Meri Kahani...

by CoolGirl on March 22, 2007, 11:34:19 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11]
ReplyPrint
Author  (Read 10272 times)
Pooja
Guest
«Reply #150 on: November 06, 2007, 05:04:38 PM »
Reply with quote
nice cool girl
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri kismat ki kahani by gum in Shayri-E-Dard
Meri Kahani.. Meri Zubani by Aashique in Shayri-E-Dard
'kahani teri' ( meri kyu lagti hai) by samnoj in Miscellaneous Shayri
meri kahani by Singh is king in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERI KAHANI MERI JUBAANI by amarhellboy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Rajbir
Guest
«Reply #151 on: November 06, 2007, 07:25:49 PM »
Reply with quote
Rani

Bahut khoob ! Nice going :D

lage raho :wink:
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #152 on: November 07, 2007, 06:19:41 AM »
Reply with quote
thnx pooja ji n rajbir ji
thnx 4 ur encourgment
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #153 on: November 11, 2007, 07:16:46 AM »
Reply with quote
nainaa tere kaajra re han
dooba dooba jaye mera maanwa re han


ek shahrarat meri aur ek nazakat teri
dilne tou aaj humko ijaazat dedi
chanke jo tera kangna re han
dooba dooba jaye mera maanwa re han


dekhon tujhe dekhon bas dekhta hi rahon
tere aankhon ke peeyale se peeta hi rahon
muskuraa ke jo tune dekha re hann
dooba dooba jaye mera maanwa re han


tera husn pehle kabhi dekha nahi
aisa kuch pehle kabhi huaa nahi
jo hua tere husn ka charchaa re han
dooba dooba jaye mera maanwa re han
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #154 on: November 12, 2007, 03:32:12 PM »
Reply with quote
jhilmilati hai raat saath tere
aayi hai paas teri yaad mere


aur haseen lagne lagi hai chandni
jab mehndi bhare dekhe haath tere


inn fizaaon mein bhi aaj ajab sa nasha hai
laayi hai yeh mere paas soghat tere


yeh sochte hain hum ke kaise jeeye tere bin
ab nahi katte akele din raat mere


pehle deedar se hi jo badal gayi thi zindagi
aa phir se badal de yeh halaat mere


aaja ke kahin beet na jaye ek aur shaam
lafz bhi RANI kar rahe hain beyaan jazbat mere
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #155 on: November 13, 2007, 06:49:18 AM »
Reply with quote
aye chand zara dekh ke tou bata
kiya ker raha hai mera yaar


khoya hai meri yaadon mein
ker raha hai meri tasveer se pyaar


haath utha ke tujhe dekhke
kya woh bhi ker raha hai mera intezar


muskurahat ab bhi haina uske labon pe
ab bhi chahati haina unn fizaon mein bahar


zara tu chand ko dekhke muskura diya ker
teri ek jalak ko ho rahe hain hum bekarar


paigham usko zara mera tu yeh dede
ke RANI hamesha kerti rahegi tujhse pyaar
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #156 on: November 13, 2007, 08:07:16 AM »
Reply with quote
kitabon mae phool rakha tha, darkhaton pe naam likha tha
mai kya batau tujhko sanam maine kaise kareeb rakha tha

jab jhalak chand ki dikhti thi, jab oas ki chaadar bichti thi
mai kya batau tujhko kin kin nazaron mae maine dekha tha

charcha tera aam tha, har sukhanwar ki sukhan me sumaar tha
mai kya batau kaise maine tera haal pata rakha tha

kabhi jharno ke shor mae, kabhi koyal ki kook mae
mai kya batau kaise teri baatein haseen sunta tha

tu gair ki ghar ki shaan thi, uski bahaon ka haar thi
dar se teri ruswaayi ke maine honton ko see ke rakha tha

nazron se tu door thi phir bhi mere kareeb thi
naa justuju naa khayaalon mae, dhadkano mae tujhko rakha tha



not mine
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #157 on: November 13, 2007, 09:58:06 AM »
Reply with quote
Rani

Bahut achche ! Tumhari kahani sahi chal rahi hai :D

Nice sharing the last one !
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #158 on: November 13, 2007, 02:07:00 PM »
Reply with quote
thnku so much rajbir
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #159 on: November 18, 2007, 08:29:40 AM »
Reply with quote
meri nigahon ko jo bahayi woh intakhab ho tum
jannat se utara gaya woh haseen gulaab ho tum


ba-parda tere husn ka aisa jaadu chala hai
parde mein rehke bhi be-nikaab ho tum


inn dooriyon mein bhi jo mulakat hojati hai
jo dilse dil ka hua hai woh milaab ho tum


door hui hai veeraniyan is dilke anjuman ki
mere aangan mei khushiyan laayi behisaab ho tum


armaan is dilke aaj machal uthey hain
dekha tha jo in aankhon ne woh khuwaab ho tum


moti jo bikhare hain humne kohre khagaz pe
unn anmol lafzon ki RANI kitaab ho tum
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #160 on: November 18, 2007, 08:30:09 AM »
Reply with quote
TERI YAAD MEIN MEINE SHAMA JALAYI HAI
HER SOO TERI YAAD KI TANHAYI HAI


LIKH RAHI HON PHIR EK GAZAL TERE NAAM
SHAAM PHIR AANKHON MEIN UTTER AAYI HAI


JIS MOD PE EK NAYI ZINDAGI MILI THI
USSI MOD PE PHIR YEH ZINDAGI HUME LEAAYI HAI


KABHI TO BE-PARDA HOKE APNA JALWA DEKHA
TU HAI WAHAN AUR YAHAN TERI PARCHAYI HAI


ISS TARAH BHI KYA ROOTHNA HUI AISI KYA KHATA
KOI PAIGHAM-E-DIL DEDE DEKH FIZAA BHI LUT AAYI HAI


TU AGER AAJAYE TO LAFZON KE MOTI BIKHARE DON
RANI NE AAJ PHIR YEHI FARIYAD JAGAYI HAI
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #161 on: November 18, 2007, 08:30:41 AM »
Reply with quote
rulake kisi ko hasana koi tujhse seekhe
roothe ko manana koi tujhse seekhe


pahle to kisi ka chain o sukun chenna
aur phir uske dil me bas jana koi tujhse seekhe


na pahle koi sikhlana kya hoti hai sukhan
ik shayer ko karna deewana koi tujhse seekhe


khawbon khayalon mein her roz aate rehna
phir dheere dhere neend churana koi tujhse seekhe


kahan se seekhi hain yeh dilkash aadaein
palkon ko gerake jaadu chalana koi tujhse seekhe
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #162 on: November 21, 2007, 09:10:59 AM »
Reply with quote
WOH CHAND HAI WAHAN TANHA
AUR HUM HAI YAHAN TANHA


BAS TERE DEEDAR KE INTEZAR MEIN
CHAL RAHA YEH KARWAN TANHA


BEZUBAN DIL KO KEHNA HAI BAHUT
PER BIN TERE YEH ZUBAN TANHA


YEH SHAYARI HAI BAS TERE DAAM SE
WARNA LAFZON KA AASHIYAN TANHA


TERI HAASI MEIN HI MERI HER KHUSHI HAI
JO TU NAHI TO MERA JAHAN TANHA
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #163 on: November 21, 2007, 09:11:34 AM »
Reply with quote
MAUSAM KA BHI HAI ISHARA AB TO AAJAO
BEZUBAN DIL NE HAI PUKARA AB TO AAJAO


DOOR JO NAZRON SE HUE TO KYA DEKHE HUM
SUNNA HAI HER NAZARA AB TO AAJAO


ROOTHE YUN NA RAHO ISS KADAR TUM HUMSE
JEENA KA HO TUM SHAHARA AB TO AAJAO


MANZIL HAI APNI EK HI TO TANHA KYUN CHALEN
PAA LENGE HUM KINARA AB TO AAJAO


TERE AANE SE HI BADLI YEH MERI ZINDAGI
TUJHSE HI MUKADAR SAVARA AB TO AAJAO


RANI KA HER LAFZ DE RAHA HAI TUMHE SAADA
NAHI LAGTA TUMSA KOI PIYARA AB TO AAJAO
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #164 on: November 21, 2007, 09:12:16 AM »
Reply with quote
MAUSMON KI ADA SA HAY KUCH MIZAJ APNA
KIA KAHEIN KISS QADAR DIL DUKHA AAJ APNA


KUCH HUMNE BHI SEEKH LIYA HAI MUASAM KI ADA
HER WAQT BADALTA HAI YEH ANDAAZ APNA


LAFZON KI GEHRAYI WOH KYA SAMJHEGEN
HUMNE TO CHUPA RAKHA HAI RAAZ APNA


TO KYA HUA GER WOH CHORKE CHAL DIYE
AAJ BHI HAI WAISA HI JAISE THA SAAZ APNA


WOH BEWAFA KYA JAANE PYAAR KE SHABD KO
PER RANI TUM ZARA RAKHNA LAAJ APNA
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:56:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer