~!~...MERE MEHBOOB....~!~

by Gesu on March 10, 2006, 04:42:39 AM
Pages: 1 ... 39 40 41 42 [43] 44 45 46 47 ... 52
ReplyPrint
Author  (Read 37251 times)
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #630 on: August 22, 2006, 11:31:51 AM »
Reply with quote
Mere mehboob yeh chahatt kaisi hoti hai,
Kyon bina kaaran yeh udaasi si rehti hai,
Tadapna bhi padta hai pyar mein O sanam
Na jaane kyon aisi sazaa yeh hoti hai,
Madham madham se yeh chahatt ke ehsaas ke waar
Kyon mere dil ko chedh kar nikaltey hai,
Tumhari hokar bhi rehna pade door tumse
Kyon humdum mere is daur se do dil guzartey hai,
Har lamhon se woh pal churane ko jee karta hai,
Jismein saath tumhare hone se woh pal bhi machalta hai,
Per kyon is zamane mein itni riwaaytein hoti hai,
Mere mehboob bata do tumhi mujhe mein kya karoon
K Saanson mein meri ek ghutan si rehti hai............


sirf gesu k mehboob!!!!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Mehboob by Moshfeq in Shayri-E-Dard
mere mehboob by Gesu in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Mehboob.....!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mehboob Mere Tu Mere Karib Hota…!! by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri
Rajbir
Guest
«Reply #631 on: August 22, 2006, 11:34:42 AM »
Reply with quote
Ha ha ha...ji haan

SIRF GESU KE MEHBOOB :wink:
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #632 on: August 22, 2006, 11:43:20 AM »
Reply with quote
ji!!!!!!!!!!!!hamare sirf hamare mehboob!!!!!!!!!! :D  :D
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #633 on: August 22, 2006, 03:35:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "Gesu"
shukriya big b.........

Karvatt jo li meine to tumko apne pehloo mein paaya,
Tumhari shararat ka harr andaaz apni in nazro mein paaya,
Khud ko maine chhumui ke patton sa sharmata paaya,
Khul ke bikharr gaye jo yeh ‘GESU’ to tumko inmein ulajhtey paaya,
Na jaane kitne hi Khwaab in aankhon ne dekh daale,
Har khwaab se apne jism ko mehekta paaya,
Mehak hoti nahi ab sehan mujhse ae ‘MEHBOOB MERE’,
Har taraf khud ko tadapta paaya,
Na jaane kaisa ek jazbaa jaaga ke har ehsaas ko meine gudgudatey paaya,
Jhoot mooth  yoon hi  rooth ke tumse
Tumko behekey andaaz mein manatey paaya,
Aanchal se jo chipa liya chehra humne,
Chilman utha kar is rukhsaar se dilbar
Tumhari nazron ke chalakte pyar se khud ko chamakta paaya,
Aisa hi aalam rahe pyar ke safar ka harr dum
Jaante hain hum ke humne ek insaan mein farishta hai paaya..........


gesu's mehboob!!!!!!!!!!


bahut bahut khoob GESU JI.. bahut hi behtreen likha hai aapne.....

LAJAWAB-KHUBSOORAT-SHANDAAR.........
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #634 on: August 22, 2006, 05:14:21 PM »
Reply with quote
subhanallah gesu tum aur tumhare mehboob

aise mehboob hain inke phir bhi darti ye nahi
yun sare aam zikr unka kiye jaati hain
nazaren logon ki lagen iska bhi kya khouf nahi
sabko tareefon me baandh liye jaatin hain
hae gesu tu khile aur mahkati hi rahe
tera mahboob tujhe pyar zara aur kare
tujh pe nazron ki mehar usaki bas bani hi rahe
aur ye silsila yun hi sada likhati tu rahe.................

really dear bahut pyara likhati ho tum ye poora thread hi bahut pyara hai .........pyar se jo likha hai .dikhta hai..................
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #635 on: August 23, 2006, 05:25:55 AM »
Reply with quote
shukriya vicky ji , tabassum ji... bahut bahut shukriya.. yeh thread isliye khoobsurat hai kyon ki aap sabka pyar hai ismein.......waise hamare mehboob ke pyar ka rang to chadha hi hai ismein koi shak nahi........ :wink:
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #636 on: August 23, 2006, 05:27:30 AM »
Reply with quote
Le rahe ho karvatein tum udhar,
Le rahe hain karvatein hum idhar,
Har taraf khwaabon ki roshni rahi hai bikhar,
Tumhari har adaa ka ho raha hai is dil per kaisa asar,
Ab hai subha yaan hain shaam
Kisi bhi pal ki nahi hai hamein khabar,
Haseen sapno ko in aankhon mein sameta hai dilbar,
Palkein karoon band to yeh aanson rahe hain nikal,
Ek anjane se darr na jaane kyon dum raha hai nikal,
Milan yeh ho jaldi se hamara nahi hona hai juda tumse ae humsafar.......

gesu's mehboob!!!!!!!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #637 on: August 24, 2006, 03:22:18 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob GESU JI.... bahut khoob...

Halaat jo udhar hain, wo idhar bhi hain sanam,
karwaten badalte hi saari-saari raat kat-ti hai.......

ek baar jo aa jaye bas khayal tera e-mere dilbar,
aankhon hi aankhon me poori-poori raat kat-ti hai...

ruk jati hai saans us pal, dil phir dharakta nahi,
jis pal khayalon me saji sanwari tu nazar aati hai.....

us pal rangeen lagta hai madhosh raat ka manzar,
jab aasma se utar tu banke pari, saamne chali aati hai.......

kab hoga such yeh mera haseen ehasaas e-sanam,
sochte-sochte jawaan is raat ki, jawaani dhal jati hai......
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #638 on: August 25, 2006, 06:01:05 AM »
Reply with quote
wah vicky saahib bahut khoob........
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #639 on: August 25, 2006, 06:01:33 AM »
Reply with quote
In bheegi zulfon ko mehboob mere sukhaa do aake,
Tapki hain jo boondein rukhsaar pe unhe chooke amrit tum bana do aake,
Latey jo ulajh gayi hain humse ek baar tum unhe suljha do aake,
Yahi tamanna hai ke le jaao mehak in gesuon ki churake,
Ulfatt mein tumhari bimar hain meri raate,
Yoon hi chupke se tum aaj sula do aake,
Jo beheki nazar tumhari karti hain baatein,
Ek baar lavzon mein kehdo tum kaano ke paas aake,
Dhadkane dil ki jo de rahi hai sada tumko
Zara haule se choolo unhe tum kareeb aake,
Shola sa jo hai tann mein harr dum mere
Dheeme dheme se sulga do usey tum aake,
Sambhala hai badey naaz se amanatt ko tumhari
Adhoori si hoon kar do pura mujhe zara mehboob aake.........

gesu's mehboob!!!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #640 on: August 25, 2006, 06:40:46 AM »
Reply with quote
Woh baat jo tum in labon se sunn na chaho,
Kahenge na hum woh abhi tum yoon hi tadaptey jao,
Pehle aap hamari shaan mein kuch farmao,
Marham-e-dil milega tumhe pehle kuch koshish to karo,
Offfffffooooooo!!!!!!!!!! :wink:  :lol:
Sataa rahein hai yoon hi hum tumhe ae mehboob mere...........
Gawaao na ek bhi pal ab hamein apni bahon mein bharo.......


gesu's shararat!!!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #641 on: August 25, 2006, 06:44:11 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Vicky, Tabbu and Gesu...

Shrarte teri meri jaan le jaati hai
kis kis ada se tu apne pass bulati hai
pass aau jo khud mai simat jaati hai
teri yah haya bhi, aor khumar mujko de jaati hai...
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #642 on: August 25, 2006, 11:26:53 AM »
Reply with quote
wah pooja ji........

Yoon hi karte hain atkheliyan tumse,
Ho na jaana mere mehboob tum khafa mujhse,
Karte hain pyar itna ke ek khushi dene ke liye
Hum marr mitne ko tayyar hain kasam se,
Shararat ki hamne jo deewangi hadd se guzrne lagi
Mana lenge tumhe bahon mein bhar ke sanam
Ab to maan jao na chura lo mujhi ko mujhse.......

gesu's mehboob!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #643 on: August 25, 2006, 11:30:51 AM »
Reply with quote
Abhi lete hain rukhsatt hum ke jaane do der(late) hui jaati hai,
Is nazaakatt se na thamo mere in haathon ko
Ke jaana hi hoga ab yeh shaam dhalti jaati hai,
Jee to chahta nahi hamara bhi abhi jaane ko humdum
Per yeh rasm-e-duniya aise hai hum per bhi keher dhaati hai,
Kareeb aake na badhao betabiyon ko ke meri jaan per bann aati hai,
Rakhna faasla humdum mere ke yeh mohabatt hamein aazmaati hai,
Ehsaas hai hamein tumhari chahatt ka ki yeh yaad kis tarah tumhe tadpaati hai,
Rakh lo Gehrayi-e-dil ke aashiyane mein humko basakar
Ke yeh kaali raatein judai ki hamein sisak sisak ke bitaani hai,
Khel yeh kaisa takdeer mein ae sanam ho raha hai,
Mukadarr-e-lakeer milke bhi kyon yeh riwaazon ki bijliyaan hamein satati hai,
Haseen manzarr abhi hazaron rahon mein bikhrney hai,
De daalo tasalliyan apne dil ko Ae dilbar mere
Fir dekho asar ke ikk paalki pass aati hui nazar tumko aati hai,
Abhi dedo izazatt hamein rukhsatt ki Mehboob mere
Dekho to zara yeh shaam dhalti jaati hai.......


~~~gesu's MEHBOOB~~~
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #644 on: August 25, 2006, 11:32:40 AM »
Reply with quote
Gesu

Kya baat hai !

Tumhari shararatein, atkheliyan :D

Aur tumhare aur sirf tumhare mehboob :wink:

Rajbir
Logged
Pages: 1 ... 39 40 41 42 [43] 44 45 46 47 ... 52
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:30:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer