil pe jaakhi toh kya kya kajana mile
Roshni ke patte aur tikane mile

Raah her mod per unki dekhi magar
Unko na aane ki sau bahane mile

Kashti apni sawari thi maine yu hi
Haath kitne hii mujh ko dubane mile

Bhu na faile shehar main issii kauf se
Laash ko log uski utane  mile

Nagme mere agar gaur se jo suno
Inmain shayad tumare fasane mile

Katla main tere shamil "Roja" yahan
Yaar kitne hii tere purane mile..
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #4 on: December 20, 2006, 11:32:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Dil pe jaakhi toh kya kya kajana mile
Roshni ke patte aur tikane mile

Raah her mod per unki dekhi magar
Unko na aane ki sau bahane mile

Kashti apni sawari thi maine yu hi
Haath kitne hii mujh ko dubane mile

Bhu na faile shehar main issii kauf se
Laash ko log uski utane  mile

Nagme mere agar gaur se jo suno
Inmain shayad tumare fasane mile

Katla main tere shamil "Roja" yahan
Yaar kitne hii tere purane mile..
[/color]





Keep it uP   nICE wORK
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: December 20, 2006, 11:39:26 PM »
Reply with quote
Koyee aise kahan jo na jane mujhe
Din jo badle lage sab bulane mujhe

Mehak daman main tere badan ki liye
Roj aaye hawaye jagane mujhe

Baath kaise inhe ho gayee hai patha
Phool bi ab lage hai satane mujhe

Kya batau lage log ab kis tarah
Naam le kar tumhara bulane mujhe

Ishq main aapke mashhoor mai yu huyee
Ab nazare sitare bi jane mujhe

Dard dil ka na dekhe "Roja" koyee
Muskara kar lage sab jalane mujhe..
Logged
FAREE
Guest
«Reply #6 on: December 20, 2006, 11:48:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Koyee aise kahan jo na jane mujhe
Din jo badle lage sab bulane mujhe

Mehak daman main tere badan ki liye
Roj aaye hawaye jagane mujhe

Baath kaise inhe ho gayee hai patha
Phool bi ab lage hai satane mujhe

Kya batau lage log ab kis tarah
Naam le kar tumhara bulane mujhe

Ishq main aapke mashhoor mai yu huyee
Ab nazare sitare bi jane mujhe

Dard dil ka na dekhe "Roja" koyee
Muskara kar lage sab jalane mujhe..
Mehfilon ke darmiyan tanhaeon ke darmiyan,
Zindagi guzregi kab tak vahimon ke darmiyan...
Zindagi kar musalsal hai to kathi jayegi,
Chand yaado ke sahare vehshato ke darmiyan...
Hum to samjhe the ke hum aasudah manzil hue..!
Ek padao aagaya hai hijrato ke darmiyan....!!!!!
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #7 on: December 21, 2006, 12:30:22 AM »
Reply with quote
good work faree and roja.....salaam
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: December 21, 2006, 01:01:34 AM »
Reply with quote
Shukhriya Salaamz

Nanhe se dil main armaan koyee rakhna
Dunia ke bheed main pehechaan koye rakhna
Acca nahi lagta jab rehte ho chup chap
Apni hoton per muskaan sada rakhna..

Allah Hafiz

Roja
[/color]
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: December 21, 2006, 01:23:23 AM »
Reply with quote
Faree sb.. aapke liye :wink:

Unki bathon ko bar bar yaad karke roye
Unke liye dar pe fariyaad karke roye
Unke khushi ke liye unhe chord diya
Phir unhe kisii aur ke saath abaad karke roye  :cry:
[/b]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #10 on: December 21, 2006, 01:30:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Faree sb.. aapke liye :wink:

Unki bathon ko bar bar yaad karke roye
Unke liye dar pe fariyaad karke roye
Unke khushi ke liye unhe chord diya
Phir unhe kisii aur ke saath abaad karke roye  :cry:
[/b]
Mere Liye Aur Itni Udasi wali Shayari


Tu Lakh Naam Bdl Bdl Kr Aao Mere Samney
Tera Chehra Basa Rehta Hai Har Pal Samney

Mujhy Ghum Do Ya Khushi Do Tum Humrahi
Zindgi k Har Mod pe Yeh Shkhs Ho ga Samney
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: December 21, 2006, 01:37:13 AM »
Reply with quote
Aaj keh diya phir na kehna kabhi
Meri nazron se dhurr na tum rehna kabhi
Khushi bankar lab per aaye ho tum "Faree"
Ashq bankar aankhon se na behjana kabhi...
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #12 on: December 21, 2006, 01:43:54 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Aaj keh diya phir na kehna kabhi
Meri nazron se dhurr na tum rehna kabhi
Khushi bankar lab per aaye ho tum "Faree"
Ashq bankar aankhon se na behjana kabhi...
[/color]
Na jane kyo tum mujhe itna satati hai...
Na jane kyo tum mujhe itna tarpati hai....
Jaab tum manti hai ki tujhe mujh sei pyar hai......
Na jane kyo tum mujh se door jati hai.......
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: December 21, 2006, 01:52:54 AM »
Reply with quote
Nice reply Faree ji.. Keep Up..

Dekh kar unko rukha ho jaise
Chand raah bhool gaya ho jaise

Maine es tarah unhe yaad kiya
Wo mujhe bhool gaya ho jaise

Mere dil main tera sau shakle hai
Aaina toot gaya ho jaise

Itna pehchana sa hai unka chehra
Wo mera jism raha ho jaise

Mai toh kuch bhool rahii hu, lekin,
Woh bhi kuch soch raha ho jaise..
Logged
FAREE
Guest
«Reply #14 on: December 21, 2006, 01:58:33 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Nice reply Faree ji.. Keep Up..

Dekh kar unko rukha ho jaise
Chand raah bhool gaya ho jaise

Maine es tarah unhe yaad kiya
Wo mujhe bhool gaya ho jaise

Mere dil main tera sau shakle hai
Aaina toot gaya ho jaise

Itna pehchana sa hai unka chehra
Wo mera jism raha ho jaise

Mai toh kuch bhool rahii hu, lekin,
Woh bhi kuch soch raha ho jaise..
Roja Ji

Congratulation On Your This First 100th Post



Aap Nay Is Main Sach keh Diya Hai Sab kuch

Jo zakhm tumne diye hain woh kabhi bhar nahin paayenge
Sochte hain in zakhmon ko lekar hum kaise jee paayenge

Had se zyada chaha hai tumhe o jaan-e-wafaa
Ab kisi par bhi kabhi bharosa na hum kar paayenge

Nahin koi ummeed baaqi baaqi tumse tum kya kisi ko chahoge
Tum aql wale hokar kal nahin samjhe to aaj kaise samajh paaoge

Khuda kare tum sadaa khush raho Roja Umr-e-taweel paao
Apna kya hai chand lamhe hain zindagi ke jaise guzrenge guzar jaayenge
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:15:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer