Mere Dil Pe Badal Ki Trah (Dec.21.2006) Dedicated To Roja ji

by FAREE on December 20, 2006, 11:02:30 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 7282 times)
FAREE
Guest
«Reply #45 on: January 08, 2007, 07:48:20 PM »
Reply with quote



Well Done  Roja



Har naam sar-e-aam pukara nahin jaata,
har naam yuhn kagaz pe utara nahin jaata,
hoti hain mohobbat main kuch raaz ki baatein,
aise to iss khel main haara nahin jaata,
chaahat hain humare ke hum paas se kabhie dekhe unhe,
agar woh paas aaye to hume apni palkon ko uthaya nahin jaata
ishq par zor chalta nahin ae dost
lag jaata hai yeh rog lagaya nahin jaata....






Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~kuch iss trah chaa gaye~~.... by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Hum Tu Deewanoon Ki Trah by fakharenaveed in Ghazals
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Badal de zaaecha pandit mere taqdeer badle ge by khalidrawat in Shairy-E-Watan
Aankho.n me ho aansu to kis trah muskuraya jye.. by Asif samani jaunpuri in Shairi - E - Zindagi
Roja
Guest
«Reply #46 on: January 08, 2007, 11:34:27 PM »
Reply with quote
Aapka bada kareeb chaha, per faasle rahe yu hii
Aarju-ye-mohabbatein dil mergayee yu hii

Her raat kwabon main aapke aagosh main soye
Aaj haqikat mere samne, aagaye yu hii..

Humsafar toh door hum, aashna bhi nahi they
Aapki yaad aagayee, banke gazal yu hii..
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #47 on: January 09, 2007, 01:43:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Aapka bada kareeb chaha, per faasle rahe yu hii
Aarju-ye-mohabbatein dil mergayee yu hii

Her raat kwabon main aapke aagosh main soye
Aaj haqikat mere samne, aagaye yu hii..

Humsafar toh door hum, aashna bhi nahi they
Aapki yaad aagayee, banke gazal yu hii..
[/color]








Lahme Ye Suhane Sath Ho Na Ho,
Kal Me Aaj Jaisi Bat Ho Na Ho,
Aap Ka Pyar Hamesah Dil Me Rahega,
Chahe Poori Umar Mulakat Ho Na Ho





Logged
Roja
Guest
«Reply #48 on: January 09, 2007, 01:56:09 AM »
Reply with quote
Mai Heer na thi, Tum Ranja na tha
Hum apna pyar nibha na sake
Yu Pyar ke kwaab bahut dekhe
Tabheer magar hum paa na sake.. :cry:
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #49 on: January 09, 2007, 08:21:04 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roja"
Mai Heer na thi, Tum Ranja na tha
Hum apna pyar nibha na sake
Yu Pyar ke kwaab bahut dekhe
Tabheer magar hum paa na sake.. :cry:
[/color]









Aaj barson baad unse baat hui
di se dil ki mulaakat hui..
yaad aai o biti hui purani yaadein
dhadkanein meri aabad hui....




Logged
Roja
Guest
«Reply #50 on: January 10, 2007, 01:35:55 AM »
Reply with quote
Pyar per bas toh nahi hai meri, lekiin,
Phir bhi aap batade ki aapko pyar karu ya na karu?

Aapne khud apna tabassum se jagaya ho jinhe
Un tamannao ka intezar karu ya na karu?Huh???
Logged
FAREE
Guest
«Reply #51 on: January 10, 2007, 08:52:18 PM »
Reply with quote








Dil ki gehraaiyon me,
Teri tasveer sanjote hain.
Tujhko yaad kar hum,
Hardum,har pal rote hain.
Haan, haan, haan! Rote hain,
O, ho, ho! Rote hain.


Aapke baa dab aur hum,
Pyar kya karen….
Ishq hi jab dard de,
To yaar kya karen….

Teri ye khwaishen,
Mere armaanon ko chubhote hain.
Tujhko yaad kar……
…………ho, ho! Rote hain…!



Kyun toota dil baar-baar,
Gar khuda hota hai.
Pyar gar ho saccha,
To kyun koi juda hota hai…….

In ashkon ki dariya me,
Apna dard dubote hain.
Tujhko yaad kar……
…………ho, ho! Rote hain…!



Dosti lagti hume ab,
Dushmani ki tarah.
Kal tum v mile humse,
Ajnabi ki tarah.....

Teri doli me hum,
Apne ishq ki laash dhote hain.
Tujhko yaad kar……
…………ho, ho! Rote hain…!



nm

Logged
FAREE
Guest
«Reply #52 on: January 12, 2007, 08:32:37 PM »
Reply with quote






Tum ney mujh se poocha k
tumhain meri yaad ati hai?
tu sunoo........
aj tumhain batati hoon,k kab tum mujhe yaad atey ho
jab suraj ki pehli kiran darwazey pe dastak dey,
jab phool kheley,bahaar aye ya ho khizaan ka musaam
jab ahat ahat main chookoon
jab deep deep tujhey dhondon,
jab dar dar main bhatkoon..
jab koi naam pookaroon
jab kuch soochoon,jab kuch dakhoon
jab kuch chahoon,jab kuch paoon
jab kabhi roowon,jab jab muskuraoon
ankahin mundoon ya kahin khoojaoon
aaina dekhoon,tum hi ko paoon
her ghari her pal tum hi ko chahoon
TUM se "sirf"itna kehna hai:
jab jab main saans loon.......
tum yaaad atey ho.
or sirf tum he yaad atey hoo







Logged
Roja
Guest
«Reply #53 on: January 16, 2007, 09:16:18 AM »
Reply with quote
Quote from: "FAREE"






Tum ney mujh se poocha k
tumhain meri yaad ati hai?
tu sunoo........
aj tumhain batati hoon,k kab tum mujhe yaad atey ho
jab suraj ki pehli kiran darwazey pe dastak dey,
jab phool kheley,bahaar aye ya ho khizaan ka musaam
jab ahat ahat main chookoon
jab deep deep tujhey dhondon,
jab dar dar main bhatkoon..
jab koi naam pookaroon
jab kuch soochoon,jab kuch dakhoon
jab kuch chahoon,jab kuch paoon
jab kabhi roowon,jab jab muskuraoon
ankahin mundoon ya kahin khoojaoon
aaina dekhoon,tum hi ko paoon
her ghari her pal tum hi ko chahoon
TUM se "sirf"itna kehna hai:
jab jab main saans loon.......
tum yaaad atey ho.
or sirf tum he yaad atey hoo






wah wah
Logged
FAREE
Guest
«Reply #54 on: January 16, 2007, 09:21:05 PM »
Reply with quote








Thank You





Logged
Roja
Guest
«Reply #55 on: January 20, 2007, 01:26:54 AM »
Reply with quote
Mohabbat ko gale ka haar bhi kerte nahi banta
Kuch aisi bath hai, inkar bhi karte nahi banta

Khuluse-naaz ki tauheen bhi dekhi nahi jathi
Shaure-husna ko bedhar bhi karte nahi banta

Tujhe ab kya kahe hey meherba, apna hi rona hai
Ki sari zindagi eshaar bhi karte nahi banta

Bhawar se jee bhi gabrata hai lekin kya kiya jaye
Tawafe-mauje-kamrafdar bhi karte nahi banta

Esse dil ko bhari dunia ke jagade jelne tehere
Yahi dil jisko dunia ada bhyi karte nahi banta

Jalati hai dilon ko sard-mahri bi zamane ki
Sawale-garmi-ye-bazar bhi karte nahi banta

Ki jaan unki tavjo aisi namumkin nahi lekin
Zarase baath per esraar bi karte nahi banta
[/color]
Logged
Roja
Guest
«Reply #56 on: January 20, 2007, 02:28:29 AM »
Reply with quote
Bahut roye wo humko yaad karke
Hamari zindagi berbaad karke

Palat ker phir yahi aa jayenge hum
Wo dekhe toh humme aazaad karke

Rihayee ki koyee surat nahi hai
Magar haan minnate-saiyaad karke

Badan mera chuwa tha usne lekin
Gaya hai ruh ko aabaad kar ke

Her aamir thool dena chahta hai
Mukarar zulm ki miyaad karke..
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #57 on: January 20, 2007, 02:50:32 AM »
Reply with quote







Pyaar wo nahi tha jo kisi ne kiya
Pyaar woh hai jo koi nibha raha hai.


Maana ki woh log badnaseeb hote hai Jinhe pyaar milta to hai
par woh use pehchaan nahi paate
par woh log aur bhi badnaseeb hotai hai jinhai pyaar milta hai,woh usai paichaaan bhi jaatai hai par paa nahi saktai.

dua bhi maangi thi....
tere dar pe sar bhi jhukaya tha....
ya dua mein humari koi kami thi.....
ya phir khuda ye teri berahmi thi....
ki chheen raha hai humse vo sab jo hume aacha lage.....
ab aur kya dein tujhe ki tu humne baksh de......






Logged
Roja
Guest
«Reply #58 on: January 20, 2007, 01:45:51 PM »
Reply with quote
Us.see din ghar nahi aata ki jab aane ko kehta hai
Magar kya rootna usse, wo apni dhun main rehta

Mudarathe-alam main wo nahi shirkat ka kuch kayal
Na apna dukh bathata hai, na mere ranj sehta hai

Lamhe-kamosh, chashme-khushak kya samjhaye tujhko
Jo barish dil main hoti hai, jo dariya dil mein behta hai

Mujhe tujhse juda rakhta hai aur dukh tak nahi hota hai
Mere andhar tera jaisa, ye aakhir kaun rehta hai

Khayale-yaar abhi roshan, abhi nazron se ojal hai
Abhi ye rehmi dhariya pahado main hi behta hai..
[/color]
Logged
FAREE
Guest
«Reply #59 on: January 20, 2007, 08:28:26 PM »
Reply with quote






Pyaar kiya hai pher bata nahi sakty
Hai kitna intzaar yah samjha hahi sakty
Raah-e-safar aisa milla hai mujko
Kuch bhi kar ke manjil pa nahi sakty!!!







Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:55:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer