CoolGirl
Guest
|
|
|
kya sunae tumhe apni kahani lafzon se beyan na hogi hamare zindagani
jeeye ja rahe the apni hi dun main hum to mast the apne hi rang main
na koi saathi na koi manzil thi bas akele hi zindagi katti thi
ek din chal pare raah apni ja rahe the masti main apni
chalte chalte najane kaise kadam khud bakhud rukse gaye
nazar aagaya khuda ka haseen nazara na pehle inn aankhon ne dekha us jaise koi pyara
zulfain udd udd ke galon pe aarahe the jaise woh bhi unko chona cha rahe the
palkein utti to laga jahan ruk gaya hai zameen ruk gayi hai aasman jhuk gaya hai
dil cha raha tha bas dekhte rahe unko palkein kabhi na jhapke aur dekh le woh bhi humko
ek pal main pukar sunli khuda ne palat ke hume dekh liya unno ne
bas nazar nazar main jaise baat ho rahi thi dekhte dekhte shaam bhi del rahi thi
ek nazar main woh aisa jaadu chala gayi iss dil main to khalbali macha gayi
bas nazarein jhuka ke woh sharmani lagi kadam mudke woh jane lagi
dil cha raha tha jake ruklo unne apne dil ki baat beyan kerdo unne
jate jate palat ke woh muskura gayi ek pal main meri duniya badel gayi
basgaya tha nazron main manzar unka her jaga dekhta bas chera unka
woh raat kerwaton main guzar gayi meri aankhon se woh neend bhi udda gayi
bas deedar ko aankhein taras rahi thi robaro unse mulakat kerni thi
woh subah to bari haseen lagne lagi zindagi bhi nayi si lagne lagi
chal pada dil apni manzil ko aankhein dondti rahi bas unko
din dalte dalte raat hogayi najane woh ajnabi kahan khogayi
kahan dondte hum apni gumnaam muhabbat kisse kerte beyan hum apni yeh chahat
bas her rooz-o-shab dondte unko gali gali lagta hai khuda ne meri takdeer hi ye lakhi
aaj bhi yaad hai hume unko woh muskurana nazrein jhuka jhuka ke sharmana
unki tasveer to dil main basgayi hai ab bhi muhabbat meri dharak rehi hai
bas yehi hai meri zindagi ki kahani najane kab kaise guzar gayi meri jawani
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #1 on: March 22, 2007, 04:17:16 PM » |
|
kya hui humse aisi khata kyun hogaye tum juda laut aaona maan jaona aise to dil mera thorona hooo mere saajna
dilse dil jo mil jate hain woh phir dur nahi jate hain rishton ki gehrayi main bas pyar hi samaye jate hain choti choti baaton main yun roota karona laut aaona maan jaona aise to dil mera thorona hoo mere saajna
tujhse chayi jeevan main ranginiyan dilke bhaag main khilte hain kaliyan tere pyar main saverne lagi hon tujhse hi zinda hai mere saanson ki rawaniyan ab tere bin jee paaongi kabhi na laut aaona maan jaona aise to dil mera thorona hoo mere saajna hoo mere saajna
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #2 on: March 22, 2007, 04:22:35 PM » |
|
kahin ban najao tum gumnaam deewane khat ki baatein choro robaro bolo afsaane
milta hai kismat se tumhe pyar ek bar door se kya dekh rahe ho nazare
ger dil mein hai chahat to kis baat ka hai daar dil hi dil main mat gaho tum pyar ke tarane
merban hai waqt to kerlo tum izhar kahin gaava na baitho tum ye pal suhane
ager hoga sacha pyar to HAN hogi wahan bhi warna zindagi na beetana tum udaasi ke shahare
bas aaj boldo tum jaise pasand kerte ho ke aajse SANAM hum hogaye tumhare
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #3 on: March 22, 2007, 04:23:11 PM » |
|
Dil ki basti kabse sunsaan thi tune aakar iss mein roshni berdi
dil main jaise bhaag sa bangaya hai ab nayi nayi kaliyan khilne lagi
dil ka karwa yunhi tha rarwa ab laga jaise zindagi mil gayi
her pal ab suhana lagne laga raatein chandni si hogayi
ab tujhko khoker na jee paongi ye RANI ab tumhari hogayi...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #4 on: April 15, 2007, 07:14:38 AM » |
|
aik anjani mulakat hui aankhon aankhon main dilse dil ki baat hui aankhon aankhon main
hone ko to kya kya hojata hai hamari zindagi badel gayi aankhon aankhon main
naak irada tha kya ye KHUDA ka ke ab neend na aane lagi aankhon aankhon main
hogaya manzar ab to unka aam aur chahat barne lagi aankhon aankhon main
aik rubayi sa hai unka chera ke dil mein woh utar gayi aankhon aankhon main
ab izhar-e-muhabbat kerna hai khulke baut baat hochuki aankhon aankhon main
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #5 on: April 15, 2007, 07:15:03 AM » |
|
kis tarha maange tumhe koi harf-e-dua to batao
kis tarha chahein tumhe koi aisa saama to batao
kya dil main uske bhi hai chahat hey KHUDA humko to batao
kis tarha kare izhar-e-dil koi tarz-e-aada to batao
hai nahi sharat kare wo bhi pyar per koi deewana humsa to batao
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #6 on: April 15, 2007, 07:15:28 AM » |
|
kya dound rahe ho tum hum to hai tumhare paas
naam na karo ye aankhein dil dukta hai hamara hum chahe dur hojaye tum mat hona udaas
gumsum na raho pareshani batao mashos kerke dekho main hoon tumara ehsas
jo mil jate hain pyar main woh hote nahi juda hum maar bhi gaye to kya dil to hai tumhare paas
sunlo tum hey jaana main aaonga lutke pure honge saare vaade puri hogi her ek aas
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #7 on: April 15, 2007, 07:15:53 AM » |
|
gham ki larzish ka koi gham nahi teri yaad mera saath chorti nahi
humto tere bina mar gaye hote tujhko bhulna chahe to bhula na paate pal pal yaad teri kami ka ehsas delati nahi
barish ki boondon main tera chera dekhe tanhayiun main b tu mera saath de naam hai aankhein per yaad teri rone deti nahi
bas jeeye ja rahe hain teri yaadon ke shahare saansein teri jor chuki hain saanson se hamare hai ye bandan teri yaadon se ke ye lehri choti nahi teri yaad mera saath chorti nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #8 on: April 15, 2007, 07:16:20 AM » |
|
faryad-e-nain jane kab hongi khatam jane kab milenge hum tumse sanam
ger tu thamle iss dil ki dor to saambal jayege hamare kadam
aik bar aake to dekh inn galiyon mein dilon ke milne ka nahi hota koi mausam
ye sab yunhi nahin hai yar marzi-e-khuda se chaya hai aashiqana aalam
raste pe bicha diya meine apna dil ab to lut aaja mere balam
kiya hai kerte hai aur kerte rahenge ab ye ishq na hoga phirse teri kasam
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #9 on: April 17, 2007, 10:11:08 AM » |
|
barso ki jagti aankhon ko aaj karar aaraha hai
jane kyun aisa lage jaise koi lutke aaraha hai
aas ki lehri kabhi choti nahi armaano ka diya jagmaga raha hai
bichaye baithe hain naaino ko raahon main dilki tarap ka sukoon lut aaraha hai
khayalo main chaya hai tera manzar aaj milan ka saama aaraha hai
zindagi ka safar abhi khatam nahi hua mera humsafar lut aaraha hai
deewangi chagayi hai mujhpe RANI ka wo dilbar aaraha hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
paani
Guest
|
|
«Reply #10 on: April 17, 2007, 10:35:55 AM » |
|
Bhaut pyaar express kiya hai apne Nice
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #11 on: April 17, 2007, 02:28:39 PM » |
|
nice cool girl
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #12 on: April 17, 2007, 03:41:38 PM » |
|
Bohat khoob CoolGirl...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #13 on: April 18, 2007, 10:38:34 AM » |
|
thnx all of u very much
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #14 on: April 22, 2007, 06:27:00 AM » |
|
dilke viraniyon main chagayi roshni mehfil ke charag bhooj gye hui jab teri roshni
din bhi raaton sa lagta tha hume aandhero mein bhi leaaye tum roshni
na manzil na aas na koi humare paas aaj her soo chayai hai umeed ki roshni
zindagi mein sirf gham hi nahi hote tum chaho to gham mei bhi miljaye roshni
ab tere bina jeena bhi maut hai tere sang hi mukamal hai zindagi ki roshni...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|