Mere Khwaab Mere Sapne...

by Aryaan on November 15, 2006, 07:16:30 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5723 times)
Aryaan
Guest
Reply with quote

Mere Khwaab Mere Sapne Mere Tak Hain
Mere Baad Inhein Yaad Kare Ga Kaun

Meri Chahaat Ban Jaye Gi Afsaana
Meri Mohabbat Ko Yaad Kare Ga Kaun

Mere Tak Hain Yeh Tamaam Sunder Nazaare
Mere Baad Inhein Abaad Kare Ga Kaun

Meri Kahaniyaan Bikhrein Gi Raahon Pe
Mere Afsaanon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Meri Khataon Ko Shumaar Kare Ga Zamaana
Meri Wafaaon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Jo Guzaare They Hum Ne Zamaane Mil Ke
Unn Zamaanon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Meri Aahein Mere Saath Ho Jayein Gi Dafan
Mere Aashkon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Ek Tum Se Hai Zinda Yeh Chahat Meri
Tum Hi Na Ho Ge Tau Yaad Kare Ga Kaun

Aa Ke Iss Saath Ko Yaadgaar Bana Lein
Kal Kya Pata Iss Yaad Ko Yaad Kare Ga Kaun
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
!!!! Khwaab Mere !!!! by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
~~~ Mere Khwaab~~~ by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Sapne by Nino in Shayri-E-Dard
ojhal hai mere sapne meri ashq'Bhar Palko'n se by jianrangrej in Shayri-E-Dard
Tum Mere Ho, Buss Mere Ho, Sirf Mere Ho...............AD by anjaan dharkan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
rockindia
Guest
«Reply #1 on: November 15, 2006, 07:22:15 PM »
Reply with quote
gr8 Aryaan Ji
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: November 15, 2006, 11:16:13 PM »
Reply with quote
Bohat shukriya Rocky...
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: November 18, 2006, 04:11:37 PM »
Reply with quote
Very Nice Aryaan !!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: November 20, 2006, 12:54:15 AM »
Reply with quote
Bohat shukriya Majid & Talat... Usual Smile
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: November 23, 2006, 08:13:18 PM »
Reply with quote
superbbb Aryaan.....sach likha hai...so trueee
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: November 24, 2006, 08:10:29 PM »
Reply with quote
Wonderful aryaan and majid...
Logged
pinky
Guest
«Reply #7 on: November 24, 2006, 08:18:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"

Mere Khwaab Mere Sapne Mere Tak Hain
Mere Baad Inhein Yaad Kare Ga Kaun

Meri Chahaat Ban Jaye Gi Afsaana
Meri Mohabbat Ko Yaad Kare Ga Kaun

Mere Tak Hain Yeh Tamaam Sunder Nazaare
Mere Baad Inhein Abaad Kare Ga Kaun

Meri Kahaniyaan Bikhrein Gi Raahon Pe
Mere Afsaanon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Meri Khataon Ko Shumaar Kare Ga Zamaana
Meri Wafaaon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Jo Guzaare They Hum Ne Zamaane Mil Ke
Unn Zamaanon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Meri Aahein Mere Saath Ho Jayein Gi Dafan
Mere Aashkon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Ek Tum Se Hai Zinda Yeh Chahat Meri
Tum Hi Na Ho Ge Tau Yaad Kare Ga Kaun

Aa Ke Iss Saath Ko Yaadgaar Bana Lein
Kal Kya Pata Iss Yaad Ko Yaad Kare Ga Kaun



bahut hi sundar likha hai Aryaan..
ek ek word dil ko chuu gaya..!!

Mera har khayal jaayega mere saath hi
Mere likhe fasaane padhega zamaana..
Yaad karega har dost mujhe shayad..
Par mere dil ka haal jaan payega kaun...
Logged
pinky
Guest
«Reply #8 on: November 24, 2006, 08:21:18 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
yeh khaalish kar degi deewana mujhe
jaan kar bhi kyun na pehachana mujhe

aashq ka dariya bahate dekh kar
de gaya woh khali paimana mujhe

aasmaan itne dikhaaye kis liye
khaak jaisa tha jo thukrana mujhe

aashiqui ke zikr main ek ajnabi
kah gayaa mera hi afsana mujhe

woh naa aaye hain kabhi naa ayenge
band kar do aur behlana mujhe



bahut khoob Majid..

Intezaar jiska karti hain nigahein
Wo aayega zarur ek din mere dar par..
Mumkin hai main mil bhi jaoon usse..
Par meri mohabbat ab wo payega kaise..??
Logged
sangy
Guest
«Reply #9 on: November 25, 2006, 04:34:16 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"

Mere Khwaab Mere Sapne Mere Tak Hain
Mere Baad Inhein Yaad Kare Ga Kaun

Meri Chahaat Ban Jaye Gi Afsaana
Meri Mohabbat Ko Yaad Kare Ga Kaun

Mere Tak Hain Yeh Tamaam Sunder Nazaare
Mere Baad Inhein Abaad Kare Ga Kaun

Meri Kahaniyaan Bikhrein Gi Raahon Pe
Mere Afsaanon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Meri Khataon Ko Shumaar Kare Ga Zamaana
Meri Wafaaon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Jo Guzaare They Hum Ne Zamaane Mil Ke
Unn Zamaanon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Meri Aahein Mere Saath Ho Jayein Gi Dafan
Mere Aashkon Ko Yaad Kare Ga Kaun

Ek Tum Se Hai Zinda Yeh Chahat Meri
Tum Hi Na Ho Ge Tau Yaad Kare Ga Kaun

Aa Ke Iss Saath Ko Yaadgaar Bana Lein
Kal Kya Pata Iss Yaad Ko Yaad Kare Ga Kaun


mashallaah!! bahut khoob likha hain aapne...

Meri khataon ko....  wali line bahut hi badiya hain  :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: November 27, 2006, 01:41:50 AM »
Reply with quote
Bohat shukriya Nikki, Angel, Pinky & Sangy...

Bohat khoob Majid & Pinky...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #11 on: December 09, 2006, 01:19:23 AM »
Reply with quote

Kitna Be-bas Hai Insaan Qismat Ke Aage
Kitne Be-noor Hain Sapne HaQeeQat Ke Aage
Koyi Ruki Huwi Dhadkan Se Pooche
Kitna Tadapta Hai Dil Mohabbat Ke Aage



nm
Logged
pinky
Guest
«Reply #12 on: December 09, 2006, 07:58:44 PM »
Reply with quote
Ye Majid ka Taqia Kalaam hai :lol:
Lage Raho..
he he he :lol:
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #13 on: December 16, 2006, 05:17:49 AM »
Reply with quote
Main Ne Muddat Se Koyi Khwaab Nahi Dekha
Hath Rakh De Meri Aankhon Pe Keh Neend Aa Jaye
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #14 on: December 17, 2006, 03:05:55 AM »
Reply with quote
Shukriya Majid.. aur kya khoob likha hai aap ne...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:05:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer