-Mere Qareeb Aao Sanam-

by HumTum is back on December 19, 2006, 09:19:43 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2699 times)
HumTum is back
Guest
Reply with quote
Mere qareeb aao sanam, ishq ka alam jawaa.N hai
Badmast hai hawaayein, mousam bhi baimaa.N hai

Suno mere dil ki guzarish ko zarra gour se dilbhar
uth rha iss dil mein kab se chahato.N ka tufaa.N hai

Yeh zulfien tumhari jisko dekh kar gatta bhi sharmaye
Yeh pari-chehra tumhara jispe husn mehrbaaN hai

Phool apne ghar se sabhi hatta diye hai yeh soch kar
kya zarurat unki jab pehlu mein mere gul-e-staa.N hai

Khushi iss se jiada aur kya naseeb hogi mujhko Ya!Rab
HaseeN hai raat aur ghar mere chand mehmaa.N hai

Sharm-o-haya ke parde gira kar bahoo.N mein aa jao
Qaid mere dil mein humdum, muktsar sa armaa.N hai

Tu saanso.N mein tu jism mein tu dadhkano mein shamil
Tu vajah hai mere hone ki janam, Tu meri pehchaa.N hai!!

[/color]
HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Roothey Ho Sanam, Mere Sanam Sanam by robin_abdul in Shayri-E-Dard
aisa bhi ek din tha jb tu mere qareeb tha by vaishnav in Shayri for Dard -e- Judai
MERE QAREEB SE JAB KABHI ,TUM GUZAR JAAOGE by nazar ghouri in Shayri-E-Dard
Tu Mere Qareeb Reh.........S@M@N by Saman Firdaus in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
paani
Guest
«Reply #1 on: December 20, 2006, 05:33:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum is back"
Mere qareeb aao sanam, ishq ka alam jawaa.N hai
Badmast hai hawaayein, mousam bhi baimaa.N hai

Suno mere dil ki guzarish ko zarra gour se dilbhar
uth rha iss dil mein kab se chahato.N ka tufaa.N hai

Yeh zulfien tumhari jisko dekh kar gatta bhi sharmaye
Yeh pari-chehra tumhara jispe husn mehrbaaN hai

Phool apne ghar se sabhi hatta diye hai yeh soch kar
kya zarurat unki jab pehlu mein mere gul-e-staa.N hai

Khushi iss se jiada aur kya naseeb hogi mujhko Ya!Rab
HaseeN hai raat aur ghar mere chand mehmaa.N hai

Sharm-o-haya ke parde gira kar bahoo.N mein aa jao
Qaid mere dil mein humdum, muktsar sa armaa.N hai

Tu saanso.N mein tu jism mein tu dadhkano mein shamil
Tu vajah hai mere hone ki janam, Tu meri pehchaa.N hai!!

[/color]
HumTum


so nice humtum.....
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: December 21, 2006, 03:31:17 PM »
Reply with quote
Very Nice Humtum....!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: December 21, 2006, 03:36:17 PM »
Reply with quote
Qurbaton ke khwaab mujhko na dikhaao,
Tadapte hue dil ko kuch aur na tadpaao,
Itni chaahat se to na dekho meri jaanib,
Door hain manzilain, abhi na aazmaao !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #4 on: December 22, 2006, 07:45:56 PM »
Reply with quote
Shukriya Paani Usual Smile


Thanks Talat & Nice one !!



Manzile bhalle duur sahi hunsle to bulaand hai
Kar hi lenge teh raste Gar aap razzamand hai
Aap to kab se ghar kar chuke hai dil mein mere
Kaheyi janab kya "HumTum" aap ko pasand hai ? :lol:
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: December 23, 2006, 01:10:33 AM »
Reply with quote
Bahut pyara kalam pesh kiya hai aapne HumTum ji..
Daad kabul kijiye..
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #6 on: December 23, 2006, 01:11:48 AM »
Reply with quote
hum tum and talat aapi rely nice :D:D:D:D:D
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: December 23, 2006, 01:23:18 AM »
Reply with quote
Raat main kayalon main aate ho tum
Kabhi samne aakhar bhi toh dekho
Humse bathein to roz karte ho tum
Kabhi hamari taraf muskurakar bhi toh dekho..

Hamari nazar bahut kuch keh dethi hai
Kabhi hame nazaron se samajkar toh dekho
Humse dosti ka rishta hai tumara
Kabhi humse dil laga ker toh dekho..

Hamari bathon ne Tumara dil ko kayee bar behlaya hai
Kabhi apni bathon se hamme hassa kar toh dekho
Mujhse milkar anjane main mere dil main basne lage ho
Kabhi hame bhi Apne dil main basa kar toh dekho..

Her mushkil raah bhi aasaan ho jayega ... Bas
Hum per ek baar aitbaar karke toh dekho
Hum tumhe zindagi main her khushi denge
Bas ek bar humse pyar karke toh dekho..

Tumhe apnane ke liye her imtihaan denge hum
Hamein kabhi aajma ker toh dekho
Tum samajte ho ke bahut mushkil hai "Roja" ko apnana
Bas ek baar hamein apna bana kar toh dekho..
[/color]
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: December 24, 2006, 09:14:29 PM »
Reply with quote
Thank you Anjaani Usual Smile

Humtum ji..very nice reply ...Nice one Roja!!! :D
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: December 27, 2006, 08:47:25 PM »
Reply with quote
Teri lakeeron main likha hai naam kisi aur ka
Meri taqdeer main nahin paana likha hai pyar
Tu khush rahe sade aur kya dua maangu main
Milta hai bas naseeb waalon ko hi yahan pyar
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #10 on: December 27, 2006, 09:02:40 PM »
Reply with quote
waah Talat ji !!!


Kyun hathoon ki lakeero.N pe yaqeen rakhte ho
Taqdeer to unki bhi hoti hai jinke hath nhi hote
Isko pyaar nahin to phir kya naam du 'e dost
Kyun Khalti hai kami aap ki jab aap sath nhi hote ?
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: December 27, 2006, 09:05:48 PM »
Reply with quote
Jo aap saath hote nahin hain
Ye dunya sooni nazar aati hai
Kuch sharm kuch jijhak kahiye
Bolte bolte zbaan ruk jaati hai
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #12 on: December 27, 2006, 09:09:52 PM »
Reply with quote
kapna hathon ka honthon ka thartrana
isii ko pyaar kehta hai sara zamana
ruki ruki si saans dabi dabi si awaaz
samne dekh ke mujhey tera sharmana !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: December 27, 2006, 09:13:29 PM »
Reply with quote
Rangat ye gulaabi aur nikhar jaati hai
jab aap ki nigaahen dekhti hain hume
Dil ki dhadkanen shor macha jaati hain
milan ki rut bohot daraati hai hume !
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #14 on: December 27, 2006, 09:17:25 PM »
Reply with quote
Darna kis baat ka jab HumTum sath hain
Pyaar ka maousam aur behke jazbaat hain
Mere qareeb aao sanam na duriya bdao ab
Tere bin reh na sakenge apne to yeh halaat hain!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:51:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer