~!~...MERE MEHBOOB....~!~

by Gesu on March 10, 2006, 04:42:39 AM
Pages: 1 ... 34 35 36 37 [38] 39 40 41 42 ... 52
ReplyPrint
Author  (Read 36668 times)
Tabrez khan
Guest
«Reply #555 on: May 19, 2006, 12:58:19 PM »
Reply with quote
Mehfil na hoti,nazare na hote,
Uus chaand ke pehlu me sitare na hote,
Is liye karte hai aap ki parwah,
Kyunki dil ke karib sare na hote !

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Mehboob by Moshfeq in Shayri-E-Dard
mere mehboob by Gesu in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Mehboob.....!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mehboob Mere Tu Mere Karib Hota…!! by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #556 on: June 03, 2006, 11:32:43 AM »
Reply with quote
shukriya vicky ji, tabrez ji bahut khoob likha aap dono ne........
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #557 on: June 05, 2006, 03:31:12 PM »
Reply with quote
wah gesu khoob likhatin hain aap

arz kiya hai
mera mehboob to ik badal hai
chhaya hai yun mere vajood pe vo
 lekin vo kyun thahar nahi jaata
har ghadi kyun vo mere sath nahi
uski awargi ka shikwa hai
par vahi cheez dil ko bhai thi
mast badal sa uska ud jana
pal me phir aake mujh pe chha jaana
aur ik intezar de jaana
ban chuka hai vo zindagi meri
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #558 on: June 05, 2006, 05:17:29 PM »
Reply with quote
nice one TS...

husn mein tumhare itni saadgi dekha maine…
soch rahi hoon tumhara shringaar hogi kaise…
tumhare nazaron mein hi jab itni pyar hain…
soch rahi roon tumhara pyar hogi kaise…
Logged
mehek
Guest
«Reply #559 on: June 06, 2006, 03:17:22 PM »
Reply with quote
bohat khoob sabhi :D
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #560 on: June 11, 2006, 01:08:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "Gesu"
Agosh-e-Tasavvur jis tarah se jabiir bann jaaye,
Khuda se chura ke farishtey Us tarah mere mehboob ko le aaye,
Adaa kya kahein unki meri jaan liye jaaye,
Unhe dekhti rahoon fir bhi jee na bharr paaye,
Ikk nazar jo padh jaaye kisi per wahi unka talibb bann jaaye,
Jabse izhaar kiya mere mehboob ne mujhse,
Yeh dhadkaney yeh jazbaat mere hosh liye jaaye,
Takdeer kya kahoon apni khuda ke saamne yeh sir jhuka jaaye,...

gesu's MEHBOOB!!!!!!!!!!!!!!!

aise mehboob ka bhi zikr sare aam na karo
log hasid bhi hain nazren bhi laga dete hain
tumko mil jaae vo jinki tamnna hai tumhe
hamse bad qismat bas yehi doa karte hain

mahke gesu ka chaman aur mahkta hi rahe
rang aariz ka khile gul bhi bas sharma jaaen
aur ham khush hon kahin door se tumko dekhen
ham jise pa na sake tumne use paahi liya

is zamane me e gesu hain bahut kam aise
jisane chaha ho jise usane use paya ho
samne the vo hamare kabhi bilkul aise
aur taqdeer ne phir aisi di jumbish kya kahen
muddaten ho gain deedar na phir unka hua
rah gaya khwab mera aaj bas khwab ban ke
Logged
sangy
Guest
«Reply #561 on: June 11, 2006, 01:22:44 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
TUM CHUP RAHE PAIGAAM..E.. MOHABBAT YAHI TO HAI
AANKHE JHUKI NAZAR KI QAYAMAT YAHI TO HAI
MEHFIL MAIN LOG CHOK PADE MERE NAAM PAR
TUM MUSKURADIYE MERI KIMAT YAHI TO HAI


waah majidji.. kya khoob kaha..  :D
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #562 on: June 13, 2006, 11:11:40 AM »
Reply with quote
shukriya tabassum ji aur bahut khoob likha hai aapne....
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #563 on: June 13, 2006, 11:13:23 AM »
Reply with quote
Quote from: "tabassum shakeel"
Quote from: "Gesu"
Agosh-e-Tasavvur jis tarah se jabiir bann jaaye,
Khuda se chura ke farishtey Us tarah mere mehboob ko le aaye,
Adaa kya kahein unki meri jaan liye jaaye,
Unhe dekhti rahoon fir bhi jee na bharr paaye,
Ikk nazar jo padh jaaye kisi per wahi unka talibb bann jaaye,
Jabse izhaar kiya mere mehboob ne mujhse,
Yeh dhadkaney yeh jazbaat mere hosh liye jaaye,
Takdeer kya kahoon apni khuda ke saamne yeh sir jhuka jaaye,...

gesu's MEHBOOB!!!!!!!!!!!!!!!

aise mehboob ka bhi zikr sare aam na karo
log hasid bhi hain nazren bhi laga dete hain
tumko mil jaae vo jinki tamnna hai tumhe
hamse bad qismat bas yehi doa karte hain

mahke gesu ka chaman aur mahkta hi rahe
rang aariz ka khile gul bhi bas sharma jaaen
aur ham khush hon kahin door se tumko dekhen
ham jise pa na sake tumne use paahi liya

is zamane me e gesu hain bahut kam aise
jisane chaha ho jise usane use paya ho
samne the vo hamare kabhi bilkul aise
aur taqdeer ne phir aisi di jumbish kya kahen
muddaten ho gain deedar na phir unka hua
rah gaya khwab mera aaj bas khwab ban ke


shukriya.. bus khuda ki aur aap logon ki dua hai... :razz:
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #564 on: July 08, 2006, 01:14:02 PM »
Reply with quote
Mere mehboob is haseen mausam mein miltey hain jab bhi tumse hum,
Simatt jaati hain ghadiyaa intezaar ki bund pankhuri ki tarah,
Kuch pal mein chup rehkar bhi bahut kuch keh jaati hai tumhari har adaa,
Dhadak jaata hai dil mera aur tumhe paane ke liye  bann jaate hain hum ek pyasi ghata,
Janmon ka saath hai hamara tumhara yoon hi chalte rehna haathon mein haath dalke tum sada,
Dil karein rahoon tumhare pehloon mein aur yoon hi hoti rahein dilon ki baatein dhadkano ki zubaa,
Saroor-e-mohabbat sa chhaya rehta hai har ghadi,
Rooh meri ghul ke reh rahi hai teri rooh mein ae mere baawafa..

gesu's mehboob!!!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #565 on: July 15, 2006, 05:43:24 AM »
Reply with quote
Har pal jab karwatein lekar ek din ban jaata hai,
Dulhan ka woh roop mera in aankhon mein utarr aata hai,
Sakoon-e-dil mehsoos ho jab saath tumhara nazar aata hai,
Khamosh jazbaat ki zubaan yeh dil samajh jaata hai..

gesu's mehboob!!!!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #566 on: July 15, 2006, 04:26:54 PM »
Reply with quote
Wah kya baat hai Gesu....Excellent.... Usual Smile

Dekhne do aaj Dunia walon ko......
Kismat se ladke mera Mehboob aya hai......

Chahe ho Saath kuch Pal ka toh kya.....
Zindagi bhi toh badalte WaQt ka Saya hai.......

Dil nahi Kamjor jo Gulaab ki pankhuri ki tarah toot jayega......
Mehboob hai mera kuch aisa jo Do pal main hee Sadiyaan jee jayega......!!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #567 on: July 17, 2006, 04:42:52 AM »
Reply with quote
shukriya janaab.. aapne bhi jhakaas likha hai...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #568 on: July 17, 2006, 05:40:29 AM »
Reply with quote
Thenku Gesu :oops:
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #569 on: July 17, 2006, 06:04:26 AM »
Reply with quote
~*~ Unki bahon mein bikhar kar HASEEN palon ko sameta karte hain~*~
~*~Khwaab jo dekhe they kabhi unmein RANG hum bhara karte hain~*~
~*~ Haseen waadiyon mein haath thaam ke UNKE SUNG chala karte hain~*~
~*~Palkein choom kar woh apni MOHABBAT ka izhaar kiya karte hain~*~
~*~Udti zulfon ko jab SHOK HAWA se bacha lete hain~*~
~*~Bikher ke zulfein dubara MERE MEHBOOB unki khushboo mein kho jaaya karte hain~*~

Gesu's MEHBOOB!!!!!!!!
Logged
Pages: 1 ... 34 35 36 37 [38] 39 40 41 42 ... 52
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
September 21, 2024, 05:10:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[September 06, 2024, 07:19:37 PM]

[September 05, 2024, 02:50:37 AM]

[August 23, 2024, 06:35:34 AM]

[August 22, 2024, 06:28:13 AM]

[August 22, 2024, 06:27:09 AM]

[August 20, 2024, 06:14:40 PM]

[August 20, 2024, 06:06:24 PM]

[August 20, 2024, 05:55:44 PM]

[August 20, 2024, 05:50:31 PM]

[August 20, 2024, 05:36:24 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer