MERE GHAR KE SAAMNE

by manoj12021989 on October 21, 2008, 06:53:42 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1424 times)
manoj12021989
Guest
Reply with quote
mere ghar ke saame woh rehti hai...
apni palko ko jhukae
khud se hi baatein karti hai
kashish bhari uski aankhein
jo dekhe dekta hi reh jaaye
bina kuch kahe hi
saari baatein keh jaaye

itna haseen chehra dekha nahi kabhi
usi chehre ke noor mein dil doobta hi jaaye
uski muskurahat mein woh jaadu hai
jo patharo ko bhi muskurade
uski baatein sunkar na jaane
kaise yeh pal beet jaaye

aati hai jab woh saamne
na jaane mujhe kya ho jata hai
hehna chahta hun kuch..
kuch aur nikal jaata hai
pata nahi yeh jaadu woh kaise karti hai
mere ghar ke saamne woh rehti hai

ji karta hai usse dekta hi rahun
ji karta hai usse sunta hi rahun
ji karta hai usike yaadon mein
khoya hi rahun
aisa hi kuch mujhe usse kehna hai
isme mere kya galti
uska toh khuda bhi deewana hai

barish mein bhingna accha lagta hai usse
use chune ke liye har boondh tarasti hai
use milne ko toh chandni bhi sajti hai
apni khuli zulfoon mein woh khubsoorti se bhi zyada
khubsoorat lagti hai
apni ungliyoon se apne laton ko suljhati hui
kya batau kitni soni lagti hai
mere ghar ke saamne woh rehti hai.....


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SAAMNE BUT HAI.N , MERE PIACHE KHUDA KA GHAR HE by khalidrawat in Ghazals
Tum Mere Saamne Aur hee Kuch by anjaan dharkan in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
MEIN SAAMNE UNKE RAHOON,WOH MERE RUBARU HOJAAE by nazar ghouri in Ghazals
Mere Saamne Aakar Dekho by Asha2089 in Share:Love Poetry
Tu Mere Saamne... by majid in Share Video
syednaami
Guest
«Reply #1 on: October 21, 2008, 11:57:15 AM »
Reply with quote
Manoj miyan,
Wah, kya khoob kaha aap ne, bahut khoobsurat shayiri hai. - Thumbs UP
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: April 24, 2013, 05:34:51 AM »
Reply with quote
Bahut khoob.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 09:11:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer