Meri Chahat ke kuch Nagme

by Riya_sweet19 on April 10, 2006, 04:55:03 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 6735 times)
Riya_sweet19
Guest
«Reply #45 on: April 19, 2006, 10:58:27 AM »
Reply with quote
Rockindia ji aapke pas to har jawab hai humari baat ka..........its wonderful
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri chahat by tabassum shakeel in Shayri for Khumar -e- Ishq
--- MERI CHAHAT --- by Jiya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Meri chahat... by punam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Chahat mein meri kami kuch bhi na thi jaane kyo tu begana ho gaya by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
_Vicky_
Guest
«Reply #46 on: April 19, 2006, 11:15:20 AM »
Reply with quote
Quote from: "Riya_sweet19"
Na jane khawabon me roz koun aata hai,
chupke se mere kano me kuch keh jata hai,

mujhe jagaye bina mere neend chura le jata hai,
sochti hoon main, jane ye koun hai jo har roj mere khawabon me aata hai,

aab aaya to jane na doongi, koun hai wo, ye pooch ke rahoongi,

intzar me uuske kab raat dali pata na chala, kab palke jhapki pata na chala,
phir wo aaya aur mere kano me keh gaya main pyar hoon tumhare dil me rehta hoon.


Jab bhi fursat milti hai,
uske hi khwab me chale jate hain...

uske samne izhaar karne se darte hain,
khwabon me hi hum usse izhaar kar aate hain....

neende humne kar di hain tamaam unke naam,
khwabon se uske kuch neend chura late hain.....

wo kaisa hoga lamha jab wo kaid karegi mujhko,
baahon me bhar le wo mujhe, yeh armaan jagate hain....

yeh ishq hi ka jadoo hota hai JANAM,
kab raat hoti hai, hum tere ishq me jagte rahate hain....

kab palken jhapakti hain tumhari, pata nahi chalta hai,
is pal ka intzaar hum karte rahate hain......

jaise hi wo chale jate hain, neend ke aagosh me,
chupke se unke paas chale jate hain.....

kaano me unke baar-baar yeh paigam dete hain,
HUM ISHQ HAIN TERA, TERE DIL ME HI RAHATE HAIN.......
HUM ISHQ HAIN TERA, TERE DIL ME HI RAHATE HAIN.......
Logged
Riya_sweet19
Guest
«Reply #47 on: April 19, 2006, 11:35:50 AM »
Reply with quote
vikcy akela ji aap ne kamal ki shayari ki hai...........nice
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #48 on: April 20, 2006, 04:22:11 PM »
Reply with quote
Please keep writing friends....Chalo dhuadhar shayari ka pradarshan ho jaye inke thread mein....Nayi member hain.....
Good job all...Keep up the effort..
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #49 on: April 21, 2006, 06:03:12 AM »
Reply with quote
Quote from: "Riya_sweet19"
iss kadar chaha hai tujhe humney
tere siwa aur kuch ab nazar aata nahi
ik tere hi jalwe rehte hai ankhoon mein
kuch aur meri nigaahoon ko ab bhata nahi
Jo sachcha pyar karta hai
   woh kahan faryaad karta hai
   Labon ko hilnay nahi detey
   Dil o dil yaad karta hain
   
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #50 on: April 21, 2006, 08:07:54 AM »
Reply with quote
Waah Bahot acha Likha Hai App Sabne Doston,...
Logged
Riya_sweet19
Guest
«Reply #51 on: April 23, 2006, 01:01:55 PM »
Reply with quote
Seene mein sulagte hain armaan
Aankho mein udaasi chhaayi hai
Ye aaj teri duniya se hamein
Taqdeer kaha le aayi hai

Kuchh aankh mein aansoo baaki hain
Jo mere gham ke saathi hain
Ab dil hain na dil ke armaan hain
Bas main hu meri tanhaai hai

Na tujhse gila koyi hamko
Na koyi shikaayat duniya se
Do chaar qadam jab manzil thi
Qismat ne thhokar khaayi hai

Kuchh aisi aag lagi man mein
Jeene bhi na de marne bhi na de ...
Chup hu to kaleja jalta hai
Bolu to teri ruswaayi hai
Logged
rockindia
Guest
«Reply #52 on: April 23, 2006, 01:49:33 PM »
Reply with quote
arrey wah riya ji bhaut khoob
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #53 on: April 23, 2006, 01:51:57 PM »
Reply with quote
sahi hain....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #54 on: April 23, 2006, 02:18:16 PM »
Reply with quote
bah riya jee, aapkee chahat ke har nagmein kabil-e-tareef hai!!
Logged
Riya_sweet19
Guest
«Reply #55 on: April 23, 2006, 02:24:51 PM »
Reply with quote
shukriya rocky ji and nirbhay ji par aap bhee kuch likhe
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #56 on: April 23, 2006, 03:02:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "Riya_sweet19"
Seene mein sulagte hain armaan
Aankho mein udaasi chhaayi hai
Ye aaj teri duniya se hamein
Taqdeer kaha le aayi hai

Kuchh aankh mein aansoo baaki hain
Jo mere gham ke saathi hain
Ab dil hain na dil ke armaan hain
Bas main hu meri tanhaai hai

Na tujhse gila koyi hamko
Na koyi shikaayat duniya se
Do chaar qadam jab manzil thi
Qismat ne thhokar khaayi hai

Kuchh aisi aag lagi man mein
Jeene bhi na de marne bhi na de ...
Chup hu to kaleja jalta hai
Bolu to teri ruswaayi hai


Aankhein tarasti hain tere dedaar ko
Is dil ki hansratein abhi kuch baaqi hai
Mai maana bhi nahi sakaa tumhein
badi sakht teri ye ruswaai hai

kuch mere paas bhi abhi armaan baaqi hai
khwabon ka reh gaya kuch samaan baqi hai
mansha na koi ehsaan baaqi hai
shikayetein hui bahut, abb bhi kya koi jufju baaqi hai?

Abb gila bhi hum karein to karein kya
Kisi siley se bhi hum darrein to darrein kya
Abb hanstey hain teri harr baat par
Tujhse rootein bhi to roothein kya?

Tum humdum ho mere jabse humraaz they
Ye khusi ke lamhe mere tere hee to ehsaan they
Kuch tum bhi lo maza muahbaat mein jalne ka
Hum to bachpan se jawaani talak tadaptey they!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #57 on: April 24, 2006, 11:33:47 AM »
Reply with quote
Bahoot acha Likha hai Riya aur Nirbhay Apne To..

Mohabbat Mein Kisi Ki Hum Khud Ko Mitaa Ke Dekhenge,..
Kehte Hain Mohabbat Ek Samander Hain,..
Ismein Hum Khud Ko Dubaa Ke Dekhenge,..
Logged
Riya_sweet19
Guest
«Reply #58 on: April 25, 2006, 01:30:33 PM »
Reply with quote
kiya khoob likha hai nirbhay ji aapne aur janasheen ji aapne bhee bhaut accha likha
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #59 on: April 25, 2006, 01:34:22 PM »
Reply with quote
Shukriya Riya,..

Mohabbat Se Chalti Hai Duniya,,Mohabbat Na Hoti,.
To Duniya mein Kisi Ko zaroorat Na Hoti,..
Mohabbat To Jeene Ka Ehsaas Dilaati Hai,..
Warna Kisi Ko Zindagi Se Chahat Na Hoti,..
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:51:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer