CoolGirl
Guest
|
«Reply #30 on: May 14, 2007, 08:13:31 AM » |
|
jawani wo nasha hai ,jise mahoobat pi gayi unki ek nazar hi jaadu chala gayi
kerliya tha iraada ke nahi karenge aisi khata per nazrein khud bakhud unpe jaam gayi
bin piye jaane kaisa nasha sa hogaya ab to band aankhon mein bhi unki tasweer saama gayi
dil thame hum khaare rahe bich sadak pe aur wo ankhiyon se gal kar gayi
ab to intezar mein b maaza aane laga hai ke humari saari jawani ussi mein hi guzar gayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #31 on: May 18, 2007, 07:43:28 AM » |
|
jane kyun tujhe pe hai barosa ye dil to baut bar hai toota
apno se hi khaen hain zakhm ab geeron se joor raha hai rishta
hum badly mein chahany ki khwaish nahi kerty per koi iss tarha to ruswa nahi kerta
jo maanga unno ne humne woh hai diya hogaye juda bina bole ek bar mang hi liya hota
ye haath ab thama hai tum ne ab tum banke aaye ho meri zindagi mein farihta
raaz ki baatein sabko batate nahi hain per unse chupate nahi jo dil mein hai rehta
pehla pyaar jald bhulaya jaata nahi RANI ki aankhon mein aaj bhi wo manzar hai jalakta
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #32 on: May 19, 2007, 08:12:48 AM » |
|
jiske ho maasoom irade,use kya pata kya hai shatranj ke pyade jo chala na ho angaaro par use kya pata raakh kya hai jisne dekhi hi nahi nayi subah,use kya pata raat ki chandni kya hai jiske liye pathar hi sona hai use kya pta heera kya hai
jo khud main hi khoya ho use kya pata zindagi kya hai jisne pyar hi naa kiya ho..use kya pata nafrat kya hai jo sach se hi bhag raha hai,use kya pata asli daud kya hai jo apne hi saaye se darta ho use kya pta khauf kya hai
jo khud se hi bhaag raha ho use kya pata...bandeeshe kya hai jisne kabhi haar hi naa dekhi ho use kya pta asli jeet kya hai jo roya hi naa ho kabhi use kya pta khushi kya hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #33 on: May 22, 2007, 01:46:56 PM » |
|
chahe nafrat karo ya muhabbat karoge to mujhse hi dilki chahat
ye dono hue jata hai dilse kya gham hai chahe wo ho nafrat
aazmalo tum jitna bhoola na paaoge hum to tumari badal denge ye fitrat
ab to tumhain pana hi hai humari aarzo laar jayenge sabse ho chahe wo kismat
ker sakte ho jitna kerlo utne sitam tumare diye dard ki hogayi hai hume aadat
ab bhi tum samaj na paaeye mere ishq ko aanjan ho tum isse kya kare tumse shikayat
humne to kya hai kerte hain aur kerte rehenge tumhi se bas RANI tumhi se muhabbat
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #34 on: May 23, 2007, 09:31:44 AM » |
|
guzre lamhon ki wo yaadein har dard ko mita jati hain teri pyar baari wo baatein muskurahat leaati hain
mehfil chahe kitni haseen kyun na ho dil mein chupe aanson kabhi biyan na ho teri baahon ka wo aachal aanson pohoj jati hain
neend aankhon mein jab aati nahi gham ki raat jab guzarti nahi teri zulf ki wo gattein humein sula jati hain
gher ke her koone se teri yaad jhalakti hai her jaaga bas tu hi tu dekti hain tanhayi ka ehsas jab hota hai teri yaadein humsafar banjati hain her dard mita jati hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #35 on: May 25, 2007, 07:09:46 AM » |
|
aaj socha unne mein khat likhun iss dil ka paigham likhun
sang uske beetae wo lamhe wo subah wo shaam likhun
boondon mein unka aks barish ki wo chham chham likhun
na khatam hone wala ek intezar ya wo saari umeedein nakaam likhun
raat ki rani ya subah ka aachal wo mulakatein tamaam likhun
wo shararatein wo haseen ishaare labon ki wo tabassum likhun
rangeen hui thi jab wo duniya ab hai wo gumsum likhun
aankhon ke wo sulagte tarz veerani ka aalam likhun
jo kati na sath uske wo raat ya judai ka wo gham likhun
kuch lafzon ki ladiyaan gazal,rubaayi,ya nazm likhun
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #36 on: May 26, 2007, 11:03:12 AM » |
|
dard hi to mera saathi hai sang uske chal deti hon
dard hi to mera saaz hai usko geet bana leti hon
dard hi to meri qalam hai usko gazal bana leti hon
dard hi to wo khusboo hai jis se taan mehak leti hon
dard to bangaya hai dhadkan pal pal dhadka leti hon
ruswa jo tum kergaye to dard milgaya us dard ke shahare jeevan beeta leti hon
kitna haseen thofa tum mujhe degaye usko likhun usko padhun ussi se khel leti hon
dard to ab bangaya hai meri saansen dekhe kab tak chala leti hon
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #37 on: May 29, 2007, 10:25:29 AM » |
|
barson beet gaye ek diya jal raha hai ab tak lagaye aas sang mere intezar ker raha hai ab tak
hawaon ke zor ne hi kya tu bhi to isse bhuja na paaya hai kitna zor iss pyaar mein beyan ker raha hai ab tak
zid pe jab aajaye to her shaa ko faana kerde ye iski hi inayat hai ke dil dhadak raha hai ab tak
Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin aankhon mein tera chera jhalak raha hai ab tak
afsana to mera adhora reh gaya hai phir b nadan dil muhabbat ker raha hai ab tak
baanhon mein hoti hai mehsoos teri kaami baharon ka mausam aa raha hai ab tak
maalum tha RANI aanjam muhabbat ka ishq barta ja raha hai ab tak
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #38 on: June 01, 2007, 02:50:14 PM » |
|
Ye Meri Aankh Hai Ke Jheel Ka Behta Koi Paani Khushi Ki Baat Bhi Sun Luye Aankhein Bheeg Jaati Hai
Chhupa Rakhi Hai Ek Tasveer Teri Kabse Is Dilne Ye Jab Bhi Yaad Karta Hai Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai
har aansu mein baasi hai teri yaadein tamam jab yaad aate hain wo guzre lamhe aankhein bheeg jaati hai
na tum bewaafa the na humne ki koi khata iss rooti kismat pe aankhein bheeg jaati hai
har aansu leta hai bus tera hi naam jab bhi likhna chaha dilka paigam aankhein bheeg jaati hai
hai inhi aansuon ki kasam RANI ab ye karenge saanso ka kaam per jab socha tere bina jeene ka to aankhein bheeg jaati hai...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #39 on: June 02, 2007, 09:27:53 AM » |
|
Har lafz me hamari hi tasweer pao ghe Parhne ko jab bhi tum apni kitaabein uthao ghe
Keh do na ab saaf-saaf k ham se hi pyar he Eyse kab talak ye mohabbat chopao ghe
aankhein mohabbat ki zuban hoti hain kabhi to apni aankhein humse milao ghe
pata hai humko ke khayalon mein khoye rehte ho kya unhi khayalo khayalo mein duniya basao ghe
kismat se milta hai ek baar ye haseen pyaar gaya waqt to phir na wapas pao ghe
her raah dhadkan se saja de hai teri raahguzar mein ab RANI aur kitna intezar kerwao ghe
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #40 on: June 02, 2007, 09:43:28 AM » |
|
Tere akhlas se mohabbat ki hai Tere ahsas se mohabbat ki hai
Tu mere paas nahin hai phir bhi Teri yaad se mohabbat ki hai
Main tum ko kis tarah bhool sakti hoon Main ne tere osaaf se mohabbat ki hai
Kabhi to tu ne bhi muje yaad kiya ho ga Mai ne on lamhat se mohabat ki hai
Jin main hoon sirf teri or meri baatien Mai ne on oqaat se mohabbat ki hai
Or jo mehkain ho sirf teri hi mohabbat se Mai ne on jazbat se mohabbat ki hai
Tujh se milna to ab khuwab sa lagta hai Mai ne tere intzar se mohabbat ki hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #41 on: June 03, 2007, 01:00:34 PM » |
|
Masoom hai muhabbat dil ki naadaniyan thi maana hui hai humse khata per aisi b kya berukhi
na dena tum aisi saaza,ke hum hojayen judaa bin tere socha na tha kabhi,ab zindagi laage baddua iss tarha b humse na rootho ke ab jaan hai jaati masoom hai muhabbat......
tum mujhse na muh moro.thaam lo ab mera haath chalna hua hai duswar,aise na thoro ab ye saath pyaar ko yun ruswa na karo dekho aagayi aankhon mein naami masoom hai muhabbat....
tere saang beetana tha jeevan,tu hi mere dilki dhadkan aankhon mein saajaye the kahin sapne, shayad tha wo mera pagalpan tu hi jeene ki waaja tha,ab tu hi marne ka sabab baani masoom hai muhabbat......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #42 on: June 06, 2007, 09:51:24 AM » |
|
mera taajub kuch ajab nahin hai wo shakhs pehlay sa ab nahin hai
wafa ka kyun kar gilla karon mein us say wo mera tha hi kab jo ab nahin hai
kyun thokraon mein jeevan ko zindagi to kabhi aazab nahin hai
pyaar ko thokra ke pahajtaenge wo meri kismat to karab nahin hai
muhabbat ko bhool samaj ke bhool ki hai usne per meine b chaha usko jis se mera milaab nahin hai
kuch paane ko kuch khona padta hai RANI zindagi mein haasal sab nahin hai....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
deepika_divya
Guest
|
|
«Reply #43 on: June 06, 2007, 11:59:55 AM » |
|
wonderful Cool girl.. its really nice
keep writing Divya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #44 on: June 07, 2007, 05:37:05 AM » |
|
thnx divya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|