CoolGirl
Guest
|
«Reply #45 on: June 07, 2007, 09:11:35 AM » |
|
Wafa karne ka dhaung karne waale toh hote hi bewafa hain Mohabbat ke waadon ko samjhna unhe kahan aata hai
Insaan ke saath sada sirf Khuda hi hota hai Aur judaa hone waalon ke paas dil hi kahan hota hai
jo baas badalke dete hai auron ko dhoka unne apna aanjam malum kahan hota hai
humsafar badalna jinka kaam ho sirf toofaani samander ko paar karna unne kahan aata hai
ye ishq jab zid pe aaye to kerde sabko faana phir KHUDA b unko saath kahan deta hai
pyaar koi khel nahi jismei haar jeet ho RANI qader poocho usse jiske naseeb mein pyaar kahan hota hai...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #46 on: June 09, 2007, 01:46:20 PM » |
|
yeh bhi mujh per ehsaan kia hay tum nay hamsafar gham jo mohabbat may dia hay tum nay
jab bhi takraaiee mairay jism se yeh shohk hawa mujh ko mehsoos hooa yeh keh chooa hay tum nay
aik muddat say issi din ki thi hasrat dil may aaj main khush hoon keh deewani kaha hay tum nay
kia meray dil ki dharakhnay ki hi awaz hay yeh ya yeh phir kaan may kuch aa ke kaha hay tum nay
hichkiyaan bhi to kambakht nahi aati hain jo yeh sochoon keh mujhay yaad kia hay tum nay
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #47 on: June 10, 2007, 09:29:25 AM » |
|
LAB KHAMOSH HAI AANKHON SE BAAT HOTI HAI AISE HI DOSTI KI SHURUVAAT HOTI HAI
TERE HI KHAYALON ME KHOYE RAHTE HAI PATA NAHI KAB DIN AUR KAB RAAT HOTI HAI
JAANE KAISA HUA HAI TERA AASAR KE SAPNO MEIN B TUJHSE MULAKAT HOTI HAI
LAGE TU MUJHE DOST SE KUCH BARKER BINA TEERE ZINDAGI AB ADHORI LAGTI HAI
DEEDAR KO TARSE MAAN MERA AUR AANKHON MEIN EK KHUSHI SI JHALAKTI HAI
KAISE BEYAN KAARE TUJHSE APNA HAAL-E-DIL KE RANI KE DIL MEIN TERI HI TASVEER BASTI HAI....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #48 on: June 10, 2007, 03:23:20 PM » |
|
Hui muddat ki meri uss bewafa se baat na hui Ek zamana hua in aankhon se barsaat na hui
Sochte hai mil hi le uss jaalim sitamgar se phir Din hi din raha hai ab talak phir raat na hui
socha tha usne ke dard bhar dega jeevan mein mere per aaj talak us dard se mulakat na hui
tanha jis tarha wo chor ke gaaya tha ab tanha rahe hum aisi kabhi koi baat na hui
jab saamna hoga unse to keh denge hum ke tere baad zindagi ki ek naayi shuruvaat hui
jabse wo thoker khaayi hai jeevan mein ab tak inn labon se RANI koi fariyad na hui...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #49 on: June 12, 2007, 09:20:11 AM » |
|
Reh Na Paoge Kabhi Bhulakar Dekho Yaqeen Na Aata Ho To Aazma Kar Dekho
Har Jagah Mehsoos Hogi Hamari Kami Apni Suni Mehfilko Kitna Bhi Saja Kar Dekho chahe to jala do wo pyaar ke paigham mitte gi na tasveer meri dilse apne mitta kar dekho
ker sakhte ho sitam kerlo uttna per hogi tumain b takleef mujhe jitna tarpakar dekho
saamne jab bhi aate ho nazarein churate ho ye pyaar nahi to kya hai khud ko samjha kar dekho
kab tak sun nahi paaoge apne dil ki dhadkan chupta nahi pyaar RANI chahe jitna chupa kar dekho
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #50 on: June 15, 2007, 07:09:13 AM » |
|
apki yad na aye to hum bewafa ap bulao or hum na aye to hum bewafa
hume marne k liye chaku ki jarurat nhi ek baar najar fer lo,na mar jae to hum bewafa
meri her khata pe ho jaana tum khafa tumhe na maana paae to hum bewafa
vaada kya hai tumse khushiyan hi denge tumko wo vaada na nibhaa paae to hum bewafa
door ho tum ager mujhse chaho humse milna tumhare sapno main milne na aye to hum bewafa
her saaza hume tumhari manzoor hogi RANI labon se uff nikal jaae to hum bewafa
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #51 on: June 17, 2007, 10:05:43 AM » |
|
meine khamoshi ka saath diya to muhabbat hojaye gi khatam
na kabhi tujhse haal-e-dil keh paaongi khud hi apne aap kerlon gi sitam
per tujhko ruswa kerna bhi nahin chahti chahe ho mujh pe kitne zulaam
kabar hai mujhko ke tu mera nahin tu toh ban chuka hai kisi aur ka sanam
jis tarah maan hi maan main tujhko chaha hai yehi hai RANI ke jeene ka baram
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #52 on: June 18, 2007, 09:47:09 AM » |
|
Uski awaz uske roop ki pehchan hai uske dil ki dhadkan mere dil ki jaan hai
Na sunu jis roz uski batein lagta hai us roz ye jism hi bejaan hai
barso se sambhal ke rakha tha iss dil ko ek pal mein paraaya hogaya bhara bemaan hai
ger ker baitha usse bewaafai to sun hey dil us din tera imtehan hai
kismat se mila hai mujhko aisa pyaar us KHUDA ka mujhpe ye ahsaan hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #53 on: June 20, 2007, 02:06:58 PM » |
|
jaane kis ke khayalon mein aaj kal hum khone laage hain lagta hai hum to kisi ke hoone laage hain
na din ki kabar hai na raat ka kuch pata kunsi bimari se hum milne laage hain
pehle to aisa kabhi kuch hua nahin her pal hum jeene laage hain
bin piiye jis se nasha hojaaye lagta hai hum bhi ishq ka piyala peene laage hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #54 on: June 21, 2007, 07:40:08 AM » |
|
dilse dil ki hogayi shagaayi her soo bhajne laagi shenaayi
pyaar ka aane laaga hai mausam muskuraaye ab meri tanhaayi
aise badli hai zindagi ke ab aankhein bhi hai khudse meri sharmaayi
khamoshi bhi koi geet gungunaaye jaane ye fizaa hai kaisi aayi
diya hai zindagi ne mujhe haseen thofa naaye sapne palkon pe hai meri sajaayi
ab kisi ka haqq nahin hai mujhpe RANI to ab hogayi paraayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #55 on: June 30, 2007, 09:15:22 AM » |
|
jaam pe jaam woh hume pila gayi jaane kaisi madhoshi chaa gayi
na kabhi humne pee thi yaaro ek pal mein woh hume shaarabi banagayi
nazron ke teer kaam the jo woh apna dupatta bhi sedka gayi
jise dekhe bina na chain aaye kabhi ajeeb si bechaini woh badaa gayi
dar-e-dil kabhi aise khula nahin aur woh bina dastak dil main saama gayi
tabhi to kehte hain usey sab DIL KI RANI yaaro jo humara bhi dil chura gayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #56 on: June 30, 2007, 10:45:37 AM » |
|
Woh din jab hum saath raha karte the Saath hansa karte the, saath raha karte the Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera Woh pal woh din woh kal, bit gaya jaldi Jiski yaadon ne aankho mein nami bhardi Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera Tera woh ghussa tera woh pyar phir yaad aaya hai Dil ne aaj phir us yaadon ko dohraya hai Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera Dil ne un yaadon ko sambhala hai aaj bhi Tum mere saath nahi par dil mein ho aaj bhi Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera Yaad kar mujhe gar aankh teri bhar aaye to rona nahi Tujhe kasam hai meri, us waqt ki yaadon ko khona nahi Woh waqt tha sunhera, woh tha tera aur mera
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #57 on: July 04, 2007, 08:06:24 AM » |
|
barish ki her boondon mein yaad aata hai koi woh suhaane lamhe phir dejaata hai koi
jaane kaisi fizaa hai ye chaali jaise door se baatein kerta hai koi
khushboo si bhikari hai her soo anjaana sa haseen phool mehakta hai koi
paigham kuch hawaaein mujhe suna rahi hai chupke badlon se dekhta hai koi
baat be baat per muskura den ye aankhein anjaani si khushi dejaata hai koi
iss se pehle humko ye pata bhi na chala ke RANI tujhse pyaar kerta hai koi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #58 on: July 04, 2007, 08:06:49 AM » |
|
waqt ki ho dhup ya ho tez aandhiyan kuch kadmo ke nishan kabhi nahi khote
jinhe yaad kar ke muskura den aankhein woh log door reh kar bhi door nahi hote
dilon ke milne se mitt jaati hain dooriyan kuch faslen se apne juda nahi hote
khwbon ki duniya mein hi mulakat hui thi humari ab bhi tumare khuwab hume soone nahi dete
nahi kehte hum ke tum milne aajao kyunke inn aankhon se tumare manzar door nahi hote
tumain bhool jaana bhool kar bhi nahi hoga dhadkan ke bina RANI dil dhadkaye nahi jaate
|
|
|
Logged
|
|
|
|
paani
Guest
|
|
«Reply #59 on: July 04, 2007, 09:27:44 AM » |
|
Nice writing cool....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|