Roja
Guest
|
«Reply #135 on: October 24, 2007, 04:39:59 PM » |
|
intezar mein unke her gali sajaa di humne inn aankhon ko bhi jagne ki sazaa di humne
bekabu se hue ja rahe hain mere jazbat jo iss dil mein ishq ki aag laga di humne
lut aane ki unki umeed mein aaj ek aur shama jala di humne
tune hi nahi chahi kabhi khushi meri to Hontho ko zabardasti muskurane ki ada di humne
likha nahi unka naam jo in haatho ne haatho ko jala ke khudh ko saza di humne
tumko dil de diya aur kuch liya bhi nahi Dekho ek aur rasm aaj chala di humne
inn lafzon mein haal-e-dil beyaan hai apna aaj khud ko marne ki dua di humne Very good CoolGirl
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #136 on: October 24, 2007, 06:56:41 PM » |
|
thnx rajbir n roja ji ur compliments give me more courage
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #137 on: October 24, 2007, 07:20:30 PM » |
|
bahoot khoob Cool Girl!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #138 on: October 25, 2007, 08:18:30 AM » |
|
thnx pooja ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #139 on: October 27, 2007, 12:00:53 PM » |
|
kuch udaasi kuch khamoshi mein waqt bitaya hoga tumne apne khayalon mein mujhko sajaya hoga
kaha tha ek pal bhi na reh paaoge mere bin aaj khud tumne uss baat ko duraya hoga
jab das raha honga tumhe veraniyon ka manzar tou tumne ek diya pyaar ka jalaya hoga
nikal ke kuch khat purane khitab se aashqon se tumne unko bhigoya hoga
koi dekh na le tumhe barsaat mein tumne jhoom jhoom aansoon ko chalkaya hoga
tasveer tou tumne khud hi jala di thi haathon se seene se apne uski raak ko lagaya hoga
leke kuch saade khaqaz kuch likhne ki khosish tooti qalaam se RANI ka naam sajaya hoga
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #140 on: October 27, 2007, 03:44:48 PM » |
|
shaam-e-gham hai aur teri yaad aankhein naam hai aur teri yaad
hey tez hawaon kabhi unko bhi sang laao purdard mausam hai aur teri yaad
khamoshiyon ki yeh gahri beet kyun nahi jati veerana alaam hai aur teri yaad
toote jab woh vaade tooti jab woh kasme toota mera baraam hai aur teri yaad
phoolon ki chaddar libte khari hon samne ab bhi dil mein sanam hai aur teri yaad
tera naam likhke roo parti hai yeh bhi RANI rukhi meri qalaam hai aur teri yaad
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #141 on: October 28, 2007, 03:42:45 PM » |
|
Mujhko hosh me na ab aane dijiye ke aaj chahya mausam suhana hai
khushiyon ne mera haath tham liya aur madmast hawa ka aana jaana hai
jisey duain mein humne us khuda se manga aaj usne khudko meri lakeeron mein pechana hai
chahat ke phool khil rahe hain bhaag-e-dil mein dhadkan ke taar bhaja ke geet gungunana hai
khushboo unki apni saanson mein basa ke aaj ek dojey ke pyaar mein is kadar doob jana hai
tumse rooth ke dekho udaas hogaya hai RANI woh qalaam bhi bana tumse begana hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #142 on: October 29, 2007, 06:23:01 PM » |
|
teri yaad mein mujhe jeevan beetane de tere khayalon mein mujhe doob jaane de
tujhse baat na sahi mulaqat na sahi chand aashq hi mujhe in aankhon se bahane de
jo baat tune labon se kabhi na kahi us baat ka tasawur hi mujh mein samane de
chahat ke nagme tou hum kabhi gaa na sake aaj ek pyaari si ghazal hi gungunane de
sapno ka aashiyana jo milke sajaya tha unn sapno ko aaj tu toot jaane de
shayad meri aankhein ro ro ke thak jaye RANI inn lafzon ko bhi tu bheeg jaane de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #143 on: October 30, 2007, 10:15:39 AM » |
|
tum kya ho mein tumhe kya bataon jo khudh pari ho use pari se kya milaun
duniya tou hai badi khoobsurat magar tujh jaisa kudrat ka noor mein aur kahan paaon
tarif jo lafzon se ho beyaan tum woh nahi ho jo lafz tumko beyaan karen woh mein kahanse laaon
hai husn unka masoom per ker deta hai pagal uske andaaz ko mein kis se milaun
na hai na hoga tujh jaisa aur yahan ab aise shakas ko mein or kaha se dhoond ke laaun
hai kitne deewane tere yahan pe RANI ab tujh ko mein kya kya bataon
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #144 on: October 30, 2007, 07:08:57 PM » |
|
jab kabhi murja phool tujhko mil jaye jab kabhi tujhko dekh woh kil jaye mehsoos kerke tum dekhna woh meri muhabbat hai woh meri muhabbat hai
jab kabhi yunhi aansoo chalak jaye jab tere daman mein woh dhamak jaye mehsoos kerke tum dekhna woh meri muhabbat hai woh meri muhabbat hai
jab kabhi hawa se tera dupatta sadak jaye jab kabhi teri zulfein yunhi bahak jaye mehsoos kerke tum dekhna woh meri muhabbat hai woh meri muhabbat hai
jab kabhi chand ke sang aik tara nazar aaye jab kabhi teri raat usey dekh dekh guzar jaye mehsoos kerke tum dekhna woh meri muhabbat hai woh meri muhabbat hai
jab kabhi RANI aisa mukaam aaye jab kabhi tere lafzon mein mera naam aaye mehsoos kerke tum dekhna woh meri muhabbat hai woh meri muhabbat hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #145 on: November 01, 2007, 02:42:39 PM » |
|
kuch purane alfaaz dilko yaad aagaye kuch chupe raaz dilko yaad aagaye
jo kabhi inn labon se beyaan na hosaki kuch ankahi aas dilko yad aagaye
jaise kabhi humne mana tha apni manzil jo aae the kabhi paas dilko yaad aagaye
jaane kahan khogaye woh manzar suhane jo hogayen hain udaas dilko yaad aagaye
adhora rehgaya jo bunna tha sapna aaye na jo kabhi raas dilko yaad aagaye
maan ki qalaam se dilke khagaz pe RANI woh kuch lafz khaas dilko yaad aagaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #146 on: November 01, 2007, 03:07:53 PM » |
|
Good Collection Cool Girl
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #147 on: November 01, 2007, 03:29:06 PM » |
|
thnx alot pooja ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #148 on: November 06, 2007, 08:19:51 AM » |
|
aapki awaaz se pyar hai hume kitna izhaar ker nahi sakte hamare liye aap us KHUDA ki tarah hai jiska didar ker nahi sakte
mana aur bhi log hain aapke kareeb bas hume dilke khone mein basa lena uss nanhi jaga ki hamiyat ko hum lafzon mein ashaar ker nahi sakte
aapki awaaz ki khushboo iss kadar mehakti hain hamare jeevan mein ke saare jahan ke phoolon se bhi apni zindagi sarshar ker nahi sakte
jab bhi aap muskurate ho yeh fizaa uski jankar suna jaati hai aapki muskan ke bager iss dil ko bekarar ker nahi sakte
aapki ek khushi ki khatir soo zindagiyan meri qurban ab her zindagi ka hum barso intezar ker nahi sakte
dur hain hum bahut tou dilse hume apne bhula mat dena tasavuur mein bhi ek lamha aapke bina guzar ker nahi sakte
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #149 on: November 06, 2007, 08:20:32 AM » |
|
teri zulfon ke bikharne ka sabab hai koi tere khayalon mein khoya ab hai koi
aisi sunhari shaam pehle na dekhi kabhi pehle yun mere dil pe chaya kab hai koi
baat labon tak aate hi ruk jaati hai kahan tujhsa iss jahan mein gazab hai koi
tera haseen nazara dekh ke yakeen hua ke iss kayinaat ka rab hai koi
tere ishq mein jo faana hojaye tu hi bata ke mujhsa deewana tera kab hai koi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|