CoolGirl
Guest
|
«Reply #120 on: October 11, 2007, 07:07:02 PM » |
|
chup chupke ker rahi hai khata chup chupke ker rahi hai khata meri aankhein kerti hain tujhse wafa meri aankhein kerti hain tujhse wafa
sharam-o-haya ke parde gira ke dil hi dil mein tujhe apna bana ke ho jati hai yeh kahin gum shuda meri aankhein kerti hain tujhse wafa
teri jo pare ek nazar gabra jaye palkein jhuka ke yeh muskuraye anjani ho jati hai phir iski aada meri aankhein kerti hain tujhse wafa
teri nazron se kerna chahe yeh kuch baat khamoshi bhari ho ek haseen mulakat bas itni hi kerti hai yeh dua meri aankhein kerti hain tujhse wafa meri aankhein kerti hain tujhse wafa
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #121 on: October 11, 2007, 07:07:56 PM » |
|
nice lines coolGirl!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #122 on: October 12, 2007, 07:28:41 AM » |
|
thnx pooja ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #123 on: October 12, 2007, 09:12:14 AM » |
|
ab bhi aahat pe dil dhadak jata hai jaane kyun chupa dard aankhon se chalak jata hai
kisi gali mein kisi raahon pe milo ge jaane kyun issi umeed se dil bahak jata hai
dilke bhaag ki saari khaliyan hai murjayi jaane kyun ek phool se sara alam mehak jata hai
diya tha jo tune laal dupatta tinga diya hai usko jaane kyun bar bar woh humpe sadak jata hai
ho chuki hai bejaan meri khone mein pari hai qalaam jaane kyun RANI dil mein ab bhi koi lafz dastak dejata hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #124 on: October 12, 2007, 09:27:12 AM » |
|
Rani
Bahut achche ! =D>
It is always nice to read your shayari :D
Keep going :arrow:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #125 on: October 12, 2007, 05:02:28 PM » |
|
thnx rajbir thnx alot its a very big complement
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #126 on: October 16, 2007, 07:03:38 AM » |
|
nahi hon mein soyi chand ko bhi jaga rahi hon zindagi ke her panne se tera naam mita rahi hon
nahi bharna mujhe apna aanchal gham se apne aanchal ko zulfon se chupa rahi hon
to kya hai ager mujhe mila hai yeh sila jisne hai dard diya uske samne muskura rahi hon
mat ro aye dil aik sapna hi tou toota hai dekh aankhon ko naye sapne dekha rahi hon
kyun roun mein us bewafa ke liye jo inki kimat na jaane inn anmol motiyon ko bikarne se bhacha rahi hon
aye qalaam kyun hai udaas chal naye fasane likhe aaj RANI khud ko khudse mila rahi hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #127 on: October 16, 2007, 08:26:28 AM » |
|
Rani Nice poem ! But do you think this is the right place for it. Khumar to hai he nahi is mein
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #128 on: October 17, 2007, 10:53:48 AM » |
|
well rajbir yes u r rite but in this poem its abt revenge so i thought dat this is the better place 4 it
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #129 on: October 17, 2007, 10:54:24 AM » |
|
bheegi bheegi palkon ki sada sunle tu aye mere Khuda luta de phir wohi lamha woh dilkash saamaaaaaa
woh gul woh shabnaam woh pyaar ka mausam kis gali mein reh gaye woh mere motaraam phirse aajaye woh bahar phirse rangeen ho yeh fizaa bheegi bheegi palkon ki sada
mussarat ki woh haasi ab chaayi hai bas nami hai sab per phir bhi hai bas unki hi kami lafzon mein ab bhi hai beyaan dil mera hai uspe fidaa bheegi bheegi palkon ki sada sunle tu aye mere Khuda
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #130 on: October 22, 2007, 06:17:20 AM » |
|
daman hamara bheeg gaya jo tune aansoon ki barsaat ki
laga jaise chot humko lagi ho jo tune dard-e-dil ki baat ki
mein tou bas kho gaya teri bheegi palkon mein aankhein meri doond rahi thi ek jalak mulaqat ki
jo tu seene lagke mere rone lagi mehsoos hua milne aayi ho chandni raat ki
jo tune thama mera haath apne haathon mein laga jaise her khushi mere paas aagayi kayinat ki
bas ab tou yeh waada khudse ker liya hai meine ke RANI tujhko donga mein haasi mussarat ki
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #131 on: October 22, 2007, 02:58:42 PM » |
|
tera talabgar na ho jau ahtiyat se milo na teri tadao ho jau ahtiyat se milo
ye lahza ye loch teri guftgu me hai, barbaad na ho jau ahtiyat se milo
nazre jhuka lo parda rakho sanam, nazro me na kho jau ahtiyat se milo
kaise kahu tujhse ke mujhe apna bana le tu, mai tera na ho jau ahtiyat se milo
her jaga ab tou tum hi nazar aate ho, tere khayalon mein na kho jau ahtiyat se milo
bin peeye ek ajab sa nasha hai,, teri aankho me na kho jau ahtiyat se milo
teri khushboo basi inn fizaon mein hai, kahin inn mei gum na ho jau atiyat se milo
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #132 on: October 24, 2007, 06:40:29 AM » |
|
khamosh nighaaon se yun na baatein kijiye kahin aankhon aankhon mei muhabbat na hojaye
itne kareeb hamare yun na aaya kijiye kahin aankhon aankhon mei muhabbat na hojaye
aake yun bhi na jaana ke rehna mushkil hojaye ke teri judai mein pal pal marna par jaye mera haath yun na thama kijiye kahin aankhon aankhon mei muhabbat na hojaye
lafzon mein jo tum izhar-e-muhabbat kerte ho nazuk se mere dil ko itna kyun tarpate ho naam mera yun leke hume na dekha kijiye kahin aankhon aankhon mei muhabbat na hojaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #133 on: October 24, 2007, 04:14:51 PM » |
|
intezar mein unke her gali sajaa di humne inn aankhon ko bhi jagne ki sazaa di humne
bekabu se hue ja rahe hain mere jazbat jo iss dil mein ishq ki aag laga di humne
lut aane ki unki umeed mein aaj ek aur shama jala di humne
tune hi nahi chahi kabhi khushi meri to Hontho ko zabardasti muskurane ki ada di humne
likha nahi unka naam jo in haatho ne haatho ko jala ke khudh ko saza di humne
tumko dil de diya aur kuch liya bhi nahi Dekho ek aur rasm aaj chala di humne
inn lafzon mein haal-e-dil beyaan hai apna aaj khud ko marne ki dua di humne
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajbir
Guest
|
|
«Reply #134 on: October 24, 2007, 04:16:55 PM » |
|
Rani
Bahut khoob =D>
Good going :arrow: Meri Kahani... :D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|