Mere Dil Pe Badal Ki Trah (Dec.21.2006) Dedicated To Roja ji

by FAREE on December 20, 2006, 11:02:30 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 7153 times)
Roja
Guest
«Reply #30 on: December 22, 2006, 11:35:59 PM »
Reply with quote
Quote from: "paani"
Mashaa allah.... wah Faare & Roja


Shukhriya Paani ji.. Aate rahiyega.. Hamme padthe rahiyega..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~kuch iss trah chaa gaye~~.... by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Hum Tu Deewanoon Ki Trah by fakharenaveed in Ghazals
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Badal de zaaecha pandit mere taqdeer badle ge by khalidrawat in Shairy-E-Watan
Aankho.n me ho aansu to kis trah muskuraya jye.. by Asif samani jaunpuri in Shairi - E - Zindagi
Roja
Guest
«Reply #31 on: December 22, 2006, 11:37:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "FAREE"
Quote from: "Roja"
Mujhse apna pyar kabi wapis math lena
Kayaal ko kisii ki aahat ki aas rehthi hai
Nigah ko kisii ki surat ki pyas rehthi hai
Aapke bin kisii cheez ki kami toh nahi
Magar Aapke bin tabiyat kuch udaas si rehthi hai..

Mujhse apna pyar kabi wapis math lena...
Jab meri haqeekat ja ja kar, unko jo sunayee logon nay,
Kuch sach bhi kaha kuch jooth kaha, kuch baat banayee logon nay !

Dayain hain hamesha zulm-o-sitam, duniya nay mohabaat waalon par,
Do dil ko kabhi milnay na diya, deewaar uthayee logon nay !

Aankhon say na aansoo poch sakey, hothon pay khushi dekhi na gayee,
Aabaad jo dekha ghar mera, to aag lagayee logon nay !

Tanhayee ka saathi mil na saka, rusvai mein shaamil shaher hua,
Pehlay to mera dil tod diya, phir Eid manayee logon nay !

Is daur mein jeena mushkil hai, ae `Roja' koi aasaan nahin,
Har ik kadam par marnay ki, ab rasam chalayee logon nay !



Wah wah.. kya baath hai ... Faree sb u deserve clap...
Logged
Roja
Guest
«Reply #32 on: December 22, 2006, 11:44:05 PM »
Reply with quote
Faree sb... aapke liye..

Lekar gaya dil jho tera, wo mai nahi toh kaun hai?

Phir yaad kar kuch toh batha, wo mai nahi toh kaun hai?

Peecha kare her pal tera, cheda kare kwaabon main bhi,

Tujhko sataye joh sada, wo mai nahi toh kaun hai?

Tumare liye, Kajra bani, Gazra Bani, Kangan Bani, Payal Bani,

Jane tera her ek adha , wo mai nahi toh kaun hai?

Neendhe churayee toh magar, hone na di tujhko kaber,

Dil main tere aakar basi, wo mai nahi toh kaun hai?

Shayer kahe dunia jisse, wo hai "Roja" jane jana

Jis per huye tum bhi fida, wo mai nahi toh kaun hai?Huh??
[/color]

 :lol:  :lol:
Logged
Roja
Guest
«Reply #33 on: December 28, 2006, 01:06:51 PM »
Reply with quote
Tum gar na ho toh kaho mere saajan
Tumare siva mai yaha kya karungi?
Tumare bina hai ye jeevan adhura
Magar apni taqdeer ko kya karungi??

Tumhi ho mere meharba
Tumhi ho mere rahnuma
Bhale hii na ho saath tum
Magar dil main ho janejaa.n
Tumhari ye dhoori sada hii rahegi
Dard ye khushi se mai sehthi rahungi..

Ye savan ki rimjim sajna
Lagathi hai dil main agan
Zameen bhi ye bairan huyee
Aur bairii huwa wo gagan

Shikayat na samjho mohabbat ko meri
Kahu gar na tumse toh kisse kahungi?

Mile pyar tera agar
Toh Jaa.n bhi mai kurbaan karu
Tamanna jo dilmain tere
Wahii hai meri aarzoo

Magar meri majboori ko bhi toh samjho
Mai chah kar bhi tum ko na apna sakhungi..

Karo aaj wada sanam
Na bhologe mujhko kabhi
Karoge na dilse juda
Jahan bhi raho sanam
Karu mai bhi wada tumhari kasam mai
Jaha.n bhi rahungi, tumhari rahungi..
Logged
FAREE
Guest
«Reply #34 on: December 31, 2006, 07:58:33 PM »
Reply with quote
Nice  ........



For You Again Roja Ji




unko sonpi gayi,takdeer gulastano kI
jin ko daman kI khabar hai na,girebano kI..

main tere sheher ke,har gali kuche main,
Laash kandhe per liye phirti hun,armano kI..

rang bharne ke liye,maine guzarish ki thi,
tumne surkhi hi badal di,mere afsano kI..

jis taraf dekhiye,insaan nazar aate hai,
phir bhi duniya hai ke,mohtaaj hai INSANO kI..

Ruup GHAZLO ka jise tumne diya tha,aye S0NY,
woh kahani thi,sirf sokhta samano ki..



**********(¨`·.·´¨) Always *************
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep
(¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
`·.¸.·´

Logged
Roja
Guest
«Reply #35 on: January 03, 2007, 03:59:34 PM »
Reply with quote
Shukhriya fareeji.. Ab gayab nahi hona  :lol:

Haath seene pe rakhke koyee, toh neend aathi hai
Hame acchi aadat dalkar, gaya hai be-wafa
Tamaam raat hoti hai, ab taron ki ginathi
Tha-raat rehthi hai, neend humse kafa...
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #36 on: January 03, 2007, 07:59:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Shukhriya fareeji.. Ab gayab nahi hona  :lol:

Haath seene pe rakhke koyee, toh neend aathi hai
Hame acchi aadat dalkar, gaya hai be-wafa
Tamaam raat hoti hai, ab taron ki ginathi
Tha-raat rehthi hai, neend humse kafa...
[/color]


You WelCome Ji    

Ab Nahi Gayab Hona ji

Aap Likhti Rahiye Ga Hum Reply krte Rahain Gay

Maine bhi Aap Ko Miss Kiya


Aap Ki Nazar Krta Hoon yeh Ilfaaz




Tumhe haasil kar pate aisi kismat kahan apni,
bas jo kabhi dil ghabraya to tujhe yaad kar lete hain.

Jaante hain kabhi arsh tak na panhochegi muraad,
fir bhi har dua me teri fariyaad kar lete hain.

Chand taron se saje tere aks ki tasveer banakar,
hum khud hi dile-nakaam aabaad kar lete hain.

Khuda se apne mashuq ki talab karke ye aashiq,
chand mukammal duaen bhi barbaad kar lete hain.

Ab jabki is duniya se teri koi chahat na rahi,
aye Faree tera takhallus hi 'Naz' kar lete hain..









Logged
FAREE
Guest
«Reply #37 on: January 05, 2007, 06:01:06 AM »
Reply with quote









Har NaZar Ka NaZariya Alag Hai
Har Chehra Mukhote Ki Jhalak Hai
Har Shaks Ko Apni Khwahisho.n Se Fursat Nahi
Magar Hum Kya Kare
Hume Dusaro.n Ki Khwhisho.n Se Rukhsat Nahi
Mgar Hakikat Ka Daman To Aaj Bhi
Khwabo.n Ke Kanto.n Me Ualjha Ha







Logged
Roja
Guest
«Reply #38 on: January 06, 2007, 02:15:32 AM »
Reply with quote
Bahut khoob ... Daad Hazir Hai Faree sb.. Kabul Farmayiyega[/color]

Zindagi ke safar main akele they hum
Aap jaisa hume meharbaa mil gaya

Apni kismat pe humko bada naaz hai
Hum safar mil gaya karwa.n mil gaya

Tumne bakhshi hai humko nayee zindagi
Warna dunia main koyee hamara na tha

Thi andheron main batki huyee zindagi
Aur jeene ka koyee sahara na tha

Tum andheron main bankar mile roshni
Nagamgaata huwa aashiyaa.n mil gaya..

Roja
Logged
FAREE
Guest
«Reply #39 on: January 06, 2007, 02:18:26 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Bahut khoob ... Daad Hazir Hai Faree sb.. Kabul Farmayiyega[/color]

Zindagi ke safar main akele they hum
Aap jaisa hume meharbaa mil gaya

Apni kismat pe humko bada naaz hai
Hum safar mil gaya karwa.n mil gaya

Tumne bakhshi hai humko nayee zindagi
Warna dunia main koyee hamara na tha

Thi andheron main batki huyee zindagi
Aur jeene ka koyee sahara na tha

Tum andheron main bankar mile roshni
Nagamgaata huwa aashiyaa.n mil gaya..

Roja


Nice One Roja   Ji







Har Chehare Me Mujhe Talashna Chhod De
Har Sanche Me Mujhe Dhalna Chhod De
Har Sargam Me Mujhe Gungunana Chhod De
Har Khawab Me Mujhe Dekhana Chhod De
Har Janm Me Mujhe Paana Chhod De
Har Bar Mujhe Aajmana Chhod De
Har Tare Me Meri Khwahis Chhod De
Har Najare Me Mera Hona Chhod De
Har Tanhai Me Mere Sath Gana Chhod De
Har Rat Mere Sath Jagana Chhod De
Har Aah Me Mere Sath Ashq Bahana Chhod De
Har Jakhm Par Marham Lagana Chhod De
Har Fool Ki Tarh Me Muskurau
Ye Ummid Chhod De












Logged
Roja
Guest
«Reply #40 on: January 06, 2007, 02:30:29 AM »
Reply with quote
wow one more nice reply from you Faree ji..

Reply main..
[/color]

Mehfil toh Ajnabi thi, tum bhi huye paraye
Manzil pe aa gayee hu, manzil nazar na aaye
Mai khushi ko doondthi thi, Mujhe dard mil gaya hai
Meri jurm hai mohabbat, tera berukhi saja hai..
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #41 on: January 06, 2007, 02:38:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
wow one more nice reply from you Faree ji..

Reply main..
[/color]

Mehfil toh Ajnabi thi, tum bhi huye paraye
Manzil pe aa gayee hu, manzil nazar na aaye
Mai khushi ko doondthi thi, Mujhe dard mil gaya hai
Meri jurm hai mohabbat, tera berukhi saja hai..
[/color]



Waah  Roja Ji Kamal Kr Diya Aap ne



Jawab hazir Hai



Kyun ishq kiya humne ye sochte hain subah shaam,
Kyun dil diya humne tadapte hain hum subah shaam,
Dil dekar dekh liya yaaron, dil to tootta hi hai,
Pehla pyar hai ye, jo adhura rehta hi hai!













Logged
Roja
Guest
«Reply #42 on: January 07, 2007, 02:58:25 PM »
Reply with quote
hmm aapka jawab bahut khoob.. Daad hazir hai ji.. kabul farmayiyega[/color]

Ek naye mod pe le aaye hai halaat mujhe
Dil ne mangi thi wo mil gaye saugaat mujhe
Dhoor rehkar bhi kayalon main mere pass ho tum
Kitne pyare hai ye jajbhon bhare lamhaat mujhe
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #43 on: January 07, 2007, 08:53:17 PM »
Reply with quote






shukriya pasand krne ka




Khaak main mil jaye na kahin meri hasti ka nishaan
ban ke reh jaaon na kahin aik bhooli bisri dastaan
tum se hai bas yehi ilteja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna.

Kho kar dil ki jageer ham,kehte hain ab yeh hasrat se
nawaaz de kaash to bhi mujhe apni wafa ki daulaat se
tum se hai bas yehi ilteja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna.

Bin mausam barsaat ke tapakte hain aansu teri yaad main
posheeda hai aik mouj-e-sumandar meri har faryaad main
tum se hai bas yehi ilteja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna.

Furqat ki lambi raaton main jab tanhai mazalim dhaati hai
aise main teri chahat,mere dil ki mehfil sajati hai
tum se hai bas yehi ilteja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna.

Nigaah-e-shoq kehti hai ham ko tera dedaar ho jaye
nikle aah jo mere dil se,tere jigar ke paar ho jaye
tum se hai bas yehi ilteja
mujhe apni mohabbat se kabhi mehroom na karna










Logged
Roja
Guest
«Reply #44 on: January 07, 2007, 11:19:09 PM »
Reply with quote
Nice one...

Tum wada nibha doge, ye aitbar toh hai
Tum aao ya na aao, intezar toh hai

Zinda hasrat-dil hai, tumse umeedein wafa hai
Jhoota-sachcha dil ko, karaar toh hai

Nahi koyee mera tikana, tere dil ke elawa
Tera koyee ghar-baar toh hai..

(NM)
[/color]
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 07:18:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer