MERE MEHBOOB...(Riyaz)

by riyaz106 on February 24, 2010, 05:24:33 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2541 times)
riyaz106
Guest
Reply with quote
G H A Z A L

Main ho na jaaun kahin phir juda mere mehboob
Jo tere dil mein hai mujhko bata mere mehboob

Main tujhko chaah ke khud se bhi ho gaya ghaafil
Mujhe pata nahin achha bura mere mehboob

Bas aur kuchh nahin kehta main teri chahat mein
Main jano-dil se hun tujh par fida mere mehboob

Ye zehno-dil tujhe har waqt karte hain mehsoos
Tu faaslon hi se de de sadaa mere mehboob

Na jaane hoga mera kya jo toone thukraaya
Hain ashk ankhon mein lab par dua mere mehboob

Ye theek hai ke wafa ka nahin chalan lekin
Na khwaab mein bhi karunga jafa mere mehbob

Bas ab to faisla kar de meri muhabbat ka
Tu “Ashna” ko bana ya mita mere mehboob

Riyaz "Ashna"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Mehboob by Moshfeq in Shayri-E-Dard
mere mehboob by Gesu in Shayri for Khumar -e- Ishq
~!~...MERE MEHBOOB....~!~ by Gesu in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 51 52 »
Mere Mehboob.....!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
GHAZAL.........(Riyaz Ashna) by riyaz106 in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
S.hashmi
Guest
«Reply #1 on: February 24, 2010, 05:33:48 AM »
Reply with quote
 Applause  Applause  Applause

Excellent :

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: February 24, 2010, 09:17:19 AM »
Reply with quote
Thank you very much Hashmi ji, for liking my this creation.
Applause  Applause  Applause

Excellent :


Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #3 on: February 24, 2010, 09:23:07 AM »
Reply with quote
WAH WAH RIYAZ JI. Applause Applause Applause
Logged
cara
Guest
«Reply #4 on: February 24, 2010, 11:43:54 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI     RIYAZ106 JI......

TERE KADMON MEIN HAMNE PAAYI HAI JANNAT MERE MEHBOOB
IS JAHAN MEIN SABSE TUM HI HO KHOOB MERE MEHBOOB
TERI CHAHAT MEIN HAM JAANA CHAHATE HAI DOOB MERI MEHBOOB
DILO-JAAN KI KASAM TUMSE JUDA NAHI RAHE PAAYENGE HAM MERE MEHBOOB..
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: February 24, 2010, 12:12:17 PM »
Reply with quote
Suresh ji, ghazal pasand farmane aur hausal afzaai ka bahut bahut shukriya.
WAH WAH RIYAZ JI. Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: February 24, 2010, 12:38:20 PM »
Reply with quote
G H A Z A L

Main ho na jaaun kahin phir juda mere mehboob
Jo tere dil mein hai mujhko bata mere mehboob

Main tujhko chaah ke khud se bhi ho gaya ghaafil
Mujhe pata nahin achha bura mere mehboob

Bas aur kuchh nahin kehta main teri chahat mein
Main jano-dil se hun tujh par fida mere mehboob

Ye zehno-dil tujhe har waqt karte hain mehsoos
Tu faaslon hi se de de sadaa mere mehboob

Na jaane hoga mera kya jo toone thukraaya
Hain ashk ankhon mein lab par dua mere mehboob

Ye theek hai ke wafa ka nahin chalan lekin
Na khwaab mein bhi karunga jafa mere mehbob

Bas ab to faisla kar de meri muhabbat ka
Tu “Ashna” ko bana ya mita mere mehboob

Riyaz "Ashna"


Bohot khoobsurat aur jazbaat se bharpoor ghazal likhi hai aapne Riyaz Ji...
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: February 24, 2010, 02:09:42 PM »
Reply with quote
Bahut Shukriya Kaash ji. Meri khushnasibi ke aapko ye ghazal pasand aai.
bahut khoob Riyaz ji umda peom
bahut khoob likha hai aapne
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #8 on: February 24, 2010, 02:30:58 PM »
Reply with quote
KHUDA KARE TU HO SIRF AUR SIRF  MERI HI PASAND
KOI AUR TUJHKO BHOOL KE BHI NA CHAHE MERE MEHBOOB.
Logged
ali_nadan
Guest
«Reply #9 on: February 24, 2010, 03:03:34 PM »
Reply with quote
bohat khoob Riyaz sahab...bohat hi achha likha hai aapne.. Usual Smile

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: February 24, 2010, 05:32:32 PM »
Reply with quote
Bahut shukriya Cara ji.
WAH KYA BAAT HAI     RIYAZ106 JI......

TERE KADMON MEIN HAMNE PAAYI HAI JANNAT MERE MEHBOOB
IS JAHAN MEIN SABSE TUM HI HO KHOOB MERE MEHBOOB
TERI CHAHAT MEIN HAM JAANA CHAHATE HAI DOOB MERI MEHBOOB
DILO-JAAN KI KASAM TUMSE JUDA NAHI RAHE PAAYENGE HAM MERE MEHBOOB..
Logged
drpandey
Guest
«Reply #11 on: February 24, 2010, 08:15:37 PM »
Reply with quote
G H A Z A L

Main ho na jaaun kahin phir juda mere mehboob
Jo tere dil mein hai mujhko bata mere mehboob

Main tujhko chaah ke khud se bhi ho gaya ghaafil
Mujhe pata nahin achha bura mere mehboob

Bas aur kuchh nahin kehta main teri chahat mein
Main jano-dil se hun tujh par fida mere mehboob

Ye zehno-dil tujhe har waqt karte hain mehsoos
Tu faaslon hi se de de sadaa mere mehboob

Na jaane hoga mera kya jo toone thukraaya
Hain ashk ankhon mein lab par dua mere mehboob

Ye theek hai ke wafa ka nahin chalan lekin
Na khwaab mein bhi karunga jafa mere mehbob

Bas ab to faisla kar de meri muhabbat ka
Tu “Ashna” ko bana ya mita mere mehboob

Riyaz "Ashna"

Bahut khub Riyaz Sahab...aapki is ghazal mein mujhe behtareen Sufiyana andaz nazar aa raha hai, I am speechless..

"Ye theek hai ke wafa ka nahin chalan lekin
Na khwaab mein bhi karunga jafa mere mehboob

Bas ab to faisla kar de meri muhabbat ka
Tu “Ashna” ko bana ya mita mere mehboob"

Logged
Sheenali
Guest
«Reply #12 on: February 25, 2010, 02:13:22 AM »
Reply with quote
Good
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: February 25, 2010, 04:53:35 AM »
Reply with quote
Talat Ji aapka tahe-dil se shukriya, meri ghazal ko pasand farmane aur tareef ke liye.   
Bohot khoobsurat aur jazbaat se bharpoor ghazal likhi hai aapne Riyaz Ji...
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #14 on: February 25, 2010, 12:11:53 PM »
Reply with quote
Wah wah Suresh ji bahut khoob lines likhi hain. Shukriya.
KHUDA KARE TU HO SIRF AUR SIRF  MERI HI PASAND
KOI AUR TUJHKO BHOOL KE BHI NA CHAHE MERE MEHBOOB.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:26:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer