Meri Kahani...

by CoolGirl on March 22, 2007, 11:34:19 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 10328 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #15 on: April 22, 2007, 09:03:36 AM »
Reply with quote
pal bhar ki mulakat main
hum yun kho gaye

mere to her pal main
tum cha gaye

pal pal ne kaha hai
her ek palon se

her pal ye saama
yunhi badelta jaye

ek pal nahi guzra
teri yaad ke bagher

pal pal teri yaad
mere paas aajaye

jab hojaye ye
band aankhein

ek pal main mere
tu paas aajaye

shaam dalne per kabhi
aaja tu iss dil main

pal bhar ke liye hi
tu saath nibha jaye....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri kismat ki kahani by gum in Shayri-E-Dard
Meri Kahani.. Meri Zubani by Aashique in Shayri-E-Dard
'kahani teri' ( meri kyu lagti hai) by samnoj in Miscellaneous Shayri
meri kahani by Singh is king in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERI KAHANI MERI JUBAANI by amarhellboy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
CoolGirl
Guest
«Reply #16 on: April 25, 2007, 01:44:20 PM »
Reply with quote
diye jal gaye dilke anjuman mein
chahat bari nazro se jo tune dekha

do kadam chal ke hum ruk gaye
palko ki jhilmilaat se jo tune dekha

ye anjuman viran thi kabse
aaj taar bhaje dilke jo tune dekha

jhuki palko se wo tera muskurana
waqt thera jo tune dekha

dil ko to yun khona hi tha
phir palat ke jo tune dekha
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #17 on: April 27, 2007, 08:02:57 AM »
Reply with quote
dil bedard hai zuban pe chayi khamoshi
tere diye hue gham mein bhi mile madhoshi

koi gham nahi jo mila ye wafa ka sila
pyar ki her taraf chayi hai sarghosi

tamaana thi tere sang zindagi beetana
per ab bhi chere pe nahi chayi udaasi

hoga yakeen tumko mere pyar per
jab koi na tumhe milega apna saathi

jaane wala palat ke dekh le ek baar
phir hojayengi ye raahein undekhi...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #18 on: April 27, 2007, 08:10:33 AM »
Reply with quote
hamari gali aao kisi din
ek shaam beetao kisi din

tanha tanha chal rahe hain
humsafar ban jao kisi din

dondte hain ye aankhein tumhe
chupke se aajao kisi din

dil mein ek aag se utti hai
isse bhuja jao kisi din

gham ka darya beta ja raha hai
khushi ki lehar dejao kisi din

milke jo likhe the pyar ke tarane
woh geet suna jao kisi din

tanha likha hai naam RANI ka
apna naam dejao kisi din...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #19 on: April 27, 2007, 08:15:09 AM »
Reply with quote
la rahi hai paigham ye hawaein leker
abhi hi gayi hai mujhko cho ker

pehli soraj ki kiran chayi mujh pe
tum rehna khare ab aaegi wahan per

chand ko dekh ke muskura dena
paigham sitara mujhe dejayega toot ker

pyar mein dil ka milan hai zaroori
dooriyan jitni ho dil to dharakte hain milker

tera dukh mera dukh teri khushi hai meri
ab haaq hai tumhara RANI ki saanson per...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #20 on: May 01, 2007, 06:14:02 PM »
Reply with quote
ab to mar ke bhi tumko hi chahana hai
ye pyar ka tarana to sang gungunana hai

chahe agle pal zindagi ho na ho
tanha bhi tumhe sirf muskurana hai

na beegona mere yaadon se apna daman
inn palko pe sapne sajana hai

jaana to hai sabko yahan se
per dil mein hamesha pyar basana hai

aaj bhi un lafzon se aati hai khusboo
ke RANI dil to sirf tera deewana hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #21 on: May 01, 2007, 06:14:27 PM »
Reply with quote
bina bole kiska hogaya mera dil
jane kyun aisa kergaya mera dil

raat bar mujhko bekarar kare
gumsum gumsum tanha rahe
jane kahan khogaya mera dil
bina bole kiska hogaya mera dil

her pal khayalo mein doba rahe
akele mein khudse sarmane lage
deewana sa hogaya mera dil
bina bole kiska hogaya mera dil

kehte kehte chup hojaye
maan hi maan kuch gungunaye
anjana sa chera dekha gaya mera dil
bina bole kiska hogaya mera dil
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #22 on: May 02, 2007, 09:15:27 AM »
Reply with quote
jise tu na mila usey kya pata
ye ishq hota hai kya

tarha tarha ke naam mile tujhko
per her gham shena hota hai kya

yun to hum jeete hain zindagi apne liya
dosro ke liye marna hota hai kya

han nahi ahsaan teri raah pe chalna
khoker kuch pana hota hai kya

dekhte hain kante duniya walo ko
kanto se phool chunna hota hai kya

kerke koi dekhe ye ishq zara phir kehna
bina iske zindagi jeena hota hai kya...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #23 on: May 02, 2007, 02:19:55 PM »
Reply with quote
andekha anjana sa chera dekhe sapno mein
mere armaano ke jale diye sapno main

ek ajab sa sukoon mile dil ko jab
bethe bethe kho jaon main sapno main

muskan to pehle b aati thi inn labon pe
aaj aankhein b muskurahe sapno main

lage aisa ke hai wo mere kareeb
per aankhein deedar paaye sapno main

najane kun hai wo dilka chor
jo chupke chupke yun sataye sapno main

ab to milne ko dil bekarar hai RANI
baut hochuki mulakat sapno main...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #24 on: May 02, 2007, 02:20:19 PM »
Reply with quote
dil kii gali mein ARMAANON ka basera hai
hothon kii hansii mein armaanon ka savera hai

aanknon kii namii me armaanon kii hasrat hai
hr dil ko dhadakne ke liye armaanon kii jaroorat hai

pyaar ke ehsaas mein armaanon ka sapna hai
nahii kalii ke seene mein armanon ka kaafila hai

ugte suraj mein armaanon ka vaas hai
daltii shaam mein armaanon ki aas hai

koyal kii kook mein armaanon ka raag hai
hr nanhe farishte kii aawaz mein armaanon ka saaz hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #25 on: May 06, 2007, 03:23:55 PM »
Reply with quote
kuch kehne ki hai kya zaroorat
jab sab beyan hai aankhon se

sauda hota nahi pyaar mein
dil jeet lo baaton se

labon ki haasi aankhon tak hai poonchi
dil bekarar hai kahin raaton se

khyalon mein hi guzarte hain her pal
neend naraz hai tere deedaro se

sambhalta hai dil paarke tere paigham
teri khushboo aati hai un khaton se

kab aaegi wo milan ki raat
jab thamega tu apne hath RANI ke hathon se
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #26 on: May 06, 2007, 03:24:19 PM »
Reply with quote
zindagi ki aakari shaam beeta lo mere sang
jane kal honge tum kahan aur kahan jayenge hum

ek pal mein guzre lamhon ko saamet lenge
apni baaki zindagi b hum iss mein jeelenge
aao pyaar ki baatein kerlo mere sang
jane kal honge tum kahan aur kahan jayenge hum

jaane kab aaegi inn labon pe haasi
ya yunhi aankhein baari rahengi
zara sa muskura lo mere sang
jane kal honge tum kahan aur kahan jayenge hum

jaate jaate tum apne kadam na rookhna
palkein jhuka ke chupke se na roona
gale milker thora roolo mere sang
jane kal honge tum kahan aur kahan jayenge hum
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #27 on: May 07, 2007, 03:04:39 AM »
Reply with quote
Bohat khoob CoolGirl...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #28 on: May 12, 2007, 08:00:57 AM »
Reply with quote
nigahein daal ke mujh pe yeh kaisa vaar kar daala
ke lab khole bina hi tum ne to izhaar kar daala
 


na khwaboon mein bhi tum aaye aur na hui tum se mulakaatein
arey kya khoob hain aap...lamhe mein hi pyaar kar daala
 
 
shararat tum mein bhi hai aur shararat hum mein bhi aey dost
shararat hi shararat mein dilon ko paar kar daala

 
 
zamana bhar to soche ga ki peche hai koi saazish
ke baithe hi bithae pyaar be shumaar kar daala
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #29 on: May 14, 2007, 07:09:40 AM »
Reply with quote
yaadon ke saaman se saaja hai mera gher
ek tum hi ho bekabar baaki sabko hai kabar

jo tum mere kabhi ban na saake
aaj teri yaadein bangayi meri humsafar

her ek cheez se jalakta hai tera nazara
teri khushboo baasi hai dagar dagar

jo roshni tum leaaye the mere jeevan mein
ab bhi roshan hai saara jahan mere dilbar

ab bhi saverti hon mein sirf tumare liye
aaine mein jo dekhe tera manzar

mausam ka woh bahana jo laaya tha kareeb humko
mehsos kerti hon tujhko apni rooh ke aandar

kabhi jo aake dekho to hoga yakeen
RANI ka dard bhi hai teri yaadon se munawar...
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:58:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer