MERE MEHBOOB...(Riyaz)

by riyaz106 on February 24, 2010, 05:24:33 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2542 times)
riyaz106
Guest
«Reply #15 on: February 25, 2010, 01:37:13 PM »
Reply with quote
Aapne ghazal pasand farmai Nadan ji, aapka behad shukriya.
bohat khoob Riyaz sahab...bohat hi achha likha hai aapne.. Usual Smile


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Mehboob by Moshfeq in Shayri-E-Dard
mere mehboob by Gesu in Shayri for Khumar -e- Ishq
~!~...MERE MEHBOOB....~!~ by Gesu in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 51 52 »
Mere Mehboob.....!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
GHAZAL.........(Riyaz Ashna) by riyaz106 in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
riyaz106
Guest
«Reply #16 on: February 25, 2010, 04:24:13 PM »
Reply with quote
Pandey sahab ye mere liye khushbakhti ki baat hai ke aapko meri ye  ghazal pasand aai. Ummeed hai aage bhi aapki nazre inaayat mujh par bani rahegi. Bahut shukriya.
Bahut khub Riyaz Sahab...aapki is ghazal mein mujhe behtareen Sufiyana andaz nazar aa raha hai, I am speechless..

"Ye theek hai ke wafa ka nahin chalan lekin
Na khwaab mein bhi karunga jafa mere mehboob

Bas ab to faisla kar de meri muhabbat ka
Tu “Ashna” ko bana ya mita mere mehboob"

Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #17 on: February 25, 2010, 05:32:17 PM »
Reply with quote
G H A Z A L

Main ho na jaaun kahin phir juda mere mehboob
Jo tere dil mein hai mujhko bata mere mehboob

Main tujhko chaah ke khud se bhi ho gaya ghaafil
Mujhe pata nahin achha bura mere mehboob

Bas aur kuchh nahin kehta main teri chahat mein
Main jano-dil se hun tujh par fida mere mehboob

Ye zehno-dil tujhe har waqt karte hain mehsoos
Tu faaslon hi se de de sadaa mere mehboob

Na jaane hoga mera kya jo toone thukraaya
Hain ashk ankhon mein lab par dua mere mehboob

Ye theek hai ke wafa ka nahin chalan lekin
Na khwaab mein bhi karunga jafa mere mehbob

Bas ab to faisla kar de meri muhabbat ka
Tu “Ashna” ko bana ya mita mere mehboob

Riyaz "Ashna"


YEH THEEK HAI KE WAFA KA NAHIN CHALAN.......VERIIII  NAAAAAICE RIYAZ SAHAB........DOST MAZAA AA GAYAA PADH KAR.....!!!!!1
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #18 on: February 26, 2010, 01:31:44 AM »
Reply with quote
Madhu-di aapka tahe dil se shukriya ghazal pasand karne aur hausla afzaai ke liye.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #19 on: February 26, 2010, 01:32:02 AM »
Reply with quote
Madhu-di aapka tahe dil se shukriya ghazal pasand karne aur hausla afzaai ke liye.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #20 on: February 26, 2010, 09:34:02 AM »
Reply with quote
Aapka bahut bahut shukriya KA ji ke aapne meri ghazal pasand ki. Aapki inayat hai, zarranawazi hai.
YEH THEEK HAI KE WAFA KA NAHIN CHALAN.......VERIIII  NAAAAAICE RIYAZ SAHAB........DOST MAZAA AA GAYAA PADH KAR.....!!!!!1
Logged
Manreet B
Guest
«Reply #21 on: February 26, 2010, 09:54:20 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Riyaz sahib,,,, Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #22 on: February 26, 2010, 10:08:13 AM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Manreet ji. Zarranawazi.
Bahut khoob Riyaz sahib,,,, Applause Applause Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #23 on: February 27, 2010, 04:51:47 AM »
Reply with quote
Waah Waah Waah,, Bahoot Hi Khumar se Bhari Aapki yea Ghazal Dil ko chu gai .. Bahoot Bahoot Khoob Riyaz ji !
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #24 on: February 27, 2010, 06:06:40 AM »
Reply with quote
Thank you very very much Sophi ji. Ghazal achhi lagi, aapki inayat hai karam hai.
Waah Waah Waah,, Bahoot Hi Khumar se Bhari Aapki yea Ghazal Dil ko chu gai .. Bahoot Bahoot Khoob Riyaz ji !
Logged
sbechain
Guest
«Reply #25 on: March 11, 2012, 12:41:03 PM »
Reply with quote
G H A Z A L

Main ho na jaaun kahin phir juda mere mehboob
Jo tere dil mein hai mujhko bata mere mehboob

Main tujhko chaah ke khud se bhi ho gaya ghaafil
Mujhe pata nahin achha bura mere mehboob

Bas aur kuchh nahin kehta main teri chahat mein
Main jano-dil se hun tujh par fida mere mehboob

Ye zehno-dil tujhe har waqt karte hain mehsoos
Tu faaslon hi se de de sadaa mere mehboob

Na jaane hoga mera kya jo toone thukraaya
Hain ashk ankhon mein lab par dua mere mehboob

Ye theek hai ke wafa ka nahin chalan lekin
Na khwaab mein bhi karunga jafa mere mehbob

Bas ab to faisla kar de meri muhabbat ka
Tu “Ashna” ko bana ya mita mere mehboob

Riyaz "Ashna"


bahut bahut bahut khoob...........!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #26 on: March 11, 2012, 12:50:05 PM »
Reply with quote
Bahut khoob,Riyaz Ashna saheb.bahut khubsurat kalaam padhne ko mila.bahut bahut mubarak ho.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:46:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer