Meri Chaahat Ab Tere Dil Men Na Ho

by syednaami on May 16, 2008, 10:30:53 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1718 times)
syednaami
Guest
Reply with quote
                 Nazm - Rubaaiyaat





Meri guftagu se ab tum khafa na ho, -
Tere dil men chhupa ab koi ranj na ho, -
Tu mujhe chaahane lage begharz kyun, -
Ab chaah kar bhi tum se yeh Khata na ho. -


Meri chaahaton men doobne se baaz raho, -
Tu kahe mujhse haal-e-dil aur mera inkaar ho, -
Yeh Naobat na aaye issliye meri baat maan, -
Chhod de peechha mera ki tu ab khwar na ho. -


Meri manzil hai kahin aur tujhe ye khabar to ho, -
Raah men pada koi ab tum pathhar to na ho, -
Tu jaan le iss baat ko ab achhi tarah, -
Izhaar mujhse karne ka koi dil men waham na ho. -


Main amaanat hun kissi aur ki yeh jaan lo, -
Khayaanat karne ki tujhe koi ab aas na ho, -
Mere raaste band hain ab tere liye, -
Jis gali men mera ghar hai wahan tera guzar na ho. -



(Syed Naami)


                 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
- Tere Bin Meri Zindagi Hai Jaise - by Meena is back in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3 4 5 »
...bediyaan meri muhabaat ki tere paun mein! by ~Subhankar~ in Shayri for Khumar -e- Ishq
***Meri Chaahat*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq
***Meri Chaahat*** by AVTAR RAYAT in Share:Love Poetry
----- /// Meri Chaahat /// ----- by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri « 1 2 ... 5 6 »
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2008, 10:45:00 AM »
Reply with quote
Bahut achha likha hai aapne Syed ji..
Lekin ishq ke saath dard bhi nazar aaya isme..
Neways, very very good compilation of thoughts..
Nice Work... Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2008, 11:01:11 AM »
Reply with quote
Very nice S. Naami !!.....Its more Dard than Ishq..!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2008, 11:22:36 AM »
Reply with quote
Bahut achha likha hai aapne Syed ji..
Lekin ishq ke saath dard bhi nazar aaya isme..
Neways, very very good compilation of thoughts..
Nice Work... Applause

Mahiya Jee, pahle to buhat shukriya jo aap ki daad ke qaabil bane, dusri baat, Dard uska jisko shayir ne salah di, khumar uska jisko shayir ne amaanat kaha.
Thanks very much.... So nice of you


Very nice S. Naami !!.....Its more Dard than Ishq..!!
Celmira Saahiba, Dard bhi aur Muhabbat bhi ek saath bayaan kiye hain, ab jab yeh kaifiyat ho to phir samjhna aur samjhana mushkil hota hai.
Aap ki aamad ne hamare aangan ko ziya bakhshi.
So nice of you...

Logged
baadal102
Guest
«Reply #4 on: May 16, 2008, 05:09:16 PM »
Reply with quote
                 Nazm - Rubaaiyaat





Tu mujhe chaahane lage begharz kyun, -
Ab chaah kar bhi tum se yeh Khata na ho. -



(Syed Naami)


                 



bahoot khoob naami ji  Applause






Baadal
Logged
syednaami
Guest
«Reply #5 on: May 16, 2008, 05:41:36 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Baadal jee, aap ki hosla afzai ka shulkriya.
So nice of you.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #6 on: May 18, 2008, 05:26:41 AM »
Reply with quote
Apne mann ko zara shaant karo, -
Kissi ki muhabbat se khilvaad na karo, -
Khata na ho issliye yeh kaam chhod do, -
Teri kaawish-e-ishq ab bekaar na ho, -


(Syed Naami)
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #7 on: May 18, 2008, 09:08:22 AM »
Reply with quote
Sydnaami very nice bahut khoob

Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: May 18, 2008, 09:17:05 AM »
Reply with quote
Quote
Meri chaahaton men doobne se baaz raho, -
Tu kahe mujhse haal-e-dil aur mera inkaar ho, -
Yeh Naobat na aaye issliye meri baat maan, -
Chhod de peechha mera ki tu ab khwar na ho.

Very good Syed ji  Applause Daad hazir hai.
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #9 on: May 18, 2008, 09:25:25 AM »
Reply with quote
Kisi ki chahat kisi ke dil mein na ho ye kaise ho sakta hai
koi kisi ke liye marta na ho ye kaise ho sakta hai
koi kisi ke liye barbaad na ho ye kaise ho sakta hai
bas itna ho sakta hai ki Aap meri chahat na ho ab ye symnaami ke dil ne kaha hai..................

**************************************MUSKAN********************
Logged
syednaami
Guest
«Reply #10 on: May 18, 2008, 12:49:09 PM »
Reply with quote
Very good Syed ji  Applause Daad hazir hai.

Thank a lot Roja saahiba, Tashreef aavari ka shukriya....
Kisi ki chahat kisi ke dil mein na ho ye kaise ho sakta hai
koi kisi ke liye marta na ho ye kaise ho sakta hai
koi kisi ke liye barbaad na ho ye kaise ho sakta hai
bas itna ho sakta hai ki Aap meri chahat na ho ab ye symnaami ke dil ne kaha hai..................

**************************************MUSKAN********************

Wah Muskan Saahiba, Wah, kamaal likha hai... Aur hosla afzaai ka buhat shukriya...
Waise mera naam Syed Naami hai....
  DOH
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #11 on: May 18, 2008, 01:00:44 PM »
Reply with quote
SORRY
WAISE THANKS

ZIDNGI MEIN CHAHAT HOTI HAI TOH BAS APNI ZINDAGI KI
ZINDAGI MEIN CHAHAT HOTI HAI TOH BAS APNE SAPNE PURE KARNE KI
ZINDAGI MEIN CHAHAT HOTI HAI TOH BAS APNA PYAAR PANE KI .........

****************************MUSKAN*************************
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #12 on: May 18, 2008, 01:07:11 PM »
Reply with quote
Muskan bohat acha likha hai dear..Usual Smile

Meri Chaahat Ab Tere Dil Men Na Ho
Kasam Diya Tumne To Dil Men Kuch Kum Na Ho
Agar Chaahat Hoti To Dil Na toote
Agar Chaahat Dil Pe Basey Ho Toh Aankhon Men Aansu Na Hote
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #13 on: May 18, 2008, 01:12:38 PM »
Reply with quote
THANKS HONYROSE

CHAHAT ANSOON NAHI CHAHAT KHUSHI HOTI HAI
CHAHAT DIL TUTNE SE NAHI DIL JUDNE KI HOTI HAI
CHAHAT KHUWABO KI NAHI KHUWAISHOON KI HOTI HAI...................

********************************MUSKAN************************
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: May 18, 2008, 01:21:38 PM »
Reply with quote
Tum jaan kar bhi meri jaan na ho, -
Abhi tere bhitar koi aur armaan na ho, -
Pyar karna sabhi ko aata hai magar, -
Tere chaah men ab mera naam na ho. -


(Syed Naami)
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:13:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer