Meri Kahani...

by CoolGirl on March 22, 2007, 11:34:19 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11
ReplyPrint
Author  (Read 10273 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #105 on: September 16, 2007, 08:54:45 AM »
Reply with quote
aye dil deewane bata
kyun hai tu khoya khoya


kaise chupi yeh awaz hai
kaisa geet hai kaisa raaz hai
hai kya yeh silsila
aye dil deewane bata


kisne hai yeh jaadu chalaya
jo tujhko hai aise dhadkaya
thaam jata hai sunke kyun koi sada
aye dil deewane bata


naam na sahi ishara tou ker
bezuban dilse usey pukara tou ker
kya wahan bhi hai aisa hi majra
aye dil deewane bata
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri kismat ki kahani by gum in Shayri-E-Dard
Meri Kahani.. Meri Zubani by Aashique in Shayri-E-Dard
'kahani teri' ( meri kyu lagti hai) by samnoj in Miscellaneous Shayri
meri kahani by Singh is king in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERI KAHANI MERI JUBAANI by amarhellboy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
CoolGirl
Guest
«Reply #106 on: September 18, 2007, 12:26:04 PM »
Reply with quote
zindagi ho jaayegi veeran ..gar tu mana kar de
rasten..ho jaayenge sunsan..gar tu mana kar de

na poochunga kaaran teri is manahi ka.....
bas band ho jaayega dikhna teri aava-jaahi ka

baat rahegi jaasti , ..gar tu mana kar de
khatm ho jaayegi dosti..gar tu mana kar de

kya hoga ! na milega woh chehra jise main padhna chahta tha
na rahenge woh sapne jinhe main gadhna chahta tha

na hogi mujhe mohabbat..gar tu mana kar de
milegi mujhe bas nafhrat..gar tu mana kar de

na honge koi khwab , na taazdaar RANI
kuch na hoga bas tanha guzar jaayegi ye jawani

band kar doonga hansna..gar tu mana kar de
band kar doonga likhna..gar tu mana kar de
janta hoon..tu mujhe mana karegi nahi kabhi
main jeena chodh doonga..gar tu mana kar de.......
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #107 on: September 19, 2007, 03:12:43 PM »
Reply with quote
yeh dil na maane
yeh dil na jaane
kyun hai tera deewana


jabse hai tujhko dekha
usdin se hai yeh bhaka
bas aaye teri aur aana


kaise bangayi hai yeh kahani
badli badli hai meri zindagani
dekh rahi hai aankhein sapno ka aashiyana


nahi hua hai kabhi kuch aisa
na lage yeh jahan pehle jaisa
kyun likh rahi hai qalaam pyaar ka taraana
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #108 on: September 20, 2007, 10:16:41 AM »
Reply with quote
na jaon mei tou sajaan ke gher
bhala lage mujhe babul ka gher
na jaon mei tou sajaan ke gher



kis tarah chodon yeh bachpan ki galiyan
jag jag ker jo beeti hai raatiyan
sang sehliyon ke jahan ki hain baatiyan
kaise chodon mein yeh yaadon ka nagar
na jaon mei tou sajaan ke gher



woh guddiyon se khelna woh rassi kudna
woh chacha ki gaadi se cheezein lena
woh barish ke pani mein kashti bahana
kaise jaon mein dosre kinare inne chod idhar
na jaon mei tou sajaan ke gher



rehjayengi yeh guddiyan yahan
ab hogayi hai tu beetiyan jawan
hai yehi tere maam baap ka armaan
unke sang hi guzre ga tera yeh jeevan ka safar
jaana hi hai tujhe meri guddiya sajaan ke gher
saada khula hai tere liye babul ka gher
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #109 on: September 24, 2007, 04:20:51 PM »
Reply with quote
rulati hai kabhi yeh shaam-e-judayi
hasati hai kabhi teri yaadon ki kamayi
sharma jaye kabhi khudse yeh tanhayi
tu tou na aayi per teri yaad chali aayi
teri yaad teri yaad teri yaad


likha hai usne hume khat mein apna paigham
tere intezar mein beet jaye mere subah shaam
kabhhi meri aankhein yunhi bhar aayi
tu tou na aayi per teri yaad chali aayi
teri yaad teri yaad teri yaad


haseen un lamhon ki wadiyon mein
paaon mein tujhko apni bahaon mein
mere khayalon mein tu hi tu hai chahayi
tu tou na aayi per teri yaad chali aayi
teri yaad teri yaad teri yaad
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #110 on: September 25, 2007, 04:02:43 PM »
Reply with quote
aaj phir saal ne us roz ko dohraya hai
aaj phir pehli mulakat ka din aaya hai


aaj phir tumko meri yaad baut aayegi
aaj phir tumne meri soch ko mehkaya hai


aaj phir fizaa hai khush libas mein
aaj phir khushiyon ka mausam aaya hai


aaj phir jal uthe mehfil-e-dil ke chirag
aaj phir milan ka waqt aaya hai


aaj phir jo aankhein biche hain raahon pe
aaj phir her raah ko phoolon se sajaya hai


aaj phir hum apni neend liye phirte hain
aaj phir khayalon mein tu mere chahya hai


aaj phir saj rahe hain nagme inn honthon pe
aaj phir RANI ne iss qalaam ko chalaya hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #111 on: September 28, 2007, 10:23:40 AM »
Reply with quote
chand tanha tanha kaare saathi ka intezar
zindagi meri khud kaare zindagi ka intezar


ki hai ab tak tou sirf us Khuda ki ibaadat
hai iss jabeen ko pyaar ki bandagi ka intezar


raat ke aandhere din ke ujale hain khud dekhe
hai bas ab tou din mein chandni ka intezar


jo saada roshan rakhe is dilki mehfil ko
hume tou hai bas us roshni ka intezar


junoon-e-ishq ki had hai iss dil mein hamare
hai hume ab unki deewangi ka intezar


humne tou dilka haal rakh diya hai saamne
bas hai RANI teri dilbari ka intezar
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #112 on: September 30, 2007, 11:12:09 AM »
Reply with quote
samet ke khud ilfaaz ek nazam bana gaye
parke dilko mile sukoon aisa bazam bana gaye


na chahte hue bhi bas bol hi dala
lafzon mein jazbat dilki qalaam bana gaye


her shaks ki nigah dhoond rehi thi usey
lafz mere aisa aalam bana gaye


tera naam parte hi thaam sa gaya yeh dil
deewana mujhe mere sanam bana gaye


ek ajab sa mahul pyaar ka saajta hai
tere intezar ke pal RANI pe karam bana gaye
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #113 on: October 01, 2007, 07:17:48 AM »
Reply with quote
jeevan ke lamhon mein milan ka lamha milta
kabbi hume bhi tou pyaar ka zamana milta


nazron mein chahayi hoti pyaar ki tasveer
aisa kabbhi hume bhi dekhne ka bahana milta


saaji hoti her raah phoolon ke chaman se
apni zindagi ko aisa thikana milta


ek lamhey mein hi jee lete soo zindagiyan
sunhari yaadon ka hume bhi khazaana milta


dukh ki hoti ghata ya khushi ki barkha
sang hote hum hamesha aisa hume jeena milta


chalti yeh qalaam bhi sirf uske liye
RANI ko bhi kabbhi koi apna milta
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #114 on: October 02, 2007, 07:25:32 AM »
Reply with quote
jawani wo nasha hai ,jise mahoobat pi gayi
unki ek nazar hi jaadu chala gayi


kerliya tha iraada ke nahi karenge aisi khata
per nazrein khud bakhud unpe jaam gayi


bin piye jaane kaisa nasha sa hogaya
ab to band aankhon mein bhi unki tasweer saama gayi


dil thame hum khaare rahe bich sadak pe
aur wo ankhiyon se gal kar gayi


ab to intezar mein b maaza aane laga hai
ke humari saari jawani ussi mein hi guzar gayi...


jo RANI ek baar nazar-e-karam ker de humpe
tou zindagi hamari yunhi sawar gayi
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #115 on: October 03, 2007, 09:13:49 AM »
Reply with quote
phir chaayi yaadon ki ghata
phir tanhai mein raat katti
phir dil ne kaha
hai teri kami


phir dilke armaan machal gaye
girte girte hum sambhal gaye
phir raah mein phoolon ki chadar hai bichi
phir dil ne kaha
hai teri kami


phir woh dilkash mulakatein
phir woh guzre lamho ki baatein
phir theher gayi palkon pe nami
phir dil ne kaha
hai teri kami


phir na aaya tera paigham
phir guzar gaye mere subah shaam
phir se hui yeh tanha zindagi
phir dil ne kaha
hai teri kami
hai teri kami
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #116 on: October 06, 2007, 09:49:13 AM »
Reply with quote
nazuk hai yeh dil mera thokar na lagana mujhko
nazaron mein apne basa ker na girana mujhko


meri saanson ki rawani hai sirf tujhse
dil mein dharkan ki tarah tum b basana mujhko


saare-e-mehfil duswar ho jo baat kerna
main samaj jaoongi nazron se batana mujhko


kadamse kadam milake jo safar hai teh kerna
haath tham ke phir tanha na ker jaana mujhko


khushiyon bara aashiyana jo banaya hai milker
ghamon ka aagan na de jaana mujhko


wada utna karo jitna nibha saktey ho sanam
khuwab pura jo na ho wo na dikhana mujhko
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #117 on: October 11, 2007, 04:22:48 PM »
Reply with quote
sun aye zindagi
zara tham tham ke guzar


kahin beet na jaaye woh lamha
jo hai meri manzil mera safar


ajnabi raahon pe kahin tou milega
jis deewane ki hai meri nighaein muntazar


kab tak jeeon yunhi tanha tanha
ab tou dekha de khushiyon ka nagar


sochon mein hi ek naya jahan banaliya hai
kia hoga us pal jab hoga samne woh agar


her raat labon pe naye geet gungunaye
her lafz pe RANI ho shabnum ka samar
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #118 on: October 11, 2007, 04:23:56 PM »
Reply with quote
mokha bhi hai dastoor bhi
phir kyun hai tu mujhe door khadi


aaja lag ja gale mere kahin
beet na jaye yeh haseen ghadi


dil ke anjuman mein nayi rut hai jaagi
tere liye hi mere armanon ki khaliyan hai bikri


duniya se bekabar ab hum rehne lage hain
mere khayalon mein basi hai jo tasveer teri


labon pe jo dabi hai tere baat RANI
aaj bana de tu lafzon ki lahri
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #119 on: October 11, 2007, 04:24:36 PM »
Reply with quote
kisi ne jo dilki kahani sunayi
tumhari mohabbat baut yaad aayi
tamannao ki jo doli sajayi
tumhari mohabbat baut yaad aayi


veeran raahon ko phirse saja do
khamosh iss dilko koi sada do
chaman main jo koi kali muskayi
tumhari muhabbat baut yaad aayi


koi nagme honthon pe bune lage
tou koi lafzon ke phool chune lage
jo kisi ne pyaar ki sargam bajayi
tumhari muhabbat baut yaad aayi


aankhon ki dehliz pe naami thehar gayi
sab kuch tha magar teri kaami reh gayi
phir jo RANI ne yeh qalaam apni chalayi
tumhari muhabbat baut yaad aayi
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:42:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer